A/N
BACK WITH THE SECOND CHAPTER
THANKS FOR ALL THOSE WHO REVIEWED AND ALSO READ
HONEY ANY DISHA HOPE TUM DONON KO YEH CHAPTER BHI PASAND AAYE
BACK TO STORY
After the culprit is caught
Abhi was about to fall but
Daya: Abhijeet and he held him
Abhi: ahh….and he cluched his stomach
Daya: meine pehle bhi kaha tha tumse ki ilaaj karwao
Abhi: meine bhi kaha tha yaar mission complete ho jaaye uske baad ilaaj karwa lenge ab le chalo
Daya: chalo and they went towards their team till then Nikhil left with culprit
Purvi: sir aap theek hain
Abhi: haan Purvi but pain was clearly visible on his face
Daya: kya theek ho chalo hospital aur Purvi tum log chale jao mein isse leke hospital jaata hun..Ambulance bulana
Abhi was about to say something but Daya gave him an angry glance so he kept quiet
Purvi and Pankaj smiled
Purvi: sir ambulance aarahi hain
Daya: ok ab tum log jao bureau mein aata hun isse ilaaj karwa ke
Purvi: sir hum bhi aapke saath chalte haina
Abhi: nahi nahi Purvi uski koi zarurat nahi hain hum bhi aate hain tum logon ke saath haina Da..
But he stopped seeing an warning glance
Daya: tum log jao hum aate hain
Pankaj: sir and they left
Abhi was standing by clutching his stomach Daya saw it and took him and made him sit
Daya: chup chap yaha baithe raho hilne ki koshish bhi mat karna
Abhi: hmm….he said as he was feeling pain
Meanwhile ambulance arrived
Daya: chalo
And they started going
IN AMBULANCE
Abhi was lying on stretcher
Abhi: Daya yeh kya hain mein baitha hun na
Daya: nahi
Abhi: Daya pls na dekho mujhe kuch nahi huwa bas thodi si
Daya: kharoch hain haina? Mein hi toh pagal hun jo tujhe hospital leke jaa raha hun He said in completely tease
Abhi: huh…thank god aakhir tujhe akal aayi toh chalo na ghar chalte hain
Daya: Abhi mein mazaak ke mood mein nahi hun
Abhi: toh mein konsa mazaak kar raha hun
Daya saw an injection he picked it and said
Daya: dekho Abhi chup chap let jao warna…
Abhi: warna kya?
Daya: warna mein tumhe yeh bada wala injection lagaunga he said pointing towards the injection in his hands
Abhi: arey arey mein toh mazaak kar raha tha ab kya mein tumhare saath mazaak bhi nahi kar sakta?
Daya: mazaak…mujhe aisa mazaak bilkul pasand nahi aayinda mat karna ab let jao
Abhi's POV: iska kuch karna padega
Abhi: Daya
Daya: kya hain? He said angrily
Abhi: wo..wo hum ab kaha tak pahuche
Daya: bas 5 minute mein pahuchne waale hain kyu dard ho raha hain he said worriedly
Abhi: nahi wo bas aise hi
And they reached the hospital
IN HOSPITAL
Doctor after checking Abhi came out and said
Doctor: jee aap?
Daya: mein Abhi ka chota bhai Daya kaisa hain wo?
Doctor: wo theek hain lekin chot mein zyaada swelling hogayi tho rest karna padega aur 1 week tak aaram kareneg toh bilkul theek ho jaayenge
Daya: jee mein pura khayaal rakhunga abhi mil sakta hun usse?
Doctor: haan bilkul lekin abhi humne unhe sedatives di hain unhe bas ek ghante mein hosh aa jaayega
Daya: thanks doctor
Doctor: welcome and he left
Daya went inside the room and saw Abhi lying down under the effect of sedactives
Suddenly Daya's phone rang
Daya: hello?
ACP: haan Daya…Abhi kaisa hain?
Daya: sir theek hain doctor ne dressing kardi hain aur bola ki ek week rest karna chahiye
ACP: ek hafte? Tumhara bhai maanega?
Daya: usse manna padega sir he said in somewhat angry tone
ACP: theek hain lekin zara sambhalke handle karna
Daya: theek hain sir dekhte hain
ACP: theek hain apna aur uska khayaal rakhna
Daya: yes sir and he cut the call
ACP: ab toh Abhi gaya kaam se and he smiled to himself and continued his work
IN HOSPITAL
Daya is waiting Abhi to get into conscious doctor entered
Daya: doctor isse kab tak hosh aayegi
Doctor: bas thodi der mein hosh aayegi
Daya: mein isse leke jaa sakta hun I mean discharge
Doctor: jee aap formalities puri karke aayiye mein inhe check karta hun
Daya nodded and went and came back found Abhi woke up
Abhi: kaha gaya tha?
Daya: tumhe kyu? Abhi chalo jaldi ready ho jau mein gaadi mein wait kar raha hun and he was about to go but heard a voice
Abhi: abey mein kaise aaunga
Daya: udke aao ya pairon pe chalke aao jaldi aana
Abhi: arey meri help toh kar
Daya turned and said in a complete tease
Daya: kyu aap toh superman, ironman aur jitney bhi super heros hain unn sabki combination ho na tho tumhe meri kya zarurat
Abhi: Daya meine sorry bola tha na aur mission main bich mein chodke kaise aata
Daya: sorry bolne se sab kuch theek nahi hota Abhi…sorry kehne se tera ghav nahi barega
Abhi: par Daya mission bhi toh zaruri…Daya cut him and said
Daya: haan Senior Inspector Abhijeet ko tho sab kuch zaruri lagte hain sivaye mere
Abhi: aain? Meine tujhe kya kiya?
Daya: kya kiya? Meri jaan lene waale the tum…mein wapas bureau jaake tujhpe case karunga ki tune mujhe jaan se maarne ki koshish ki he said in complete angry tone
Abhi was totally stunned
Abhi: meine? Kab?
Daya: kab? Subah se wahi toh kar rahe the tum
Abhi: Daya samjha karo yaar
Daya: hhan ab toh mein na-samaj bhi ho gaya haina…bas ab bahut hogaya chalo yaha se aao
Abhi: arey meri baat toh…
Daya: meine kaha aao…and he helped him and Abhi followed him silently
While going there was completely silence in car which is vry unusual in duo's car so Abhi tried to start the convo
Abhi: Daya
Daya gave no answer
Abhi: Daya
Daya: kya hain haan? He said in irritative tone
Abhi: sorry he said in innocent tone
Daya: kyun?
Abhi: meine teri baat nahi maani na issiliye tumhe gussa aayana he explained like a small child
Daya: nahi bhala mein koun hota hun tujhpe gussa karne waala
Abhi: Daya pls
Daya: kya pls Abhi? Haan kya pls? he burst out like volcano
Abhi: sorry Daya mujhe teri baat manni chahiye thi lekin..
Daya: lekin tujhe tho hero giri dikhana tha ki dekho bhai mujhe chot nahi lagti agar kabhi lagti bhi ho tho mujhe bilkul bhi dard nahi hoga mein superman jo hoon yehi na he said in tease tone
Abhi: arey ek baar galti ho gayi maaf kar dena tum bhi kya itna bhadak raha hain he said in angry tone
Daya: arey wah!dekho bhai…yaha mein inke bhalayi keliye kaha aur yeh maharaj ulta mujh par hi chilla raha hain he said in annoyed tone
Abhi: arey mein kaha chilla raha hun he said in low tone
Daya: nahi tho kya mein chilla raha hun he shouted
Abhi: haan he said in low tone
Daya: kya?
Abhi: kuch nahi
After sometime again
Abhi: Daya
Daya: kya hain Abhi? Kyu baar baar bula rahe ho
Abhi: tu kuch baat kyu nahi kar raha hain
Daya: mera muh…meri marzi
Abhi: Daya aur kitni baar sorry kahun
Daya: boss meine pehle bhi kaha ki sorry kehne se kuch nahi hota
Abhi: tho kya karne se hota hain
Daya: mujhe kya pata he said confusingly
He made a cute innocent confused face by seeing it Abhi burst into laugh Daya looked at him for few minutes and he too started to laugh
Abhi: Daya tu bhi na….chal ab ghar aagya
INSIDE THE HOUSE
Daya: Boss tum yeh mat samajne ki mera gussa khatam hogaya hain
Abhi: oh no he thought
Abhi: Daya abh maaf bhi kar dena yaar pls dekh mein aage…
Daya: aage se aisa kuch bhi nahi karunga…yehi kehne waale the na tum lekin ab mein nahi manne wala samjhe
Abhi: acha baba theek hain sorry chalo abhi mein dinner..
Daya: nahi
Abhi stopped and turned
Abhi: kya?
Daya: tum 1 hafte tak kitchen mein nahi jaoge
Abhi: kyun?
Daya: kya kyun? Tumhe yaad haina ki tujhe chot lagi hain
Abhi: haan yaar he said in tired tone
Daya: tho phir chalo room mein rest karo mein kuch order karta hun humare liye
Abhi: par Daya ab toh mein theek..
Daya: chup bilkul chup ab jao andar
Abhi: Daya pls yaar sorry na aage aisa kabhi nahi hoga I promose
Daya: nahi Abhi mujhe toh ab tumpe bharosa nahi hain
Abhi: Daya pls na last time bola na
Daya: nahi boss tum jao mein…
Abhi: kya hain? Tu itna calmly kyu behave kar raha hain? Haan ho gayi mujhse galti aur mein kitni baar sorry bol chukka hun par tum tho..huh..he said angrily
Daya went inside the room silently and Abhi too went to his room and closed the door with bang
Abhi: huh…khana nahi khani mat khao mujhe kya mein hi kuch na kuch bana leta hun..tu kya sochta hain ki tu nahi dega tho mein khana nahi khaa sakta kya huh….and he sat on bed with jerk forgetting about his wound
Abhi: ahh…he felt a sharp pain in his wound and Daya came running
Daya: boss kya hua tum theek hona
Abhi just looked at Daya
Daya: kya hua aisa kya dekh rahe ho?
Abhi: tu mujhse naraaz tha na
Daya: haan that u kya hua? Agar naraz hunt ho kya tera khayal nahi rakhunga
Abhi: haan lekin…
Daya: ab lekin wekin kuch nahi chalo khana kaate hain
Abhi: khana? Wo kaha se aayega?
Daya: udke aayega tu chalo
And Abhi got up with annoyed face
Abhi: yeh sab? He was surprised
Daya: haan meine order kiya tha
Abhi: kab?
Daya: jab tum gaadi mein soo rahe the tab ab chalna hain ya phir sawal hi puchte rahoge
Abhi: nahi chal tune bhi kuch nahi khaya hoga na chal
Daya: chalo and they were eating their dinner
Abhi: Daya tu mujhse naraaz kyu hain?
Daya was shocked he didn't expect this
Daya: k..kya matlab hain? Na..naraaz kyu hun? Matlab?
Abhi: matlab yeh hain kit u mujhse baat kyu nahi kar raha hain
Daya: tujhe nahi pata
Abhi: nahi issiliye tho puch raha hun
Daya: wo..wo mein yeh rakh ke.. but Abhi held his hand
Abhi: Daya meine pucha kyu naraaz hain tu? He said angrily
Daya: na..nahi wo mein
Abhi: kisine tujhse kuch kaha? Team ne ya kisi aur ne?
Daya: nahi wo..kisine kuch nahi
Abhi: Daya tujhe meri kasam batao ki kya kisne kaha kuch tujhe
Daya: wo..
Abhi: Dayaa he said in strict tone
Daya: wo t..team ne?
Abhi: humari team ne? he said shockingly
Daya: haan wo..mein
Abhi: kisne kaha humari team se? naam batao uska
Daya: wo kuch naye officers
Abhi: naye officers kya?
Daya: wo kuch naye officers aaye the na unhone kaha ki…
Abhi: ki?
Daya: ki tum yeh sochte ho ki
Abhi: ki?
Daya: mujhe case solve karna nahi issliye ya phir tum mujhe inn sabka kabil nahi samajte issiliye tu wapas aagaya
Abhi: kya? Kisne kaha tujhse aisa?
Daya: chodo na Abhi wo log aise hi hain tum chalo soo jate hain
Abhi: yeh tu kya keh raha hain? Matlab tujhe koi farak nahi padhta?
Daya: nahi wo mein…
Abhi: agar nahi padhta tho tu aaj saara din aise nahi hote…kya tujhe sachem lagta hain ki..
Daya: nahi boss…aisa kabhi nahi he said instantly looking into his eyes
Abhi: tho phir?
Daya: wo mein thoda..
Abhi: dekh Daya koi chahe kuch bhi karle kuch bhi kehle tu pls kabhi yakin nahi karna yeh..yeh duniya aise hi hain yaar tu unn ki seriously mat le
Daya: boss mein issiliye udaas nahi tha ki unhone mujhe kaha balki issiliye udas hun ki..
Abhi: kya?
Daya: nahi kuch nahi
Abhi: batao jaldi
Daya: un mein se ek ne kaha ki
Abhi: ki? And suddenly Daya got a call from his friend
Daya let a relief sigh
Abhi: jao baat karke aao
Daya talked to his friend for somewhile and went to his room
Abhi: Daya
Daya: haan and Abhi went inside
Abhi: dekh Daya yeh duniya na aise hi hain logon ko kabhi bhi dusron ki khushi dekhi nahi jaati bas kuch log hi hote hain jo sachi dost aur sacha naagrik (citizen) banke rehte hain..tu duniya kya kahegi wo mat soch tu sirf yeh soch ki tujhe kya chahiye..duniya kya bolegi yeh dar apne andar se nikal do pehle
Daya: lekin boss
Abhi: Daya sach me aaj ek ne kuch bola aur tu gussa hogaya kal koi aur kuch aur bolega tab bhi tu aisa hi sochega
Daya: Abhi..acha theek hain mein nahi sochta aaj se
Abhi: promise?
Daya: haan baba promise
Abhi: good ab chalo soo jao kal tujhe bureau bhi tho jaana haina
Daya: hmm…tum bhi soo jao tujhe aaram ki jarurat hain
Abhi: acha theek hain chalo and he was about to go
Daya: boss
Abhi: haan he turned
Daya: tune dawai leli na?
Abhi: haan leli he smiled
Daya: hmm…and he went away
Daya POV: sach mein kuch logon ki kehne se sach tho nahi badal jaayegi na..agar aaj boss na hota tho mera kya hota….thank u god mujhe itna acha dost, bhai aur mera sab kuch dene keliye..meine pichle janam mein jarur koi punya kiya hoga issiliye mujhe aaj Abhi mil gaya he smiled and went into a peaceful sleep
SO SORRY FOR THE LATE UPDATE PAR MEIN KYA KARUN MERA NET THEEK SE NAHI AA RAHA THA SO PLS SORRY AND PLS REVIEW TAKECARE LOVE U ALL BYE
URS
DEEPIKA
