Chapter 9
Shaanti Nagar
Shaanti nagar Rajya ke mantri Vishwanath , Swayamwar ki aage ki pariksha sunane keliye khade hote hai aur manch ki taraf badhe hain..
Vishwanath : (waha upasthit logon se) Mere priya jano jaise ki aap sab ne dekha, nirnay hum sab ke samne hai, Sanatan rajya ke Rajkumar Abhay ne badhe hi bahaduri se Junglee hathi ko kaafi aasani se hara diya tha..aur kyunki unnhe chunauti denewaaala bhi koi nhi hai toh unnhe Talwaar baaji ka padhaw paar nhi karna padega..iss hisab se aur unnhe bas ek hi padhaw par karna hai ..aur joh hain Bowdhik pariksha..jinnhe main unnhe Rajkumari Muskaan ke kuch sawaalon ka sahi utar dena hoga..toh iss padhaw keliye main Rajkumari Muskaan se anumati karungi ki woh yaha aaye aur aapne sawaal pooche..
Rajkumari Muskaan yeh sunkar bohaut bhaybhit hoti hai, unnhe kuch samajh nhi aa raha hota hai,unnhe yakin hota hai ki woh jaroor aayenge, par..jab swayamwar ka aakhri padaw par pohachne ke baad bhi unnki upasthiti na hona unnhe nirash ar rahi hoti hai..
Rajkumari Muskaan ek baar Rajkumar Abhay ke taraf dekhti hai, woh khushi se musukara rahe hote hain, Rajkumari Muskaan ka inn san halaton main bhi bhagwan se bas yahi pratharna karti hai ki woh yaha aajaye..
Rajkumari Muskaan (sochte hue): kaha hai aap? hum yaha aapka besabri se intejar kar rahe hai, aur aap hai ki...hume aap par bohaut bharosa tha..par aapne…(Maharaj Salunkhe aur Maharani Sonali ki taraf dekhte hue) Agar humne Maa aur Pitashri ko unnke baremain bataya tho unnhe kaafi dukh hoga,issilye hum unnnhe bata bhi nhi sakte iss baremain, aur agar humne iss Swayamwar ko karne ne se inkar kardiya toh..toh unnki itni saal ki pratishtha mitti main mill jayegi...aisa lagta hai ki hum ek haarate hue ladhai ladh rahe hai..(Vishwanath unnka naam phir ek baar pukarte hain, jisski wajah se ,woh aapne wicharon se bahar aati hai )
Vishwanath : Rajkumari Muskaan! Jaldi aapne prashna puchiye, Suryast main sirf do ghatak hi baaki hain..
Rajkumari Muskaan: Ji…( nirasha se) Tho humara sawaal hai ki…
" Rukiye..aapna sawaal thode kshaan keliye rokne ka kasht karengi ! ( isse pehle kI woh kuch eh paati piche se koi awaz aati hai;Sab uss awaz ki aur modte hain, Maharaj Salunkhe,Maharani Sonali, Rajkumari Muskaan , Rajkumar Abhay, aur saare mantra gan aur sare preksha uss aawaz ki disha main dekhte hain aur waha unhe
Ek umada nowjawan, ek ghode pain sawaar t nazar aata hai..Usske piche aur do ghode hote hain aur unnmain se ek ghode par Rajkumar Vivek aur unnke piche ek ladki aur unnke bagal wale ghode par aur ek nojawan nazar aata hai..unnhe achanak yaha dekhekar sablog chinta main pad jaate hain aur sochne lagte hain ki "Aakhir yeh log hain kaun? Aur Rajkumar Vivek ke saath woh ladki kaun hai?'"
Sare log iss prakar se dang reh jaate hain, pareshaan aur hairan sare logon ke chehre par saaf jhalak ti hoti hain..
Maharaj Salunkhe aur Maharani Sonali ke bhi yahi haal hote hai, par isske wiprit Rajkumari Muskaan ke chehre par khushi ke jhalak hoti hai,unnki aankon main unnki khushi saaf jhalak rahi hoti hai aansoo ke roop main,
Maharaj Salunkhe: yeh Vivek ke piche yeh kanya kaun hai?aur woh usski piche kya kar rahi hai?
Maharani sonali ek baar Rajkumari Muskaan ki taraf dekhti hai, unnke bhaw dekhekar ,woh samajh jaati hai aur mann hi maan muskurane lagti jhai..
Maharani Sonali: (mann hi maann) toh yeh hai woh...(Rajkumar Vivek ki taraf dekhekar) aur unnke piche hui Kanya, bhi yaha hai..humne sahi socha tha..( aur woh musukurane lagti hain)
Vishwanath: ( gusse se)kaun ho tum?aur himmat kaise hui Swayamwar main wignah dalne ki?
Insaan: ( namrata se)Rukawat keliye Maafi chahtha hu, Aisa karke mera kissika aapman karne kadapi nhi tha..Main Kishta Kinda rajya ka Rajkumar, Rajkumar Daya hu!
Aur main yaha iss Swayamwar main sahbhag lene aaya hu..
Vishwanath: par yeh ab namumkin hai, swayamwar ab aakhri padaw main hai, aur Rajkumar Abhay pehle si hi wijeta hai..
Rajkumar daya: Mahoday, Suryast keliye abhi 2 ghatak baaki hai aur jaha tak mujhe pata haai ki syamwar suryast tak hain toh isska matlab main issmain i\hissa le sakta hhu,.
Vishwanath: par..
Maharani Sonali: yeh theek keh rahe hai, Vishwanath…inhe hissa lene dijiye..
Vishwanath: jaise aapki aadnya Maharani Ji..
Rajkumar Daya ghode par se utarte hain aur Maharaj Salunkhe aur Maharani Sonali ko jaakar pranam karte hain..dono unnhe ashirwad dete hain..
Vishwanath: toh maharaja hum jungle hathi lane ke prabandh kare.?
Maharaj Salunkhe: usski awashaqta nhi hai Vishwanath..waise hi 2 ghatak bache hain Swayamwar ko khatam hone main, issliye inn dono main ab Talwaar baazi ka muqabla hoga..aur ussse hi tai kiya jayega ki Rajkumaari Muskaan ka Swayamwar kiss se hoga woh
Vishwanath inn dono keliye Do Talwaari layie, Aur haan Jis insan ki Talwar sabse pehle jamen ko chuiyehi woh haar jayega aur dosre ko wijeta goshit kiya jayega..Chaliye muqabla shuru kijiye!
Anand wan
Tarika jaadi bootiyan laane ke baad unnka kadha lekar Rajkumar Abhijeet ki kamre main jaaati hai, par waha par koi nhi hota..
Tarika : suniye..suniye..aap hai yaha par..woh charo taraf nazar gumati hai par unnhe koi nazar nhi aata..
Tarika :(pareshaan hokar) kaha gai honge?(unnhe dhondne keliye woh unnhe bagiche ki taraf chaali jaati hain..Tab waha unnhe Freddyreshwar Maharaj nazar aate hain,)
Freddyreshwar Maharaj: Tarika kya hua kisse dhoond rahi ho?
Tarika : BaBa woh..hum unnhe dhoond rahe the, kaha hai woh..humne unnkeliye kadha banaya tha..humne unnhe unnke kamre main dhoond rahe the,par woh kahi nazar nhi aaye..
Freddyreshwar: are woh..woh toh aaj subha ke waqt hi chale gaye, Beta..
Tarika: kya?chale gaye? aise kaise jaa sakte hain woh?
Freddyreshwar: haan chala gaye..aise kaise jaa sakte hai matlab?
Tarika : Baba mere kehne ka yeh matlab tha ki.. Unnki tabiyat abhi theek bhi nhi hui aur khooni ki kamtarta ki wajah unnki halat kaafi nazuk hai..phir..
Freddyreshwar: arre darsal unnhe ek kaam yaad aagaya , issliye unnhe shigra hi nikalna pada..aur haan ghabrayi mat..humne unnke saath Nikhil ko bhejj diya hain..aap nischint rahiye..hum jara dhyan gruh main jate hai..
Tarika : jee baba.. (sochte hue) aise kaise jaa sakte hain? Hume bina bataye..hume bataar toh jaana chahiye tha..shayad koi pareshaani hogi,issliye turant nikal gaye honge..Bhagwan unnhe sahi salamat rakhna bas yahi asha hai..(itni dua mangkar Tarika aapne baki kaam mai wyast ho jaati hain,,par kahi mann main unnhe bas unnki chinta khayi jaa rahi hoti hai..)
Shaanti Nagar
Talwaar Baji ka muqabla kaafi zabardast tarikse rang utha hota hai, jab achanak Ek talwaar udkar zamin par aakar dher ho jaati hain, Talwaar ke malik ko dekhne keliye woh sab uss weer ki taraf dekhte hain..woh Rajkumar Abhay ki talwaar hoti hai..Talwaar gir jaane ke karan Woh iss muqavle se bahar ho jaate hain..aur Rajkumar Daya jeet jate hain..
Rajkumari Musakan khushi se jhoom uthti hain, Aur Rajkumar Abhijeet aur Rajkumari tasha bhi bohaut khush hote hain
Vishwanath: to hiss muqable ka wijeta hain Rajkumar Daya! Ab hoga iss swyamwar ka aakhri muqabla..inn dono ko dena hoga sahi utar..dekhte hain inn weeron ke bech kaun kehlata hain Wijeta?
Rajkumari Muskaan aage atai hain aur unn dono ke samne khadi hoti hai, unnka poora dhyan sirf aur sirf Rajkumar daya ki oar rehta hain..
Vishwanath: poochiye Rajkumari
Rajkumari Muskaan: humare aap dono se do sawaal hain..humara pehla sawaal hain..
*Woh kya hai, joh Wastwik main Shishe se bhi nazuk hota hai, hona toh usse Shishe ke jaise Pardarshik par woh shisha nhi hai..
Hum aksar usse Pahad jaise majbood manne ki koshish karte hain,samundar jasa gehra hone ki khwahish rakhte hain par woh nahi pahad jain nahi samundar..
Jisske tootne par Awwaz tak nhi aati par jab tooti hai toh bikhar jaati hain aur joodne ka naam bhi naam nhi leta..
Kya hai woh?
Humara doosra sawaal hain..
*Woh kya hai, joh sabse khatarnak aur winashkarak hai?
joh ek durbal aur lachar insaan ko bhi balwaan aur shakti shaali bana deta hain?
jisske wajah se insaan pori tarah se brahmishta ho jaata hai..
Kya hai woh?
Rajkumar Abhay Rajkumar Daya
dono soch main pad jaate hain..thoda der sochne ke baad
Rajkumar Abhay : yeh toh bohaut aasan hai..aapke pehle sawal ka utar jain pani...aur doosre sawaal ka..Paisa..
Rajkumar Daya: nhi..yeh galat jawab hain..aapke pehle sawaal ka jawab hain Wishwaas aur doosre sawaal ka utar hai Badla ..
Rajkumari Muskaan:
theek farmaya aapne..aap sahi hai..
Vishwanath : toh iss poore swayamwar ke wijeta hain Rajkumar Daya!
(poora shamiyana shehnaiyon se gunj uth ta hai..sare log Rajkumar Muskaan aur Rajkumar Daya parphoolon se warshaw karte hain, sare log unnke naam ki jay-jayar karne lagte hain,Rajkumar Daya aur Rajkumari Muskaan Maharaj Salunkhe aur Maharani Sonali ko jhookar ek saath pranam karte hain, Rajkumar Daya doodkar jate hain aur aapne dost Rajkumar Abhijeet ko gaale laga te hain..)
Vishwanath : toh chaliye wiwah ki tayari karte hain..
Rajkumar Daya : maaf kijiye par main iss waqt wiwah nhi kar sakta..darsal mere pitah yaani Kishta kinda Rajya ke Maharaj yaha par mujood nhi hai..aur..
Vishwanath: aur?
Rajkumar Daya: aur..( rajkumar Abhijeet ki taraf dekhte hue)aur humne..humne matlab mere dost Rajkumar Abhijeet aur maine ek hi mandap main wiwah karne ki kasam li hai..toh jab tak Mere Dost ko koi sathi nhi milta tab tak main wiwah nhi karunga..
Rajkumar Abhijeet Rajkumar Daya ko kaafi samjane ki koshish karte hain par woh aapne nirnay par tham hote hain,tab waha par Maharaj Salunkhe aur Maharani Sonali aate hain.
Maharaj Salunkhe: koi baat nhi Rajkumar Daya, hum aapke faisle ka adar karte hain..aapka wiwah hum aapko nirnay se karenge..
Maharani Sonali: ji haan..aur Tab tak shayad hum Rajkumari ko kuch aur pakwaan sikha denge..
Rajkumari Muskaan: maaa
Maharani Sonali: aur nhi toh kya..aap jab niyamit se rasoi ghar jaane lagi tab hi hume aap par sandeh hua tha iss baat ka, issliye humne Maharaj se kekhaar yeh Swayamwar rachaya. taaki yeh sab samne aajaye..
Rajkumari Muskaan: matlab aap ko yeh sab pata tha?
Maharani Sonali: jee haan...bhuliye ga maat Hum aapki Maa hai..aapki sans se hum pata kar sakte hai ki aapke dimag main kya chal raha hai..
samjhi?
Rajkumari Muskaan: theek..hum sharan lete hai bas...waise hum khaana bana na nhi sikhnewaale..ab toh humari shaadi hogayi hai toh innhe ab hume jyada fooslane ki jaroorat nhi hai..
Rajkumar Daya: ( shararat se )soch lijye Rajkumari..humnse suna hai ki aagle saptah Rajkumari Nayla ka swayamwar hone waala hai aur woh khaana bohaut aacha banati hai..aur aap toh jante hai ki hum khane ki badeshaukeen hai..hum jaakar unnse wiwah kar lenge..
Rajkumari Muskaan: (gusse se) aisa karne ki koshish bhi mat kijiye..aap bhi jante hain ki hum talwaar baaji main mahir hain..agar galti se humne aapko humara pyaar dikha diya toh...aapko bohaut mehenga pad sakta hain..
( tabhi achanak se Rajkumari tasha ki jor se chikane ki awaz sunai deti hain, Rajkumar Daya aur Rajkumar Abhijeet aapni behen ki awaz sunkar jaldi hi uss diha main jaate hain..waha ka nazara dekhekar dono poori tarah hil jate hain kyunki unnki sabse pyaari behen zameen par padi hui rehti hain,hoon se latpat.. usske kandhe par ek teer laga hue rehte hain...)
AN:
ok guyz, Swayamwar toh hogaya! :D
*par yeh kya Rajkumari Tasha par jaanlewa humla?
*kya bacha payenge, Rajkumar Abhijeet aur Rajkumar Daya aapni behen ko? Kya Rajkumar Vivek aur Rajkumari Tasha ka rishta toot jayega?
