Kabi woh mujh say kahta tha...
k mari zindage tm ho..
tm he ho mari har arzu...
mari toh har khushi tm ho.. na dekhon mai agar tm ko toh ankhain nor he kho dain...
mari ankhaon mai jan e jan chamakti roshni tm ho..
mujhy har khof say hat kr yeh dunya ko btana hai...
apny piyar ka bandhan toh sadiyon sy purana hai..
haman ik dusary ki zaat ki takmeel karni hai,.
samandr k kinary phir haman ik ghar bnana hai...
wo ghar jis mai baharon kushboan rangon ka meela ho..
yahan say dur sabzay mai woh ghar apna akeela ho...
mai har subha tmhari ankhon sy dekhon haseen manzar..
tmhary husan ka jadu mari ankhon mai phela ho...
magar phir yun hua halat ny us ko badal dala..
bhula k us ny sb batain hamara dil kuchal dala...
banaey sahelon par ghar haseen simt k us ny..
magr waey mukadar k badal dala maken us ny... kisi ka hath hathon mai woh lay kr ab bi chalta hai..
magar jab bi tanha milta hai toh bs itna he kehta hai...
suno "bechar k tm sy laga hai dil pay jo ghaao gehra hai..
hamary dil ki wadi main jahan tha raj kushbu ka wahan ab dard thera hai..."#