A/n: hi hello everyone.. a story for my sweet sisters… hehe my sweety di, neem di, teddy di, cookie jet di, my pri and my gyani mata :D hope u all like it.. with maharaja and maharani style..
Yeh hai ajmer joh maharaj prithvi singh rajput ka rajya . inki praja insey bahut hi khush hai.. kyuki yeh aapni prajah ki madad karne ki puri koshish kartey hai.. yeh joh itna bada mahal dekh rahe hai aap sab yahi rehtey hai maharaj prithvi singh. Aaj bhi paramparao ko nibhatey hai.. koi ulangan karey toh daant detey hai..
"mantra jee Diwali ke subh avsar par sab ghav walo ko mitayi ki beth di jaaye aur haveli ko sajayi jaaye sabko amantrit prath bejh diya jaaye.. dawaat ke liye"
Mantri "jee maharaj.."
Maharaj mantri jee sey akele meh baat kartey hai
"maharaj aapko bade rajkumar ko aab raj path ki jimedari saup deni chahiye"
Maharaj muskuratey hai.. "sahi kaha aapne mantra jee aab hum aapna samay baacho ke saath betana chahtey hai.. humhara sabse bada putra hi agla maharaj hoga.."
"kintu wo hai kaha.."
Maharaj kehtey hai "hongey yahi kahi.."
"jaayie bade rajkumar se kahiye humse aake miley"
Pehredar "jee maharaj"
Pehredar waha se chale jaatey hai haveli ke sabse bade putra ko dhudney ke liye..
Pehredar bahar aangan ki taraf aata hai jahan dusra pehredar ussey batata hai
"bade rajkumar waha udhar maidaan mei hai"
Tabhie ek aadmi waha aata hai "aap jayie mai unhe bulake laata hun.."
Pehredal sar jhukake waha se chale jaata hai aur wo aadmi maidaan ki aur bartha hai..
Maidaan mei..
2 godhey hotey hai aur unke upar sawar doh aadmi hotey hai jinhone rajkumar wale kapdey pehne hotey hai..
"bhaisa aapko iss baar mai hara ke hi rahunga.." ek rajkumar bolta hai godhey ko bhagtey hue..
Toh dusra muskuratey "koshish karke dekhlo"
Godhey aapne antiv parav pe pahuchtey hai aur bade rajkumar jeeth jaatey hai.. wo godey se utar jaatey hai.. aur chote rajkumar unke pass aake kehtey hai..
"bhaisa aapse koi nahi jeeth sakta.."
Tabhie wo aadmi waha aata hai "koi toh hoga hi joh inhe hara sakey kyu rajkumar Rajat"
Rajat kehtey hai "arey sachin humhare chote rajkumar vineet bhi kum nahi hai.."
Vineet kehta hai "rehene dijiye bhaisa aapse toh mai kabhie nahi jeeth sakta.. "
sachin bolta hai "arey haan rajat bhaisa aapko maharaj ne bulaya hai"
Rajat "rajkumar vineet yahi tehriye hum aatey hai abhie"
Rajat sachin ke saath chaley jaatey hai..
Idher dusri taraf fhooley ke bhakicho mein ek aadmi joh rajkumar ki liwaj mei hai wo madad kar rahe hotey hai maali ki..
Maali kehta hai "rajkumar aap rehne dijiye hum kar lengey"
Rajkumar muskurata hai "arey kaka koi baat nahi humhe bahut pasand hai madad karna"
Kaka kehtey hai "aapke jaisa manjare rajkumar sabko de ishwar"
Rajkumar ek badi si muskan laatey hai..
Tabhie ek daasi waha aati hai
"rajkumar dushyant aapko maharani bula rahi hai"
Dushyant murtey hai aur kehtey hai.. "aap jaayie hum abhie aatey hai…"
Dushyant maharani ke kashq ki aur bartey hai
"maa aapne humhe bulaya"
Maharani kaushalya kehti hai "aao putra"
Dushyant andar aatey hai
"humhe aapko yeh kehne ke liye bulaya hai aap dusro ki madad karne mei itne vyasth ho gaye hai ki aap aapni maa ke liye kuch pal nahi nikal paatey"
Dushyant muskuratey hue kehta hai "Arey maa.. aap bhi na.. aisa kuch nahi hai hum toh aapse bahut pyaar kartey hai.."
Tabhie koi awaaas aati hai..
"kaun hai kashq mein?" dushyant ghusse se boltey hai
Tabhie ek billi waha se ghusarthi hai
Maharani kaushayla kehti hai "beta ek billi thi uspe itna krodh"
Dushyant "maa hum kya kare humhe aa jaata hai aayie hum aapke pair daba detey hai.."
Arey aap log kaha chale.. pehle mujh janab se toh mil lijiye… joh aapko yeh katha suna raha hai.. hahaha.. ek kashq ke andar sabse chote rajkumar soh rahe hai wo hai… hum yanki ki rajkumar kavin.
Humhari ek hi buri adaat hai hum aapne aapko sheeshe mei bahut nehartey hai.. kabhie koi kami reh jaati hai humhare pehnave mei toh hum kapde hi fhek detey hai.. kya kare adaat se majboor hai hum..
Hum sabse jyada pyaar aapne bade bhai se kartey hai.. humhari har iccha ko puri kartey hai wo..
Tabhie waha pe rajkumar rajat, vineet, kabir aur dushyant aa jaatey hai..
"bhaisa aap sab humhare kashq mei koi khas baat?"
Rajkumar rajat aapni ek pyaari si muskurahat detey hai… "haan bas yahi dekh rahe they aaj chote shahab ne kitne vastra ka visarjan kiya hai"
Baki sabh hash partey hai..
Kavin sharma jaatey hai.. "offo bhaisa aap bhi na.. chaliye pitashree intejar kar rahe hai bhojan ke liye"
Sabhi bhai waha se chale jaatey hai.. bojhnalye ki aur..
Maharaj prithvi ko pranam kartey hai..
"ek minute.." jorse maharaj prithvi singh chilatey hai
Sabh log unki tarah dekhtey hai..
"aap sab uske bina bojhan kaise kar saktey hai?"
Maharani kaushalya aur paacho rajkumar ek dusre ki taraf dekhtey hai..
.
.
.
.
Kaha jaa rahe hai aap sab aapne ek rajya ke baare mei toh jaan liya aabhie ek aur jagah jaana hai..
Chaliye le chaltey hai hum aap sabko jodhpur
Yaha ke maharaj hai amar singh suryavanshi joh ki maharaj prithvi singh jee se bahut hi modern hai aura lag sochke hai… inhone aapne bacho ko aaj ke saath bada kiya hai unhe haar suvidha di hai..
"mantra jee.. humhari beti ke liye koi rishta teh hua?"
Mantri kehta hai "maharaj khoj jari hai… maine suna hai ki ajmer ke maharaj ke sabse bade putra jald hi unki jagah lene wale hai aur unke vivah ki bhi baat chal rahi hai"
Amar singh "aacha hum aapko sochke batayengey.. waise humhari sabse badi beti hai kaha pe? Aur baki ki 4 bhi"
Mantri kehta hai "abhie hum dekhtey hai"
Amar singh kehta hai "nahi hum khud dundh lengey unhe.."
Idhar bahar angan mei doh larkiyan nirtya kar rahi hoti hai.. toh ek sitar baja rahi hoti.. toh ek gaana kha rahi hoti hai
Piya tose naina lage re, naina lage re
Jane kya ho abb aage re
Aayee holee aayee, sab rang layee
Bin tere holee bhee naa bhaye
Bhar pichakaree sakhiyo ne maree
Bhigee moree saree tan badan mora kanpe thar thar
Dhinak dhin dhin, dhinak dhin dhin...
Joh larki sitar bajati hai wo kehti hai "wah aru di aur roohi di maza aa gaya.."
Aru kehti hai "papasa ko maat batana hai tum toh janti ho hum rajkumariyan hai naach nahi sakti"
Kuki muskurati hai "haan nahi bataungi… aur yaha koi hai bhi nahi dikhne ke liye humhare siwa"
Roohi muskurati hai "shukriya rajkumari kuki jee aru yeh last baar iske baar mujhe maat nitrya karwana"
Kuki muhfulati hai.. "offo nimisha di inhe samjao yaha toh mujhe rajkumari na kahe"
Nimisha gaane gaane ke baad paani peeti hai "haan roohi di aap toh issey choti rakumari bulao"
Itna kehke wo waha se bhagne lagti hai aur kuki uske peeche bhagti hai..
Dono aapne pita se takra jaati hai..
"papa maaf karna wo hum"
Amar singh "koi baat nhi beta.. khelo meri pyaari rajkumari.. aacha aap charo yaha hai humhari preeti kaha hai?"
Aru waha aake kehti hai "papa preeti toh gadi mei baithke chali gayi mele mei"
Amar singh muskuratey hai.. "yeh larki bhi na.. chaliye aap charo ko maa bula rahi hai.."
Rajkumari preeti aapni dost keerthi ke saath hoti hai..
"keerthi dekh na waha chaltey hai.."
keerthi kehti hai "preeti hum gher mei bolke nahi aaye hai sab pareshan ho jaayengey"
Preeti ussey ghusse se dekhti hai "offo keerthi tu darti bahut hai kuch nahi hoga meri pyaari behena ne papasa ko bata diya hoga.."
Dono mele mei magan ho jaati hai..
Kuch dher baad unhe gher jaane ka bulawa aata hai toh dono gadi mei bethke haveli chali jaati hai..
Gher pahuchtey hi
Keerthi "mai chalti hun"
Roohi ussey rokhti hai aur kehti hai "kaha keerthi chalo aao nastha karo humhare saath"
"rajkumari jee aap yeh kya keh rahi hai.. mai kaise?"
Kuki kehti hai "kya keerthi di mai kaise.. aao maa ne bola hai aapko chaliye.."
Sabh baithke nashta kartey hai..
Tabhie nimisha ko yaad aata hai.. "papa hum nastha nahi kar saktey hai abhie!"
A/n: prithvi singh Rajput ne aisa kyu kaha? Kiska intejar hai unhe :O
Aur rajkumari nimisha ne kyu kaha? :O
Aru ke nitya karne ka raaz unke papasa ko nahi pata chalega :O
Dekhtey hai.. baane raho mere saath
