AOA. I hope I am not too late. Well you guys have amazing guessing power.
Thankyou
.1
Katiiy
2 chapter
Dareya789
Shzk
Aditi
For your reviews and support
Patient aur doctor ki baatain sun k us k parents shocked reh jatay hain aur usay samjhanay ki koshish kartay hain par unki baton se patient hyper ho kar unchi unchi awaz main chilanay lagta ha aur patient k chilanay ki awaz sun k team ander a jati ha. Daya patient k pas jata ha aur patient usay daikh k zor se hug kar laity ha.
Patient: Daya daikhiye nay eh sab kia keh rhay hain?
Everyone is astonished that she is calling him Daya.
Daya: kia keh rhay hain sab?
Patient: sab keh rhay hain k ap meray husband nhi hain. Hamari shadi nhi hui ha
Daya: Shreya yeh
Doctor cut him with: mazak kar rhay hain
Shreya hugs Daya more tightly
Shreya: mazak? Koi aisa mazak karta ha kia? Inhain nhi pta k main Daya k bina nhi jee sakti
Everyone is stunned at their place. Don't know what to do or say.
Doctor: abhi apko aram ki zrorat ha
Shreya tightens her grip on Daya
Shreya: nhi main Daya k sath rhon gi
Doctor: han to wo yahin hain
All leave from there except Daya as Shreya is still in hugging him. Daya calms her down and make her lay down.
Shreya: ap naraz hain mjh se? please I am sorry. Please. Agar ap naraz rhain gay to main mar jaon gi
Daya: Shreya yeh kaisi baatain kar rhi ho
Shreya: sach keh rhi hon. Meri khushi, meri zindagi ap hain
Daya: tum aram kro
She has not left him and still hugging him tightly.
Daya: Shreya chalo ab lait jao.
Shreya: nhi ma so jaon gi to ap mujhay chor k chalay jaen gay
And tears come in her eyes
Daya: tum utho gi to main yahin hon ga
Shreya lays down after hearing that.
After sometime she sleeps and Daya comes outside where everyone is waiting for him. As soon as he comes outside doctor calls them to his cabin.
Shreya's parents, Daya, Abhijeet, Acp and Dr. Salunkhe goes to doctor's cabin.
In the cabin:
Daya: doctor yeh sab kia ha? Shreya aisay q behave kar rhi ha? Aur apnay yeh q kaha k sab mazak kar rhay hain jab k sach yahi ha k humari shadi nhi hui ha
Doctor: sar pa chot lagnay ki wjah se un ka dimag filhal sab kuch sahi tarha se analyse nhi kar pa rha ha
Sm: lakin yeh shadi aur phir Daya ko husband kehna?
Doctor: ap logon na btaya unki shadi ki baat chal rhi ha?
Sf: g lakin Sidhart k sath
Doctor: un ka dimag do sab events ko meaning dainay k liye aik sath jor rha ha
Abhijeet: matlab?
Doctor: matlab yeh k abhi us ka dimag sab kuch analyse nhi kar pa rha is liye jo baat jitni yad ha usay dosri baat k sath jor rha ha. Un k dimag ma shadi ki baat thi phir is hadse se pehlay wo Daya k sath thi to dono baton ko jor k us k dimag na aik bna dia ha
Sm: ab mairi bachi kaisay theak hogi?
Doctor: daikhiye. Yeh sab temporary ha. Abhi us ka dimag stressed ha. Jab tak us ka dimag relax nhi krta kuch nhi kaha ja sakta
Acp: to abhi kia karna chahiye?
Doctor: abhi unhain kisi bhi kisam ka stress daina theak nhi ha
Daya: matlab?
Doctor: wo jo kahain man lain. Behas na krain na hi unhain sach btanay ki koshish krain q k aisa karnay se un k dimag pe stress hoga.
Daya: lakin wo mjhay apna husband keh rhi ha
Doctor: apko un ka husband banana hoga
Daya: ye hap kaisi baatain kar rhay hain
Doctor: ziada stress se unki jaan ko bhi khatra ho sakta ha. Agay ap log daikh lain
All come out after that.
Abhijeet: Daya tujhay yeh karna hoga
Daya: Abhijeet tum yeh kaisi baatain kar rhay ho?
Acp: tum nay suna na k sach btanay se uski jaan ko khatra ho sakta ha
Daya: lakin sir wo mjhay apna husband samjh rhi ha
Abhijeet: to bun ja na
Daya: acha aur jub wo mairay pass aye to kia kron? Tjhay pta ha husband bnanay ka kia matlab ha?
Sm: beta yeh hamari beti ki zindagi ka swal ha
Daya: aunty jab wo theak hogi to guilt ki wjah se g nhi pae gi
Sf: theak to tab hogi jab wo zinda rhay gi
Daya: lakin main khud ko us k kareeb nhi la ja sakta. Ap log smjhnay ki koshish krain
Abhijeet: tujhay yahi problem haina k tu uska husband nhi ha to us k pass nhi ja sakta?
Daya: haan
Abhijeet: theak ha to tu us se shadi kar lay
Daya: yeh tu kia keh rha ha
Sm: haan beta please mna mat karna
Is bar start mainhi thanks keh dia end main kehti hon to kuch names ghayab ho jatay hain.
Oh and agay kia hoga kia Daya sir shadi k liye main gay ya Shreya us se pehlay theak ho jae gi?
Hopefully ziada late nhi hon.
I know short ha aur may be boring but please btaye ga zror any type of comment is welcomed.
Ok last but not the least kaisa lgaa zror btaye ga. Aur har review k end main please aik smiling face.
Thank you
