I'm die heart fan of him...he is just awesome... nobody can take his place..
without wasting time lets start ...
INTRODUCTION:- My motive for this story is...we have already seen that how abhi (aditya sir) is suspected every time...but he will never say anything... he will respect his senior as well as juniors too...he will fight for every person who is innocent...but when he need someone nobody will be with him except daya...
daya his buddy cum brother (actually his heart beat)...but if daya too started suspecting abhi ...how the situation will be ...how he will handle himself as well as whole CID TEAM...?
IN BUREAU...
all were present except ABHI...all were in good mood...
daya was about to submit one file to ACP..but he felt something is missing...actually he forgot to put date in that file..
daya :- are freddy aaj ki date kya hai ?
freddy :- pata nahi sir...
daya:- (daya in teasing mood) kya pata nahi... huuhh...tumse yeh ummid nahi thi freddy...
freddy :- sir...woh...wohhh...
shreya :- sir aaj ki date 13 july hai...
daya :- thanks shreya...
shreya :- welcome sir
daya was writing date ...and he started thinking and smiling...
purvi :- kya hua sir...achanak smile kyun?
daya :- purvi kahi din ho gaye na...humne kuch nahi kiya
sachin :- kuch matlab kya sir?
daya :- enjoy nahi kiya...party nahi kiyi ...
pankaj :- haan sir...chalo aaj kahi bahar chalte hai...bhuk bhi lagi hai bohot..
daya :- mai aaj ki baat nahi kar raha...but jarur karenge ...bohot badi party hogi...hum sabke life mein bohot badi memory ban jayegi...
rajat interrupt in between...
rajat :- kya baat hai sir ... aap party ki baat kar rahe ho toh bohot khas baat hogi...
daya :- haan bohot khas baat hai...(smiling)
sachin :- par kya sir...
freddy :- haan sir jaldi bataiye na...
shreya :- aisa kya hai ...jo aap khud party de rahe ho...
purvi :- sir ab bas ha...mujhse ye suspense bardasht nahi hota...
rajat :- haan ab bata bhi dijiye...
pankaj :- mujhe is suspense ke maare bhuk lag rahi hai...
purvi :- tum chup raho pankaj...sir aap bataiye kya hai...
daya :- woh agle hafte...
purvi :- agle hafte kya sir ..
daya :- agle hafte hamare abhi ka birthday hai...
shreya :- are haan sir mai toh bhul hi gayi thi...
freddy :- haan hum itni badi baat kaise bhul gaye ...
purvi :- bhul gaye toh koi baat nahi...ab toh sabko pata chal gaya na...ab hum hamare special abhi sir ke liye kuch khas karenge...
daya :- exactly...you are right purvi...
rajat :- toh boliye sir ..hume kya karna hai...
daya :- are nahi nahi rajat ...abhi kuch nahi karna...abhi se taiyyari shuru ho gayi toh use pata chal jayega..
sachin :- woh toh hai sir...abhi sir se bachke kuch karna...mmmm not possible
purvi :- idea ! abhi hum bas plan karke rakhte hai...jo kuch karna hai hum 20th ke raat 12 baje karenge...
aur sab log apna apna kaam karo...on the spot hum sab kuch karenge...but birthday hum abhi sir ke ghar pe nahi karenge...
daya :- toh kaha ?
purvi :- abhi sir ke ghar mein chupna aapke bas ki bhi baat nahi ...toh hum kaise?
daya :- yeh toh maine socha hi nahi ...(and started thinking)
shreya :- ek idea hai...
rajat :- toh jaldi bolo na...
shreya :- daya sir ke ghar pe chalega ?
purvi :- daya sir ke ghar pe hum sabko pohochne mein hi kafi waqt lag jayega...agar us din kisi case mein fas gaye toh pata nahi kya hoga...kuch aur sochna padega
rajat :- toh bas ek hi raasta hai ...
nikhil :- woh kya sir ..?
rajat :- bureau
daya :- kya bureau?
rajat :- haan sir...waise bhi abhijeet sir ko 12 bajne se pehle aap lekar jaiye...aur koi cheez bhul gaye aisa kehke wapas leke aana...tab tak hum yaha fatafat arrange kar denge...hume kahi bahar bhi jane ki jarurat nahi...toh kaam jaldi ho jayega...
freddy :- haan ye baat ekdam pakki lagti hai
daya :- haan rajat...logically superb plan diya tumne...
nikhil :- sssshhh ssshhhhh sssshhhhh abhijeet sir aa gaye..
while listening this all went their own desk and again started their file work ...
abhijeet entered ...all wish him good morning with smiling face
abhi : good morning
daya : kya baat hai boss
abhi : kya ?
daya : tum aaj late kaise ho gaye ? waise toh SR. INSPECTOR ABHIJEET ...oops THE SUPERMAN hamesha waqt ke pakke hai...aaj kya hua...
abhi : kya yaar daya tu bhi na...yaar raaste mein gadi kharab ho gayi thi..
daya :- kya kaha pe ?
abhi :- bandra mein ...
daya :- accha...toh mujhe bula lete ... tum hamesha mujhe bula lete ho na
abhi :- are yaar ...maine aise hi nahi bulaya...socha tumhe kyu pareshaan karu..
daya :- (daya was stunned) tum kabse mujhe pareshan karne lage ?
abhi :- mere kehne ka ye matlab nahi tha daya
daya :- haan thik hai ..thik hai...ab galti kar diyi toh tumhe saja bhi milegi ...
abhi :- abe kya yaar...
daya :- no behes ... nahitoh penalty badh jayegi...
abhi :- thik hai bhai ...bol mujhe kya karna hoga ?
daya :- haaan...good ...toh chalo ready ho jao apna bank balance khali karne ke liye
abhi :- kya? par kyu?
daya :- mujhe shopping karni hai...
abhi :- phirse ?
daya :- (straighting his collar) yes mere bhai
abhi :- raat ko chalte hai...
daya :- sacchi...thankyou boss... i love u , i love uuuuu
abhi : haan thik hai...rehne de... ab jake kaam karo...
shreya : abhijeet sir bhi ajeeb hai...unhone aisi bhi kya galti kar diyi ki unko apne sare paise daya sir pe lootane hai
freddy : abhijeet sir sirf daya sir pe hi toh paise lootate hai...unke life mein dusra hai hi kaun?
purvi : thik kaha sir...ye dono bohot hi ajeeb hai...par inke jaisa koi nahi hai...
FULL DAY SPEND IN FILE WORK THAT TOO WITHOUT ANY CASE
AT NIGHT
daya : yaar abhi jaldi chalo shopping karni hai
abhi : aa raha hoon bhai
daya : mmm chale ?
abhi : chalo
both sitted in quallis now ... on the way for their shopping
daya : accha abhi agar mai tumhe ek offer doon toh ?
abhi : kaisi offer ?
daya : mai apne liye aaj kuch nahi leta par tumhe shopping karni padegi toh tum kya shopping karoge
abhi : mujhe kuch nahi chahiye
daya : aur agar maine bola ki tumhe compulsory lena hai toh
abhi : toh le lunga kuch toh
daya : par kya ?
abhi : sabke liye kuch na kuch le loonga
daya : toh chalo lete hai
abhi : sacchi ?
daya : haan boss...last week tumne mujhe shopping karwai abhi baki logo ko bhi lelo
they went in mall, abhi take shirts for daya freddy rajat sachin nikhil pankaj and tops for tarika shreya and purvi and 2 coats for ACP & Salunkhe
NEXT DAY (14th july)
abhi daya entered in bureau all wish them ...they too wished... All saw they have lots of bags in their hand...
purvi : ye sab kya hai sir ?
shreya : ye itni saari bags kiske liye ?
freddy : kaha se laye ho itni saari bags ?
nikhil : kya hai in bags mein sir
duo smile
rajat : kya hua sir aaj aap dono bohot khush lag rahe ho...
sachin : ab hum logo se bhi share kijiye ...aapki khushi ki wajah
daya : haan haan batate hai pehle line lagao
pankaj : line kyu sir
abhi : are pankaj jo kaha hai woh kar na
all in one line ...
abhi gave to shirt to pankaj freddy nikhil sachin & rajat...then tops to shreya purvi ...
pankaj : sir aap na bohot acche ho ...thankyou so much
shreya : sir par aap toh daya sir ko shopping ke liye leke gaye the...phir yeh sab humare liye kyu?/
abhi : ye sab tumhare daya sir ki wajah se hi tum logo ko mila hai
purvi : woh kaise ?
abhi : isne khud shopping na karke mujhse karwai...mujhe toh kuch nahi chahiye tha toh socha tum logo ke liye hi kuch leke chalu...
daya : haan aur sab mujhe thanks bolne ki bajay ise thanks bol rahe ho
purvi : liya toh abhi sir ne hi na
daya : abhi sir ki chamchi ...tujhe toh dekh hi lunga
purvi ran daya started chasing her...whole bureau laughing on them...
abhi : accha shreya...yeh top tarika ke liye hai ...tum use de dena
shreya : sir mai kyu...aapne liya hai ...toh aap hi dena
abhi : are yaar samjha karo...maine diya toh salunkhe sir ka mood kharab ho jayega
shreya : thik hai sir...par mai aapka naam bata dungi
freddy : sir aapne daya sir ko kuch nahi liya?
daya : kya baat kar rahe ho freddy ? abhi aur mere liye nahi lega? mera shirt ghar pe hai...
abhi looked at him...both exchange a sweet glance ,,,,...
abhi : daya ye lo...ye 2 coats tum dena ACP sir aur Salunkhe sir ko...woh bhi tumhari taraf se
daya : mai kyu tumhara gift hai tumhe hi dena padega
abhi : no behes... nahi toh teri bhi penalty badh jayegi
sudden ACP sir entered in bureau ...again all wish him..he too
ACP : abhijeet daya
duo : yes sir
ACP : juhu beach pe ek laash mili hai...forensic mein bhej diyi hai ...jao salunkhe ko puch ke aao?
duo : yes sir...
daya : chalo guys forensic chalna hai
FORENSIC LAB
abhi : hello tarika
tarika : hi abhi
abhi : kaisi hai aap
tarika : mai toh bikul thik hoon
salunkhe : are bhai ...hum bhi hai yaha pe
abhi : are sir ...maine toh aapko dekha hi nahi
salunkhe : tum mujhe kaise dekhoge ? tum toh bas tarika ko dekho ...mujhe mat dekho
abhi : aapko dekhna bhi kaun chahta hai ?
all laughed on this dialogue
salunkhe : kya kaha tumne ?
daya : kuch nahi sir...aap lash ke barein mein kuch batao na
tarika : daya is ladki ki maut zeher se hui hai
abhi : kya ?
tarika : haan abhi...woh bhi kisi saste se zeher se iski maut hui...jo har gali ke medical shop ya pharmacy mein mil jayega
abhi : toh khooni bada hi chalak hai...
daya : haan use pata hai ...ki agar woh koi khaas kisam ka zeher istamal karega toh jaldi pakda jayega...
abhi : thankyou tarika
salunkhe : abhi tak hua nahi hai
abhi : haan toh boliye na chup kyu the itni der se ?
salunkhe : is ladki ke shoes mein ek chemical laga hai
rajat : kaisa chemical sir ?
salunkhe : rajat ye koi aisa chemical hai...jo sirf glue banane wali factories mein milta hai
daya : ye badi acchi baat hai ...ab is ladki ke bare mein pata lagana asaan ho gaya
salunkhe : kyu pata lagana hai tumhe is ladki ke barein mein
daya : matlab ?
salunkhe : matlab yeh ki is ladki ka naam rita hai... aur ye bank of baroda mein kaam karti thi...
abhi : aapko kaise pata chala?
tarika : abhi...iske purse mein iska bank ID mila hai...ye dekho
abhi : (while seeing that ID) yaar ye ladki andheri east mein rehti thi ...aur waha toh aisi koi bhi factory nahi
daya : haan boss
purvi : sir hume pehle woh factory dhundni padegi
abhi : haan purvi...
daya : rajat tum sachin purvi aur shreya jake factory dhundo tab tak hum is bank of baroda mein jake puchtach karte hai...
IN BANK OF BARODA
Abhi : excuse me !
manager : jee kahiye
freddy : CID
manager : CID ? kya baat hai sir
daya : jara aap log is ladki ka photo dekhiye ...kya aap ise jaante hai
manager : sir ye toh rita hai aur ye yahi pe kaam karti hai...par ise kya hua
abhi : kisine iska khoon kar diya
all shocked... one girl her name was simran come in front
simran : sir kaise hua ye sab
daya : kisine ise zeher diya tha
abhi : kya aapko kisi pe koi shaq hai ?
simran : haan sir...woh kafi dino se pareshaan thi
freddy : aapne unhe pucha nahi ki woh kis cheez ke liye pareshaan thi
simran : poocha tha sir...usne kaha ki woh kisise chutkara pana chahti thi...jab maine use poocha ki kisse ? ...toh usne kisi sameer ka naam liya
abhi : sameer...kaun hai ye sameer
simran : yeh toh mujhe bhi nahi pata
daya : thik hai thankyou...freddy in sabke naam aur number lelo...aur aap sab logo mein se koi bhi mumbai ke bahar nahi jayega
abhi : thankyou ...jarurat padi toh phir aayenge aapko pareshaan karne
IN BUREAU
abhi daya was discussing about case ...while rajat and team entered in bureau
rajat : sir bohot badi khabar mili hai ... sir goregoan ke glue factory mein se pata chala hai ki ye rita ...3-4 din se waha jati thi
abhi : kyu ? kisse milne ?
purvi : sir company ke malik se milne
daya : kaun hai ye company ka malik?
nikhil : sir uska naam sameer hai ...
abhi : kya sameer? par bank se pata chala ki rita sameer se chutkara pana chahti thi...phir woh 3-4 din se use milne kyu jati thi
shreya : sir factory ke watchman se pata chala ki sameer aur rita ka chakkar chal raha tha ...
daya : kya?
pankaj : haan sir ...aur un dono ke beech mein ladayi bhi hoti thi...kyunki woh usse shadi nahi karna chahta tha
abhi : is sameer se milna padega daya
daya : haan boss... rajat chalo factory chalte hai
rajat : sir par woh is waqt mumbai mein nahi...woh aaj subah hi bangalore gaya hai
abhi : chuha bhaag gaya ... par kab tak bhagega ?
daya : sachin us factory mein call karke uski koi photo aur addreess mangwao
pankaj : ye raha address
shreya : ye rahi photo
abhi : pehle se hi sab kuch leke aaye ho ... great job guys
purvi called to someone she talked and said to abhi : sir ye sameer koi bangalore wangalore nahi gaya ...woh apne kisi dost ke pass chupke baitha hai
daya : kya baat hai ...juniors toh kafi hoshiyaar ho gaye
purvi : abhi sir se sikha hai
daya : sirf abhi sir se...
purvi : aapse bhi bohot kuch seekha hai
abhi : acchhaaaaa ( all laughed )
rajat : sir aap yahi rukiye hum abhi pakad ke laate hai sameer naam ki chidiya ko
abhi : tu bhi meri copy karne laga
rajat : bas seekh raha hoon sir
team went and caught sameer ...now in bureau ...daya gave him tight slap
daya : bol kyu mara rita ko ?
sameer : sahab mai ek glue factory chalata hoon...par waha pe ek don chupa tha 2 din se ...
abhi : kaun hai woh ?
sameer : katori tamta
daya : us katori tamta ko tumhe apne factory mein chupne diya ...desh se gaddari ki hai tumne...desh se
sameer : rita ko pata chal gaya tha ki maine use factory mein chupaya tha ...woh sabko batane wali thi isliye majburan use khana khane ke liye leke gaya aur waha uske khane mein zeher milaya... isse pehle ki woh police station pohochti usne dum tod diya
abhi : ek don ko chupane ke liye ek masoom ki jaan liyi tumne...{abhijeet showing him a little indian flag on his desk} is tirange ko dekh rahe ho na sameer...yeh sirf 3 rang nahi hai...bahaduri sabhyata aur khushali ke pratik hai...aur jab bhi koi gaddar iski taraf aankh uthake dekhta hai toh uska namonishan is dharti se mita diya jata hai...
daya : sachin le jao ise
abhi : yaar daya ... ye katori tamta yaha kya karne aaya hoga?
daya : use jald se jald dhundna padega
abhi : pichli baar uske bhai ko mara tha ab iski bhi bari aa gayi hai
ACP : kya hua ...kya soch rahe ho tum dono ?
abhi explained everything to ACP about katori tamta...
daya : use toh is baar dekh lenge ... woh bhi yaad rakhega ki kisse pala pada hai...
ACP : haan daya ... ab hum ise nahi chodenge ...bas ye kauwa hath mein aa jaaye
daya : mai toh iski gardan marod dunga ...
while DCP Chitrole entered in bureau...
DCP : kiski gardan marodne ki baat ho rahi hai .
abhi : lo bhai inhi ki kami thi...ye sahab bhi aa gaye
DCP : kyu mai nahi aa sakta ?
ACP : aisi koi baat nahi sir... abhijeet ka matlab ye tha ki aap aa gaye hai toh koi buri khabar bhi laye honge
DCP : tumhe kaise pata chala
daya : matlab sachme buri khabar laye hai aap
DCP : sirf buri khabar nahi sabse buri khabar leke aaya hoon
abhi : aur woh sabse buri khabar kya hai ?
DCP : mere khabri se pata chala hai ki CID mein koi ek officer katori tamta he haton bik gaya hai
ACP : ye kya bake ja rahe hai aap...aapko pata bhi hai kinpe shak kar rahe hai aap?
DCP : haan pata hai CID team ke kisi ek officer pe jo abhi ek gaddar ban gaya hai.
daya : ye aap kaisi baatein kar rahe hai sir?
abhi : It's just impossible...yaha pe koi bhi gaddar nahi hai sir
DCP : Srivastava mujhe pata hai ki tumhe ACP aur daya pe apne aap se bhi jyada bharosa hai ...par un juniors ki kaun guarantee dega ?
abhi : mai deta hoon aapko guarantee...mere juniors aisa kuch nahi kar sakte...kaam kiya hai maine unke sath...dekha hai unhe khatron se khelte hue...CID ki shan ko mitti mein nahi milne denge woh ... aap jara us khabri kaam bataiye jisne aapko ye galat khabar diyi hai...mai khud jakar uski khabar leke aata hoon...
DCP : mangu naam hai uska...tumhe confirm karna hai toh kar lo...chickoo wadi ke chawl mein rehta hai
abhi : okay
DCP : mai chalta hoon ...aur ha jara sambhal ke (and he went outside the CID Bureau)
abhi : inki himmat kaise hui hamare team pe ungli uthane ki
daya : chod yaar abhi... tum bhi kiski baat leke baith gaye...
ACP : haan is chitrole ki toh aadat hi hai CID team ko nicha dikhane ki...mauka mile toh hamari ijjat uchalne lag jata hai...
abhi : par pata nahi ...mujhe us mangu pe shak ho raha hai
daya : yaar chod is baat ko ...chal khana khane chalte hai
they both were in sunshine restaurant ...but abhi was not eating properly ...continously he was thoinking about what DCP Chitrole said in Bureau...
daya : pehle khana kha lo ...aur phir sochna jo tumhe sochna hai ...aur please haan apna yeh sharp dimag khana khane ke baad chalana
abhi : kha toh raha hoon
daya : dikh raha hai
AT NIGHT (abhi & daya in quallis ...on the way to their home...but abhi was still little tensed)
abhi : daya gadi roko
daya : par kyu?
abhi : mai us mangu se milke aata hoon
daya : kal chale jana ...abhi bohot raat ho gayi hai... dekho raat ke 11 baj rahe hai..
abhi : woh mai nahi janta
daya : okay chalo mai bhi aata hoon
abhi : nahi tum nahi aaoge
daya : are par...
abhi : koi par var nahi...samjhe...jao ghar
daya : okay boss...jaldi ghar chale ana ...bye good night
abhi : good night...
NEXT DAY (15th july)
ACP & Salunkhe entered in bureau daya and team : good morning sir
Salunkhe : are yaar pradyuman aapke dusre cheeranjiv kaha hai SR. INSPECTOR ABHIJEET
ACP : daya hai kaha ye abhijeet
shreya : are daya sir aap in dono ko gift de dijiye jo abhi sir ne diye the
daya : are haan ... thanks shreya yaad dilane ke liye ... mai toh bhul gaya (daya handover their gifts to them ) ye lijiye sir abhi ka gift
Salunkhe : kyu bhai ... hume kyu ?
Daya : woh usne sabke liye liya hai
ACP : ye abhijeet bhi na ekdam pagal hai
Daya : koi kuch nahi kahega mere bhai ko.
purvi : haan koi kuch nahi kahega mere bhai ko
ACP : accha accha par hai kaha woh
daya : sir woh kal raat ko mangu ke ghar gaya tha
ACP : kya ?
daya : maine usse kaha tha ki mai bhi aata hoon par woh nahi mana...
rajat : sir abhi sir ka phone nahi lag raha hai...
ACP : kaha reh gaya yeh abhijeet
Salunkhe : kahi usne kuch kiya toh nahi
Purvi : ye kya keh rahe hai sir aap
daya : abhi aata hi hoga
abhi entered in bureau (he was looking so dull...)
ACP : kya hua abhijeet kaha the?
daya : tum thik toh ho na
abhi : haan yaar mujhe kya hua hai...mai toh bilkul fit hoon
Salunkhe : by the way thanks abhijeet for this coat ..
abhi : ye toh daya ki taraf se hai
ACP : accha tum kaho aur man le ki daya ki taraf se hai
daya & abhi smiled'... mean while bureau phone rang
rajat : hello CID Bureau...kya ?...lash mili hai ...kaha pe...okay aap wahi rukiye aur lash ko kisiko bhi hath lagane mat dijiye...hum abhi aate hai
abhi : kya hua rajat ?
rajat : sir bandra mein lash mili hai...
daya : chalo phir
BANDRA
Abhi : (while observing dead body) goli mari hai
daya : boss iske pass toh koi ID proof bhi nahi hai ..purse bilkul khali hai..
abhi : aise raste pe lash dali hai ...khooni ek toh sarfira hai nahitoh ...
rajat : nahitoh kya sir
abhi : nahitoh woh CID ko challenge kar raha hai
daya : jo bhi ho...purvi ambulance bulao...aur lash ko forensic lab mein bhejo
purvi : yes sir
FORENSIC LAB
ACP : haan salunkhe bol...kya pata chala hai ?
Salunkhe : filhal toh bas itna pata chala hai is ladki ko mare hue 2 din hue hai... yani ki kam se kam 48 hours pehle hi yeh mar chuki hai
daya : ye kaise ho sakta hai ...is ladki ki lash sadak ke bichobich mili hai
rajat : 2 din pehle mari hai...toh use koi na koi dekhkar hume inform karta...but logo ko toh woh lash aaj hi mili
Salunkhe : woh mai nahi janta rajat ... mai bas itna janta hoon jo yeh lash mujhe bata rahi hai
ACP : daya agar ye ladki 2 din pehle mari hai...toh khooni ne aaj kyu lash sadak pe rakh diyi...woh bhi aisi jagah pe jaha use sab log dekhe...kuch gadbad hai daya...ye koi badi planning hai...
daya : haan sir...ye ek sochi samjhi chal hai ..
rajat : sir aaj ki date hai 15 july ... iska matlab ye hai is ladki ki maut 13 july ki subah hui hogi
ACP : haan rajat...yaar Salunkhe kya tu timing bata sakta hai ...ki kis time pe yeh ladki mari
Salunkhe : boss exact time batana toh mushkil hai ...par subah 8-9 baje tak mari hogi
ACP : pata karo is ladki ke bare mein
purvi : sir iske mobile se pata chala hai ki iska naam shruti hai...aur ye bandra mein hi rehti hai...aur ye koi beauty parlour chalati thi
ACP : goooood...daya tum aur abhijeet jake pata karo is ladki ke barein mein
daya : yes sir
IN CID BUREAU :
ACP : rajat ek baat abhitak samajh mein nahi aa rahi ki is ladki ko 2 din baad kyu sadak pe daal diyi...aakhir chahta kya hai ye khooni...
rajat : mai bhi yehi soch raha hoon sir
daya abhi entered in bureau
daya : sir is shruti ke assistant se pata chala hai ...ki ye koi sidhi sadhi ladki nahi thi ...
ACP : matlab kya hai tumhara ?
abhi : matlab ye sir ...ki ye shruti ...gundo se sath milti julti thi
ACP : kya ?
daya : haan is ladki ka guddu ke sath utha baithna tha
ACP : kya kaha tumne guddu ?
rajat : sir ye guddu toh katori tamta ka right hand hai ?
ACP : exactly rajat ...(acp's cell phone rang )...hello...haan salunkhe bol...are aisi bhi kya baat hai ...accha thik hai aata hoon...
daya : kya hua sir ?
ACP : salunkhe keh raha hai ... ki koi badi baat pata chali hai par phone pe nahi bata sakta ...chalo sab log chalte hai..
FORENSIC LAB
Salunkhe in bold character but tarika was so tensed...
ACP : haan salunkhe bol aisi kya baat hai ki hume yaha bula liya
abhi : kya hua salunkhe sir ... aapki gf bhag gayi kya
Salunkhe : filhal toh nahi bhagi...par tumhari hone wali gf jarur bhag jayegi
abhi : aap toh naraj ho gaye ...
Salunkhe : mai seriously bol raha hoon abhijeet (loudly)
all become scared even abhi & daya too
ACP : yeh kya hai salunkhe ? kaam ki baat kar na
Salunkhe : mai kaam ki hi baat kar raha hoon pradyuman
daya : ye kaam ki baat hai kya ?
Salunkhe : haan...aur pradyuman juniors ko bahar bhej doge toh accha hoga ...kyunki yeh juniors jinki ijjat karte hai...jinki tarah banne ki koshish karte hai...woh hi gaddar nikle...toh yeh log sehen nahi kar payenge...
ACP : matlab kya hai tera ...
Salunkhe : wahi jo hamesha se hota aaya hai ...
abhi : kya
Salunkhe : itne bhi bhole banne ki koshish mat karo abhijeet ..
daya : sir aap abhi ko kyu daant rahe hai ...usne kya bigada hai aapka...
Salunkhe : sare sawalon ka jawab deta hoon pehle juniors ko bahar jane ke liye kaho
ACP : koi kahi nahi jayega salunkhe...tujhe jo kehna hai saaf saaf bol
Salunkhe : toh suno ... tumhare sabse intelligent officer ...jise tum apna maan samjhte ho... jise tum apna right hand samajhte ho ...is ladki ki hatya ki hai
abhi : yeh kya keh rahe hai doctor sahab aap...aap hosh mein toh hai... mai is ladki ko janta tak nahi... aur mai bhala kyu marunga is ladki ko
ACP : salunkhe kya hai ye sab...dekh mai majak ke mood mein nahi hoon
Salunkhe : duty ke waqt mai bhi majak nahi karta ...mai abhi wahi keh raha hoon jo mujhe meri reports bata rahi hai...
daya : what do you mean ?
Salunkhe : mujhe pata tha aap log meri baaton pe vishwas nahi karoge ...vaibhav jara woh bullet lana jo hume is ladki ki body mein se mili hai...
vaibhav : yes sir
Salunkhe : abhijeet mujhe tumhari gun chahiye
abhi : par kyu...
Salunkhe : agar tumne kuch nahi kiya toh itna kyu dar rahe ho
(ABHI GAVE HIS GUN WHILE NODDING IN NO)
Salunkhe : good...ab aap sab log mere sath aayiye (all went close to )
tarika : sir dono bullets match ho gayi hai...iska matlab khoon abhi ke gun se hi hua hai (she said to strongly)
all shocked...
abhi : ye kaise ho sakta hai ...mai kyu karunga kisika khoon... mujhe koi fasane ki koshish kar raha hai
Salunkhe : har baar tumhe hi fasane ki koshish karte hai sab...tum toh dudh ke dhule ho
abhi : excuse me sir...
ACP : abhijeet saaf saaf batao baat kya hai
abhi : sir aap yeh kya keh rahe hai...
daya : dekho abhi agar tumhare hath se galti ho gayi hai toh surrender kar do
abhi : (abhi just stunned) daya tu bhi
daya : agar koi baat hai toh mujhe batao...mai tumse wada karta hoon...mai tumhe jald se jald chuda lunga..
abhi : enough is enough...ho kya gaya hai sabko...maine kaha na mai is ladkiko janta tak nahi...
purvi : sir mai aapke sath hoon...bhale koi aapka sath de ya na de
ACP : chup raho purvi...
purvi : sir par kitni bar shak karoge unpar...baadme aapko pachtana hi padta hai...
abhi : rehne do purvi ...
vaibhav : sir is lash pe kisi aur ka khoon bhi hai...
Salunkhe : kya ? ye maine pehle kyu nahi socha...abhijeet us chair pe baith jao...mujhe tumhara blood sample chahiye
abhi : aapko mujhse problem kya hai ...kyu aap apni personal dushmani nikal rahe ho
ACP : abhijeet jake baith jao
daya : kuch nahi hoga abhi...ek test hi toh hai...
abhi sat ...vaibhav take blood sample...and salunkhe checked..
Salunkhe : yaar pradyuman
purvi : kya baat hai sir..woh khoon abhi sir ka nahi hai na
Salunkhe : ye khoon bhi match ho gaya boss
ACP : abhijeet tumhe koi chot aayi hai kya ?...daya check karo kahi koi chot ka nishan hai kya ?
daya : sir par mai kaise...
ACP : its an order daya...just do it
daya : yes sir !...(he checked bandaid on his 4th finger of left hand)
daya : yeh chot kab lagi abhi
abhi : ye chot toh chotisi chot hai... maine kaha tha na tumhe meri gadi kharab ho gayi thi tab lagi
ACP : kab kharab ho gayi thi gadi ?
daya : 13 july ko
ACP : is ladki ka khoon bhi 13 july ko hi hua tha
daya : abhi ...tumhari gadi usi time pe kaise bigad hayi ...jab us ladki ka khoon hua
abhi : its just a coincidence ,... (now really in bad anger)
ACP : chillao mat SRIVASTAVA... batao kyu mara us ladki ko
abhi : sir maine kisiko bhi nahi mara
Salunkhe : tumhari gun se khoon hona...lash par tumhara khoon milna...tumhari hath pe chot ka nishan hona...tumhari gadi bandra mein band hona...that is the same place where the girl's dead body was...tumhari gadi ka usi samay band hona jis samay par is ladki ka khoon hua... ye saari baatein coincidence nahi ho sakti
daya : mai soch bhi nahi sakta tha ki tum kisika khoon kar sakte ho (in shock)
abhi : daya meri baat toh suno
daya : mar gaya daya aajse tumhare liye
abhi : dekh mere bhai aisa mat bol
daya : mujrim kisike bhai nahi hote...samjhe tum ( and he went out of foremsic lab )
abhi was really shocked on daya's behaviour...he looked at everyone and smiled sadly...
ACP : matlab mangu ne jo DCP sir ko information diyi thi ...ki koi CID se gaddari kar raha hai woh sahi tha...
sachin jake leke aao is mangu ko
sachin : ye sir
(after sometime ACP got call from sachin)
ACP : haan sachin bolo...kya?...mangu ka khoon ho gaya ...ek kaam karo sachin lash ko forensic lab leke aao (sachin came with dead body within 15 mins)
Salunkhe : ye kal hi raat mar chuka hai
ACP : abhijeet kal raat tum bhi gaye the na mangu se milne
abhi : haan sir
ACP : milne gaye the ya use mar dalne ke liye gaye the...taki tum pakre na jao
abhi : sir mai gaya tha usse milne par uske ghar pe tala laga tha
Salunkhe : mujhe toh pehle hi pata tha... ki ek na ek din ye abhijeet CID ke liye woh gandi machli sabit hogi...jo pure talab ko ganda kar degi ...yani ki puri CID team pe dabbha sabit hoga...kalank hai abhijeet humari CID team pe..kalank
( abhi was stunned and didn't utter a single word...but he was having silent & fresh pearls which was fastly coming from his cheeks ...)
ACP : rajat ... arrest karo ise
rajat : sir par...
Salunkhe : ab apne boss ka order bhi nahi manoge rajat
rajat arrested abhi...
abhi : 18 saal 4 mahine aur 14 din...wafadari se kaam karne ke baad mujhe ye milta hai
OUTSIDE FORENSIC LAB
daya :( crying badly...) ye kya ho gaya...kis mukam tak pohoch gayi humari dosti...maine yeh sab sapne mein bhi nahi socha tha...waha sabke samne toh bohot strong hoke bol diya...par abhi ke bina mera kya hoga...kaise sambhal paunga mai khud ko...har cheez pe abhi pe hi depend tha mai...uske bina toh mere gale se khana tak nahi utarta...
IN JAIL :
abhi was lying like a dead body...tears were flowing from side of his eyes... nobody have came their to see him
IN CID BUREAU :
all were quite...but purvi was thinking something...
daya : sir ye rahi case ki reports.
purvi : sir mujhe aapse sabse baat karni hai
ACP : kya hai purvi ...mujrim ki tarafdari karne aayi ho toh nahi sunna kuch bhi.
daya : purvi ... bhul jao
purvi : oh please daya sir...aapko achanak kya ho gaya ...aapke liye chalne wali har goli unhone ne apne seene pe le liyi...tab aapke liye woh bhai the... aur aaj jab unko aapki sabse jyada jarurat hai tab aapne unse rishta hi tod diya...wah sir wah...aur ACP sir aapko kya hua...aapne hi hume sikhaya na...ki bhale mujrim hath se chut jaye...par kabhi kisi begunah ko saja nahi milni chahiye
ACP : kehna kya chahti ho tum?
purvi : mai bas yeh chahti hoon...ki aap mere kuch sawalon ka jawab de
daya : pucho
purvi : kitne saalon se abhi sir aapke sath kaam kar rahe hai ?
ACP : 18 saalon se
purvi : toh kya aapko yeh lagta hai ...ki abhi sir ko akkal nahi hai...
daya : humne aisa kab kaha
purvi : CID team mein sabse jyada intelligent cop ka award aap kise dena pasand karoge
ACP : abhijeet ko
purvi : kyu ?
daya : abhijeet ke itna dimaag ...yaha pe koi nahi chala sakta
purvi : par abhi sir ke yaadasht ke problem ke bawajud bhi unhe ye award denge ?
ACP : haan...yaadasht ke problem se uska dimag kabhi kam nahi hua
purvi : toh aap logo ne ye kaise soch liya ki abhi sir kisi ko maar ke lash raste pe fake denge...taki woh sabko dikhe
(ACP & Daya just shocked)
daya : (with hesitation) matlab kya hai tumhara
purvi : matlab saaf hai ...ki abhi sir itni badi galti karke apne aap ko kyu fasayeinge...
ACP : ye toh humne socha hi nahi...daya kahi humse galti toh nahi hui
purvi : galti ho gayi hai sir... us ladki ka naam hai shruti... ye kisi underworld ke gang se mili thi
rajat : kya?
purvi : ye baat mujhe daya sir ke khas khabri raka ne batayi... aur us gang ka leader hai katori tamta...aaj raat ko resham bar mein ek drug deal hone wali hai ...wahi pe milega yeh katori tamta
daya : toh chalo...bichao jaal...aaj ye katori tamta hum se bach ke nahi jana chahiye...
TEAM : yes sir
NIGHT (RESHAM BAR)
all officers in diguise of tapori and rowdies... and then they saw katori tamta ...without wasting time ...they just attacked on him...other officers were fighting with goons and daya was holding katori tamta's collar...
IN BUREAU :
katori tamta was laughing loudly...
daya : ab hasna band kar...tumhara khel khatam ho gaya
katori tamta : hahahaahha...hhhaaha...kisne kaha khel khatam ho gaya...mere upar bhi ek boss hai...woh tum logo ko nahi chodegi...khaskar us abhijeet ko
(daya started beating him harder...and katori tamta started crying and begging of his life)
katori tamta : maaf kar do mujhe
ACP : nikal gayi hawa...ab batao kaise fasaya abhijeet ko?
katori tamta : maine hi mara tha us shruti ko...
daya : abhijeet ki gun kaha mili tumhe
katori tamta : abhijeet jaha shooting center mein practice ke liye jata tha...waha par pehle se hi maine apna ek admi set karke rakha tha...jab abhijeet ne waha apne gun se shooting kiyi...tab mere admi ne uski ek goli waha se chura liyi...
aur shruti pe lagi hui goli nikalkar...usme abhijeet ki goli daal diyi..
daya : aur lash pe abhi ka khoon kaise dala?
katori tamta : peechle hafte abhijeet ne ek NGO mein blood donate kiya tha...woh blood sample chura ke lash pe thodasa khoon daal diya...
daya : itni lambi planning...sale tujhe toh mai zinda nahi chodunga..(daya was about to attack him but ACP holds him)
purvi : par kyu fasana chahte the tum abhi sir ko...
katori tamta : usne mere bhai ko meri hi aankhon ke samne goli maar diyi..
daya : agar abhi us waqt tumhare bhai ko na marta toh aaj mumbai sheher hazaro logoka matam mana raha hota... desh drohi tha tera bhai aur tu bhi...
purvi : tumhari yeh boss kaun hai ?
katori tamta : uske pati ko bhi abhijeet ne hi mara tha..
ACP : kiski baat kar rahe ho tum ?
katori tamta : HP ki...
daya : HP woh international don ...harfis dongara
katori tamta : uski wife HP ki jaan ka badla lena chahti hai abhijeet se...
ACP : nikhil sachin ise leke jao
daya : (cried out) ye humne kya kiya sir...abhi begunaah hai sir
purvi : abhi bhi der nahi hui ...chaliye hum leke aate hai humare abhijeet sir ko
rajat : haan sir... hum unko abhi jail mein nahi rehne de sakte...
NEXT DAY (16th july)
IN QUALLIS
(daya was remembering all that words that what he said to abhi...he was feeling shame on himself that he did'nt trust his brother...he was just crying on his own harsh words what he said to abhi...)
JAIL
ACP come inside abhi's shell...abhi immediately stand up and clear his face which was wet due to tears...
abhi : ab aur bhi kuch kehna bacha hai...
daya : abhi yaar...hume maf kar do...humne tumpe vishwas nahi kiya...(and he burst out while crying)
abhi : tumhe acchi tarah se pata hai ki mujhse tumhare ye aansu dekhe nahi jate
ACP : ye sab katori tamta ki sajish thi...aur HP ki wife ki bhi...
daya : chalo abhi yaha se
abhi : ab kyu ...itni humdardi...ho kaun tum mere (he said hin teary voice)
daya : bhai hoon mai tumhara
abhi : tab toh badi badi baatein kar rahe the
daya : ye sab baatein baad mein bhi toh sakti hai na...pehle yaha se chalo
(sudden abhi loose his balance ...and was about to fall...but daya hold him...abhi became unconscious...)
daya : ise toh bohot high fever hai
purvi : aap formalities puri kariye...mai aur rajat sir abhi sir ko hospital leke jate hai...
daya : thik hai sambhal ke...
(ACP & daya completed all formalities regarding the jail issue)
IN HOSPITAL
doctor came out of ward
purvi : doctor abhi sir thik toh hai na
rajat : kuch boliye doctor
doctor : dekhiye...he is absolutely fine...infact abhi unhe hosh bhi aa jayega...
(soon CID team arrived there even salunkhe and tarika)
tarika : purvi abhi kaisa hai ?
purvi : thik hai
nurse : excuse me...patient ki body mein movement ho rahi hai ...shayad unhe hosh aa raha hai...aap log unse mil sake hai...
(daya and team rushed inside the ward...he saw abhi was restless...daya went and hold his hand in his... fever was not there...but abhi was murmuring something in semiconscious state)
abhi : (semiconscious) daya...mai khooni nahi hoon...mera yakeen karo
(listening this from abhi's mouth,...all were having fresh tears ...and daya just burst out and started crying loudly...rajat hold him)
(abhi was gaining his full sense now...and after few seconds he open his eyes completely...he stare once at full team...but didn't said anything...)
ACP : kaise ho abhijeet.?
abhi : (in weak tone) bilkul waisa jaise aap sab log mujhe dekhna chahte the...
ACP : abhijeet...we are really sorry for that
abhi : its okay sir & he smiled weirdly...
doctor : how you feeing now officer
abhi : I'm absolutely fine doctor...
doctor : that's good..
abhi : mujhe discharge kab mil jayega ?
doctor : jab aap chahe...bas aapko time me medicines leni padegi..
abhi : thanks doctor
doctor : you are most welcome (then he went out)
daya : abhi aaj tum rest kar lo yaar ...kal discharge lena
abhi : mera dum ghut raha hai yaha
nurse : excuse me ...aap thodi der patient ko aram karne dijiye...drip khatam hone ke baad unhe discharge mil jayega..
(all went out...and abhi started crying madly...but all officers were watching him through glass)
daya : use bohot hurt kar diya humne (sobbing)
ACP : haan daya ...humse bohot badi bhul ho gayi...agar humne uspe vishwas kiya hota toh shayad ye sab na hota...
(after 2 hours abhi got discharge...daya and abhi in quallis ...but strange silence was present)
daya : abhi !
abhi : mmm
daya : yaar mujhe maaf kardo
abhi : mmmm
daya : mujhe itna bura bartaw nahi karna chahiye tha tumse...
abhi : mujhe bohot hurt hua jab tumne woh sab kaha...dekh daya tu meri jaan hai...tere bina mai kuch bhi nahi hoon...aur na hi mai tujhpe gussa hoon...
daya : kyu jhoot bol rahe ho abhi...gussa aa raha hai toh nikalo na mujhpe...
abhi : nahi aa raha mujhe gussa (they reached to home)
daya : tum jake fresh ho ke aao...mai abhi dinner ka intajam karke aata hoon
abhi : mujhe kuch nahi chahiye
daya : tumhe medicines leni hai abhi khana toh khana hi padega
abhi : maine ek baar bola na...nahi chahiye toh nahi chahiye
daya : humara gussa khane pe naa hi utaro toh tumhare liye behtar hoga...bye...mai aata hoon...
( abhi got fresh & lie down on bed...tears were flowing from corner of his eyes...but soon daya came)
daya : boss mai aa gaya...( but he saw abhi was crying...abhi just wiped his own tears roughly...and showing himself so strong...but he was not stong from inside...)
daya : boss...mai janta hoon tumhare upar kya beet rahi hai...aur shayad isme galti meri bhi hai...maine bhi tumhe samajhne mein galti kar diyi...mujhe maf kar de mere bhai
abhi : koi jarurat nahi mafi mangne ki...maine tumhe kuch bola kya?...nahi na ...toh phir kyu bar bar mafi mang rahe ho...tumhari kisi baat ka bura nahi lagta mujhe agar woh baat meri liye hoti...par aaj bohot dukh ho raha hai ki tune meri wajah se marne tak ki baat ched di...
(after silence of 10 mins)
daya take initial and said : chalo dinner kar lete hai ...
( both of them have their dinner...without uttering a single word...there was pin drop silence in duo home...which was so rare ...soon abhi take medicines and slept...daya too went in bedroom)
DAYA'S ROOM
daya was thinking something ...
flashback...
abhi : daya uth jao..
daya : sone do na abhi...
abhi : agar aaj late ho gaya toh phirse ravan (ACP)se daant milegi...
daya : mmmmmm... bas 5 mins...
abhi : thik hai...mai breakfast ready karta hoon...tab tak tu ready ho ke niche aa ja
daya : yes boss
(abhi make breakfast ...daya too got ready and directly sat on dinning table)
abhi : aa gaye...mai abhi khana leke aata hoon...
daya : jaldi lana bhook lagi hai..
abhi : ye lo...
daya : ye kya hai..?
abhi : andha hai kya ?...ise kehte hai sandwich aur yeh raha aapka doodh...
daya : kya yaar aaj sandwich khane ka man nahi kar raha
abhi : toh kya subah subah aapko biriyani banake doon..
daya : oh please... why not ?
abhi : mota kahika
daya : kya kaha tumne,...
abhi : kuch nahi tum toh mere chote se pyaare se teddy ho
daya : (straighting his collar) woh toh mai hoon hi... cute sa...tumhara teddy bear
abhi : itna bada teddy bear...
daya : toh kya hua ...hoon toh mai cute
( this time abhi just smiled and waved his hands on daya's hairs...daya was feeling great sooth in that magical touch)
flashback over...
daya too slept ...
NEXT DAY (17th july)
IN BUREAU
(daya & abhi entered and all wished them with great smile daya wished them too...but abhi just gave a fake smile)
purvi : abhi sir...aap aaj kyu aaye aapko toh aaram karna chahiye...(she came close to him and put her hand on his forehead to check fever)...aapko toh abhi bhi bohot tej bukhar hai...
abhi : is bukhar se kuch nahi hota purvi... mai ek important kaam se aaya hoon...kaam hote hi chala jaunga
daya : kaisa kaam abhi ?...tumne mujhe nahi bataya ..?
ACP : kya kaam hai abhijeet ?
abhi : ye lijiye sir ( giving him a letter)..
ACP : kya hai yeh abhijeet ?
abhi : mera istifa hai sir ... resignation..(all shocked baadly)
ACP : yeh kya keh rahe ho abhijeet...tum hosh mein toh ho
abhi : hosh hi toh gawa chuka hoon sir
purvi : par sir ab toh aapki begunahi sabke samne sabit ho gayi hai...phir aap aisa kadam kyu uthana chahte ho ?
abhi : woh kya hai purvi...insan kitne bhi bade pahad se gir jaye...woh koshish karke khada jarur ho jata hai...par koi apno ke nazron mein gir jaye toh use koi bhi khada nahi kar sakta...
daya : ye kya keh rahe ho abhi...aaj bhi humare dil mein tumhare liye wohi pyaar wohi ijjat hai tumhare liye...
abhi : family mana tha is CID team ko...aur mujhe kya sila mila...mai chalta hoon...good bye
daya : abhi ruko ...( but he didn't wait ...but soon daya went & grabbed his hand & forcefully stopped him)
daya : abhi ruk jao yaar...ye kya pagalpan hai...
abhi : mujhe nahi pata
daya : abhi CID ki naukri...sirf ek naukri nahi hai humare liye...humari zindagi hai...tum zindagi se bhagna chahte ho
abhi : daya mai zindagi se nahi baghta...ye zindagi hi mujhse dur bhag jati hai...mera ateeth pehle hi mujhe dur ho chuka tha ...ab mera aaj bhi mera nahi raha...pata nahi yeh tisri zindagi mai shuru kar bhi paunga ya nahi...
daya : kaisi baatein kar rahe ho abhi...hum hai na tumhare sath
abhi : mujhe jane do daya...ab yaha meri koi jarurat nahi...kalank hoon mai...gandi machli hoon...CID pe dhabba hoon (he was crying madly) ... na jane kitni baar mere upar ungliya utengi...meri wafadari ko gaddari sabit kar diya...ab mujhe aur kuch nahi chahiye...kuch bhi nahi
purvi : abhi sir...aap humare liye bohot important ho...aapke bina ye CID team bikhar jayegi sir...please sir aap aisa mat kijiye...hume aapki jarurat hai...aap ab bhi CID ke sharpshine ho...aap ab bhi CID ki shan ho...aap ab bhi ACP sir ke right hand ho...aap ab bhi daya sir jaan ho...aap ab bhi hamari prerna ho...
