somehow 1 week pass... purvi daya and full cid team missed their sharp shine lot...and finally the day came... all were waiting for abhi
shreya : purvi aaj abhi sir aa jayenge
purvi : haan yaar excitement ki wajah se neend bhi nahi aayi
daya : mera bhi yahi haal hai... jab tak boss ko apni aankhon ke samne sahi salamat na dekhu tab tak mujhe chain nahi aayega...
ACP entered in BUREAU while talking on call
All stand and wished him good morning ...
ACP : daya malad mein lash mili hai... local police ne lash ko forensic lab bhej diya hai... ... ... tum aur shreya jara pata kar ke aao... aur information nikhil aur pankaj ko do... freddy aur vineet aage ka kaam karenge... is that clear ?/
TEAM : yes sir !
FORENSIC LAB :
dareya entered...
dareya wished good morning to salunkhe and tarika ...
Salunkhe : kya yaar ... ACP ne bhi subah subah lash bhej diyi
daya : ab kya kare ye toh hamara kaam hai
Salunkhe : woh toh hai... waise ye abhijeet kab tak aane wala hai...
daya : pata nahi sir ... aaj aane wala tha par abhitak koi khabar nahi aayi ...
Salunkhe : aa jayega phir
shreya : ACP sir bhi bohot tensed the... jab tak abhi sir nahi aa jate tab tak sabke man mein dar hai
tarika : haan shreya ... mission bhi toh bohot risky tha na ...
daya : isiliye toh dar lag raha ... bechari purvi toh kabse raah dekh rahi hai...
Salunkhe : pata chal gaya... is ladke ko goli mari hai... par aaj nahi kal... kyunki iski maut ko 25 ghante ho chuke hai... iska matlab yeh hai ki ise kal subah 9 baje goli mari hai ... iski umar sirf 21 saal hai ... kapdo se college student lagta hai...
tarika : aur iske hath pe rassi ke nishan hai... shayad ise kafi samay se bandh kar rakha tha. . . . . . . . . . . . . . . . .
Salunkhe : aur ek baat khooni sharp shooter tha... ... ekdam pakka nishane baaj
daya : agar ye college student hai ... toh kisine toh iski missing report likhayi hogi ... shreya jara check karo
salunkhe take pic of dead body & gave to shreya ... shreya scanned that picture and check in missing records ...
shreya : sir mil gaya ... is ladke ka naam shreyash hai ... iski maa ne 2 din pehle missing report likhayi thi ... ye MG college mein padhta tha ... shanti nagar ke amrita colony mein rehta tha ...
daya : good (daya called nikhil )... ha hello nikhil ... is ladke ki naam shreyash hai ... umar 21 saal ... maut goli se hui hai ... missing reports se pata chala hai ki iski maa ne 2 din pehle report likhayi thi ... iska ghar shanti nagar ke amrita colony mein hai ... tum log jake uski maa se puchtach karo...
(daya called freddy) ... freddy shreyash naam ka ladka hai... MG college mein padhta tha ... umar 21 saal ...jaldi jake pata karo
dareya went to bureau...
ACP : haan daya khooni ke barein kuch pata chala
daya : filhal toh bas itna pata chala hai ki khooni koi sharp shooter hai...
ACP : theek hai ... nikhil aur freddy aate hi honge
nikhil & pankaj entered
pankaj : sir uske ghar pe sirf woh aur uski maa hi rehte the...
nikhil : aur uski maa ka kehna hai ki uska koi bhi dushman nahi ho sakta ... woh bohot hi shant tha
daya : theek hai ...
freddy and vineet entered
vineet : sir shreyash MG college mein padhta tha woh college sports aur trainning ke liye hai sirf...shreyash ke friends ka kehna hai ki woh kafi shant swabhav ka ladka tha...
freddy : aur uske dost bhi kafi decent the ... lekin shreyash ne peechle hafte ek ladke ki complaint kiyi thi principal se ... kisi senior ne uski ragging kiyi thi ...
ACP : kaun tha woh ?
freddy : sir koi tejas naam ka ladka hai... shreyash swimming team mein tha aur tejas police trainning mein ... isiliye dur dur tak in dono ka koi rishta nahi tha ... phir bhi tejas ne shreyash ko rag kiya aur shreyash ne complain kar diyi...
ACP : police trainning... daya ye tejas hi khooni hai ... agar police trainning mein hai toh shooting mein bhi mahir hoga... jaldi jao aur pakad ke lao is tejas ko ...
after sometime... they caught tejas soon...
ACP : kyu mara tumne shreyash ko
tejas : mai police officer banna chahta hoon sir ... par shreyash ne meri complain kar diyi ... toh principal sir toh mujhe restricate karne wale the ... par mere bhaiya ne aake principal ke paav pakde tabhi jake woh mane ... lekin bhaiya ki woh be-ijjati mai sejen nahi kar paya ... shreyash ki wajah se mere bhaiya ko principal ke samne jhukna pada ...
daya : galti shreyash ki nahi galti tumhari thi ... tum police officer banne ke layak hi nahi ... ragging gair kanuni hoke bhi tumne woh kiyi aur toh aur khoon bhi kiya ... ab jail mein baithna aur police inspector banne ke sapne dekhna...
ACP : nikhil pankaj leke jao ise...
purvi : sir subah se shyam ho gayi ... abhitak abhi sir ka kuch pata nahi
daya : haan sir ... mujhe toh dar lag raha hai... aap please head office se contact karke pata lagaiye...
ACP : mai bhi yahi soch raha hoon daya... tum log case file banao... mai khud head office jake aata hoon...
ACP went ... after sometime freddy & sachin make case file... daya got call from ACP
daya : ACP sir ka phone.
all came near to him... as all want to know about their sharp shine...
daya : (received call) hello sir... kuch pata chala abhi kab aa raha hai ... sir aap ro kyu rahe hai ... abhi theek toh hai na ? ... sir aap kuch toh boliye ... (shout in shock) kyaaaa ?...(call ended) (daya started crying)
purvi : kya hua sir ... bataiye na plss abhi theek toh hai na ...
shreya : sir kya kaha ACP sir ne ...?
daya : head office ko nahi pata abhi kaha hai (purvi shocked)
freddy : ye kaise ho sakta hai sir ... unhone hi toh abhi sir ko bheja tha ..
daya : (still crying ) woh log keh rahe the ki abhi ke sath 2 aur officers ko bheja tha ... par un dono officers ki lashe mili hai ... aur hamara abhi waha se gayab hai ... unhe lagta hai ki abhi bhi...
purvi : nahi... ye nahi ho sakta ... abhi hume aise kaise chod kar ja sakte the ... unhone mujhe promise kiya tha ki woh laut ke aayenge ... woh aise kaise promise tod sakte hai... and finally she burst out & crying loudly
shreya : purvi sambhalo apne aap ko
daya : nahi ... kuch nahi hoga mere abhi ko ... mai jake leke aaunga use
ACP entered in bureau
daya : sir ... abhi kaha hai ?
ACP : (crying) shayad humne abhijeet ko kho diya...
daya : aisa kuch nahi ho sakta... woh jarur aayega ... mai leke aaunga use ... aap bataiye mujhe kaha gaya tha abhi ... mai jaunga waha ...
ACP : nahi daya ... tumhe koi bhi nahi allow karega
daya : lekin sir hum hath pe hath dhare chup chap nahi baith sakte na ...
DCP : hum hath pe hath dhare nahi baith sakte... akhir humara ek sipahi waha hai
ACP : sir aap yaha aap toh delhi gaye the na ?
DCP : 1 ghante pehle aa gaya... aate hi abhijeet ki khabar mili ... toh sidhe yaha aa gaya...
daya : sir abhi ko hume kisi bhi haal mein wapas lana hoga...
DCP : mujhe pata hai woh kaha gaya tha...
purvi : kya ? phir aapne hume pehle kyu nahi bataya sir ...
DCP : ye secret mission tha isilye mujhe apna mooh band rakhna pada ... ab mai nahi ... mission fail ho gaya hai... ab mai bata sakta hoon...
ACP : phir jaldi batayiye ... kaha gaya tha abhijeet ?
DCP : woh mumbai hi mein tha ... hotel royal peace mein ... waha pe ek don hai jiska naam hai MARCO ... woh hamare desh ki ladkiyon ko videsh mein supply karta hai ... aur waha pe unka sauda karta hai ... abhitak uske chungal mein kam se kam 100 ladkiya hongi ... abhijeet unhe hi bachane gaya tha ... woh uske gang mein ghuskar unhe bachane hi wala tha ... par shayad un logo ko pata chal gaya ki woh CID officer hai ...uske sath 2 aur log the ... unme se ek hyderabad se tha aur ek bangalore hai ... woh dono bhi Sr. inspector the ... hume kisi bhi haal mein un ladkiyon ko bachana hai ... kal raat ko MARCO aur uske admi india chod ke chale jayenge ...
purvi : sir par 100 ladkiyon ko lekar woh flight se toh nahi ja sakte
daya : phir woh samundar ke marg jayenge... hume kal hi unpe attack karna hoga... planning karte hai ...
shreya : par sir aaj kyu nahi...?
ACP : woh isliye... kyunki hume nahi pata ki un logone ladkiyon ko kaha chupake rakkha hai... humari ek galti bhi un ladkiyon ko musibat mein dal sakti hai ... sab kuch plan karke karna hoga...
daya : haan toh hum kal shyam ko unpe attack karenge... tab sab log sath honge ... kal sabko dabochenge...
ACP : abhi raat ho gayi hai ... sab log ghar jao ... plan mai ready kar lunga kal subah jaldi aana ...
team : yes sir !
daya : purvi shreya chalo mai tum logo ko chod deta hoon...
IN QUALLIS :
shreya : purvi tum chinta mat karo sab kuch theek ho jayega ... abhi sir hume jaldi mil jayenge
purvi : mujhe pata hai woh jarur wapas aayenge... par mujhe bohot dar lag raha hai...
daya : purvi tum janti ho na boss superman hai use kuch nahi ho sakta...
purvi : shreya kya tum aaj mere ghar pe ruk sakti ho ?
shreya : theek hai ... daya sir aap bhi purvi ke ghar rukiye... kal subah ghar jake change kar lenge...
daya : theek hai ...
PURVI'S HOME :
purvi's dad open door
purvi's dad : are purvi ... abhi aa gaya ?
purvi : (crying) nahi papa ... abhitak unka kuch pata nahi chala
daya : purvi sambhalo apne aap ko... boss jaldi aa jayega...
purvi's dad : haan beta... tum log andar aao...
shreya : purvi darne wali koi baat nahi hogi ... apne pyaar pe vishwas rakho ...
purvi : abhi ko kuch ho gaya toh mai mar jaungi ...
daya : aise mat bolo purvi ... boss ko pata chala toh woh bohot gussa hoga ...
purvi's pov : mujhe pata hai daya sir ... aap bhi bohot pareshaan hai ... shayad mujhse bhi jyada... par mai aapki aur abhi ki tarah strong nahi hoon ... mission bohot hi important tha ... un ladkiyon ko bachane ke liye abhi kuch bhi karenge mujhe pata hai ... isilye mujhe kuch jyada hi dar lag raha hai ... mujhe pata hai abhi kabhi bhi apni jaan ki parwa nahi karenge ...(tears were flowing from her eyes...)
shreya : aap log rukiye... khana mai banati hoon...
purvi's dad : theek hai beta...
shreya make dinner ... no one seems to be interested in food ... somehow they have it ...
daya's pov : yaar abhi please jaldi aa jao ... mai kab tak sabko sambhalunga ... hum yaha puri team hai phir bhi ye mission mushkil lag raha hai ... tum akele kaise ... boss mai kal aa jaunga ... bas kal tak apna dhyan rakhna ...
next day dareya move to their respective homes ... get ready ... again while going to bureau daya receive shreya and purvi ...
IN BUREAU 8 am :
all present ... ACP & DCP entered ... all wished him
ACP : suno sab log... maine pata kiya hai ... hotel royal peace ke room 582 mein ruka hai yeh MARCO ... waha se samundar tak jane ke liye aadha ghanta lagega ... iska matlab andhera hone ke baad hi woh log waha se nikalenge... hotel royal peace se samundar tak jane ke liye unhe kali ghat se jana hoga ... waha pe rasta sun saan hai ... waha pe hume unhe kisi bhi haal mein rokna hoga ...
aur maine ships ki bhi details nikali hai aaj raat sirf 2 ships jayengi ... ek australia aur dusri north korea...
daya : sir hume extra force ki jarurat padegi
DCP : woh maine arrange kar diyi hai ... tum log agar unhe kali ghat pe pakadne mein na kamyaab rahe toh ... hamari special force already ship mein rahegi ... even captain bhi hamare hi force ke honge ... ship ko ghuma firake mumbai hi layenge ...
purvi : par sir abhi sir ?
DCP : shayad abhijeet bhi wahi milega ...
daya : theek hai sir ... hume ab se hi is MARCO pe nazar rakhni hogi... mai bhes badalkar us hotel mein entry lete ho ...
DCP : pradyuman abhi hume head office chalna chahiye ...
(they both went... after some time)
purvi : sir mai bhi aapke sath chalungi ...
voice : kaha jane ki baat chal rahi hai
it was a familiar voice so they turn soon... and was literally surprised to see the man...
purvi : (teary tone) abhi... (she ran towards him ... cup his face & start to kiss his full face... all become shock... abhi was more shocked ... his eyes become wide ... purvi hug him & soon get separated)
daya : (teary tone) kaha reh gaye the boss ... hum kitna dar gaye the ... (abhi hug him tightly)
abhi : maine kaha tha na ... mai aaunga ... aur mai aa gaya ... ( abhi was about to fall but daya hold him...)
daya : abhi tum theek ho na...
abhi : haan mai theek hoon bas woh chakkar aa raha hai...
purvi : aap chair mein baith jayiye...
daya : mai doctor ko call karta hoon... aur acp sir ko bhi khabar kar deta hoon...
pankaj : (excited) sir kya hum unhe surprise de... (but daya stare at him)
pankaj : sorry sir
daya : are pankaj ye toh acchi baat hai...
daya called ACP
daya : hello sir... aap pls wapas aayiye ... sir bohot important khabar mili hai ... mai phone pe nahi bata sakta ... sir please aap jaldi aayiye ... bilkul bhi der mat kijiye ... ok sir
abhi : kya kaha sir ne ...
daya : 10 min mein aa rahe hai ...
abhi smile weakly ...
freddy : sir aap bohot weak lag rahe hai ...
abhi : haan yaar woh 2 din se pani tak nahi piya ...
purvi : (shocked) kya ?
daya : abhi ... itni laparwayi ?
abhi : are yaar pani mile toh pee lunga na
purvi : ye lijiye sir ... aap pani pee lijiye ...(he drank little...)
nikhil : sir ACP sir aur DCP sir aa gaye...
daya hold abhi ... & they both hide behind table
ACP : daya ... freddy daya kaha hai ... kya hua hai ?...
DCP : are tum log kuch kya saap sung gaya hai kya ?... koi kuch bolega bhi ya nahi
abhi : SR. INSPECTOR ABHIJEET REPORTING ON DUTY SIR...
ACP : (smile broadly) abhijeet
DCP : tum aa gaye ... aur mission
abhi : mission successful ho gaya sir
ACP : I'm proud of you my boy
(abhi was feeling dizzy ... )
daya : abhi tum baith ke baat karo ... dr . ashok aata hi hoga ...
DCP : haan tum bohot dull bhi lag rahe ho
abhi sat
ACP : tum waha se bach ke kaise nikle ... un logo ne toh tumhe pehchan liya tha na ...
abhi : bohot lambi kahani hai sir
DCP : aur un 2 officers ki lashe mili uska kya ?
abhi : sir un dono ne apni jaan bachane ke liye ... MARCO se dosti karni chahi aur un logo ne mera naam bhi bata diya ... lekin woh log bhul gaye the ki criminals pe vishwas nahi karna chahiye ... MARCO ko jab pata chala ki woh CID officers hai ... usne wahi pe un dono ko mar dala ... mai jaise taise karke wahi pe chup gaya ... un logo ko laga ki mai bahar bhaag gaya ... lekin wahi pe chupa hua tha ... aur isi wajah se 1 din aane mein late ho gaya ...
woh 25 log the ... maine ek ek karke sabko behosh kiya phir MARCO pe attack kiya ... par sir ...
daya : par kya ?
abhi : MARCO mara gaya
purvi : accha hua mara gaya ... ladkiyon ko bechne chala tha (abhi smile on her anger)
ACP : abhijeet kya hua ? purvi ki baatein sunkar tumhe hasi kyu aa rahi hai... ?
freddy : mai batata hoon sir ... daya sir ke birthday ke pehle din ki case mein jab khooni ne kaha ki ladkiyo ko padhne likhne aur aage badhne ka fayda nahi ... tab purvi ne use mar mar kar uska halwa bana diya ... aur jab abhi sir purvi ko shant karne ki koshish kiyi ... tab purvi ne abhi sir ke pet pe bhi ek jordar mukka mara...
all laughed including ACP & DCP
daya : kya boss ... abhi se maar khane lag gaye ... shadi ke baad do band bajega...
pankaj : sahi hai sir (abhi stare on pankaj)
DCP : kiski shadi ?
daya : abhi ki
DCP : kiske sath
ACP : purvi ke sath
abhivi shocked... but soon blushed
DCP : ye sab kab kaha kaise hua ?
ACP : woh badme batayenge ... filhal abhijeet tum ye batao ki woh sari ladkiya safe hai na
abhi : jee sir ... sab safe hai local police unhe unke ghar tak pohcha degi
purvi : abhi kitni ladkiya thi ?
abhi : 127 ladkiya thi
DCP : good job abhijeet ... ab toh tumhara promotion pakka samjho...
pankaj : aur sir mera
DCP : tum bhi 127 ladkiyon ko bachake aur 1 don ko marke zinda wapas aao ... phir tumhara promotion hoga
all laughed on pankaj...
pankaj : sir chaliye na khana khane chalte hai ... abhi sir ne bhi toh kuch nahi khaya hai ...
purvi : abhi toh theek se khade bhi nahi reh paa rahe hai ... ek kaam karte hai ... khana order karte hai ... phir yahi pe khate hai...
freddy : mai order karta hoon ...
dr. ashok : kya hua yaar abhi ...
abhi : kuch nahi yaar..
dr. ashok : rehne do... mujhe daya ne sab bata diya ...
(he checked abhi...)
dr. ashok : sab kuch normal hai ... bas kuch khale uske baad ye medicines lena ... aur ha kam se kam aaj ke din full bed rest ki jarurat hai...
daya : tum fikar mat karo ashok ... ise mai dekh lunga ...
dr. ashok : theek hai yaar mai chalta hoon ... patients rah dekh rahe honge...
abhi : theek hai bye
dr. ashok : bye take care abhi ... bye daya ... bye everyone
DCP : mai bhi chalta hoon... pradyuman head office jane ki jarurat nahi hai ...
abhi : are sir aap bhi khana khake jayiye na
DCP : mujhe bohot sare kaam hai ... tum log khao ...and you take care (he too went)
soon they did lunch ... abhi take medicines ...then purvi & dareya took abhi to home
daya make abhi lie on bed
daya : abhi tum rest karo
abhi : daya... thodi der baith na yaha
daya sat and hold abhi's hand
daya : mai bohot dar gaya tha abhi
abhi : mujhe pata hai...
purvi : aapke alawa koi nahi sambhal sakta inhe
daya : woh toh hai ... mera boss hi mujhe jhel sakta hai ...
abhi : par mujhe aisa nahi lagta ki mai tujhe jhelta hoon
daya : boss mera woh matlab nahi tha
shreya : bohot ho gaya ... baadme jhagad lena ... abhi sir ab aap rest kijiye
(dareya went)
purvi : sat on bed ... she knelt and kissed his forehead ...
abhi : (whisper slowly) i missed you lot
purvi : i missed you too... (tears start to flow)
abhi : purvi tum ro kyu rahi ho ? mai theek hoon purvi (she hugged him immediately)
purvi : mai aapke bina mar jaungi
abhi : (shocked) purvi kya ho gaya tumhe ?
purvi : i love you
abhi : i love you more
purvi : (she wiped her tears) ab aap rest kijiye... (abhi took her in side hug and soon dozzed off... purvi too slept after sometime)
