Thanks who reviewed previous chapter thanks to:

Shilpa Patte , Dareya chk , Mere sapno ki Rani , Zoomra , Raveena Negi , Sneha , Kajal , Raj , Khushi Mehta , Ninadkdm , Ritesh7 , Sapana Dehal , Karishma , Kattiy , Dareya789 , Sundas….

Thanks to all guests and silent readers previous chapter bahut kam response millakya hua gussa hain kya aap sab yaa story pasand nahii aa rahii please tell

Now next chapter

At morning Shreya wakes up first she saw herself at Daya's arms….

Shreya POV:Kitna galat samjha maine Daya ko kitna kuch kaha bhi phir bhi aaj yeh mere saath hain I promise Daya main tumhe kabhi chod ke nahii jaaungi bas jaise taise yeh 12 din beet jaaye mumma papa tumhe apna le than I will surrender myself to you….

She smiles and tries to free herself ….She freed herself and goes to bathroom after bathing comes out and tries to wake him up….She goes towards him and kisses at his cheek…

Shreya:Good morning Daya vaise sote hue bahut cute lagte ho…

As she tries to lift herself up….Daya holds her by waist and pulls towards himself….

Daya:Sirf sote hue cute lagta hoon…

Shreya:Daya aap uthe hue hain?

Daya:Ab aap itna pyaar se jagaayengi ye soch kar soya hua tha…Vaise iss cheek ka number kab aayega ek pe hi kiss kiya….

Shreya:Ghar pe ….Daya utho flight ka samay ho raha hain ghar jaa ke mujhe packing bhi karni hain and phir maa ke ghar bhi to jaana hain….

Daya after hearing she has to go to her house….gets angry….

Daya:To jaao apne ghar jaao main hoon hi kaun tumhara?

He leaves her and starts moving from there….Shreya holds his hand…

Daya:Haath chodo?

Shreya:Nahii chodoongi…

Daya:Kya hain Shreya main abhi akela rehna chaahta hoon….

Shreya:Daya please….

Daya goes to washroom…As he comes he saw Shreya unpacking there clothes….

Daya:Kya kar rahii ho chalna nahii hain?

Shreya(with heavy throat):Nahii vo maine maa ko manna kar diya…

Daya:Kya ?Kyun tum to vahaan jaana chaahti thi na to manna kyun kiya?

Shreya:Jaana chaahti thi par aapki marzi se aapko dukh pahuncha ke nahii Daya aap nahii chahte na ki main vahaan jaaon theek hain main yahin rahungi aapke saath…

Daya can hear the pain she is hiding in her voice…Her hands are trembling eyes are just red…Smile that he wants at her face is just vanished….Daya goes to her direction….She makes herself busy and starts hiding her tears…Daya suddenly holds her hand…

Shreya:Kya hua Daya karne do na ek baar samaan yahaan rakh doongi to baahar change ghumne nahii to sab bikhra rahega?

Daya(while holding her hand):Meri taraf dekho Shreya?

Shreya wipes her tears and then sees towards him…

Shreya:Haan boliye Daya…

Daya:Tumne mujhe itne waqt mein itna hi samjha….Kya main kuch bhi aisa karoonga jisse tumhare aankhon mein aansoon aaye haan bolo kya main aisa kar sakta hoon…

She lifts her head in no…

Daya:Main tumhare saath waqt guzaarna chaahta hoon iska matlab yeh nahii hain kit um mere saath zabardasti raho apne mom dad se milna chaahti ho na to jaao millo unse….

Shreya hugs him tightly…

Shreya:Daya main bas mom dad ke mann mein se tumhare baare mein galat baton ko hataana chaahti hoon bas jisse phir agar hum apne rishe ki shuruaat kare to koi problem na ho bas par agar aapko taqleef pahunchti hain to hum apna rishta abhi hi shuru kar sakte hain….

Daya removes her from hug….

Daya:Uski zaroorat nahii hain humare rishte ko bado ke aashirwaad ki zaroorat hain aur usse to humein lena hi chahiye kyun?

Shreya nodded…

Daya:Ab chalo ready ho jaao nahii to flight chut jaayegi aur ab rona mat…

Shreya turns and she comes back and hugs him from backside….

Shreya:Daya thank you so much I love you….

Daya:I love you to ….Ab chaliye ready ho jaaiye….

After sometime Dareya comes back to Mumbai by flight….At morning Abhirika is getting ready suddenly a door bell rang….

Abhijeet:Ab kaun hain?

As he open door he is hell shocked to see Daya and Shreya together…

Abhijeet:Tum yahaan aaj kal aane waale the na tum to?

Daya:Haan but vo Shreya ko uski mom ka…

Taarika:Kaun hain Abhijeet?Daya tum yahaan….

Daya:Haan vo kya hua tha ki….And he tell them whole incident….

Abhijeet:Itni jaldi tumhari mom maan kaise gayii Shreya?

Shreya:Bhai mom gussa hi nahii thi vo to bas aise hi unhe meri zyada chinta hain na issilye vaise main abhi aayi….

Taarika:Daal mein kuch to kaala hain…Aunty agar maani thi to yahaan aati Shreya ko bulaane ka kya matab hain?

Abhijeet:Vahii to kuch to ajeeb hain…

Daya:Lag to mujhe bhi yahii raha hain lekin hum kar bhi kya sakte hain…

Shreya comes there…

Taarika:Vaise Shreya tumhara proposal kaisa tha?

Shreya(Blushes):Kuch nahii aapka plan successful raha…

Abhijeet:Arre wah yeh to good news hain and second good news kab doge?

Daya:Konsi 2nd good news…

Taarika:Arre Adi ki wish waali….

Dareya(blushes):Abhi usme bahut time hain…

They spoke at sametime Abhirika looks towards them and smiles…

Shreya:Bhai main packing kar ke aati hoon….

Taarika:Main help karoon…

Abhijeet:Arre rehne dijiye Taarika ji ab Shreya ko aapki help nahii chahiye Daya hain na vo help kar dega humein chalna chahiye nahii to data padegi inki to aaj holiday hain….

Abhirika went….Dareya at home….Shreya goes to her room she starts packing her clothes….Daya comes to room…

Daya:Shreya packing karne ki kya zaroorat vahaan tumhare kapde to honge hi na to yahaan se kapde kyun le jaa rahii ho…

Shreya:Daya vahaan mere vo kapde hain jo main shaadi se pehle pehanti ab shaadi ke baad vo kapde thore na pehnoongi….

Daya:Kyun nahii tum unme bahut pyaari lagti ho….

Shreya(smiles):Sir vo pyara look sirf aap hi ka rahe issliye hi to nahii pehnna chaahti agar ab phir se mujhe kissi ne pasand kar liya to….

Daya:Acha acha rehne do tum yahii kapde pehnna….

Shreya(smiles):Daya main to mazzak kar rahii thi…Aap bhi na…

Daya comes close to her…

Daya:Main bhi na…

Shreya:Aap bhi na bade vo ho?

Daya:Vo?ab vo kaun hain jaaneman….

Shreya:Daya please mujhe packing karne do….

Daya:no pehle mere sawaal ka jawaab to do….

Shreya tries to go but he holds her by waist…

Daya:Ab kahaan jaaogi ab bolo main kya vo hoon?

Shreya:Daya aap bade bure hain…..

Daya:Acha to ab main bura bann ke bataaon….

Daya bends to kiss at her cheek suddenly they hears a knock at their door….

Person:Aap bhool rahe hain ki aap log romance karte waqt gate band karna bhool gaye the…Aur aapke ghar mein ek paanch saal ka chota sa bacha hain jiske saamne yeh sab karna aapko shobha nahii deta Chachu…

Daya:Adi ke bache bilkul baap pe gaya hain….

Adi starts running and Daya follows him atlast Adi comes behind Shreya and Daya is about to catch him but he pushes Shreya and she is about to fall that Daya holds her by waist and get lost at her eyes…Suddenly they hear a clicking voice….

Daya:Adi yeh kya kar rahe ho?

Adi:Arre aapke romance karte photo kheech raha hoon aap hi ne to sikhaaya tha ki isse pyaar badhta hain…

Shreya:Daya aap bache ko yeh sab sikhaate hain too bad…

Daya:Oye madam abhi aap apna lecture band karengi aur bache ko pakrne mein meri madad karengi….

Shreya:Daya tumhe ab meri baat lecture lagti hain how mean?

Daya:Nahii Shreya mera vo matlab nahii tha…

Shreya:Ache se samajti hoon main aapke matlab saare ladke shaadi ke baad aise hi ho jaate mujhe nahii pata tha meri kismet bhi kharaab hain….

Daya:Shreya main to vo Adi ko…

Adi:Aap sahii keh rahii ho Chachu humesha daantte rehte hain aur dekhna gussa karte rehte hain kabhi bhi pyaar se baat nahii karte…

Daya:Oye Adi kya bola jar aha hain marwaayega kya?

Adi:Dekha Chachi ab phir se chilla rahe hain pyaar se to baat hi nahii karte aise hi khadoos hain humesha daantte hain pehle aapko phir mujhe…

Daya:Adi aag mein ghee kyun daal raha hain beta?

Shreya:Daya aise baat karte hain bache se haan aap na saare manners bhool gaye hain kya aur aap chilla rahe hain apni biwi pe aaj pata chala aap kitne bure hain….

Adi:Mujhse poochti main aapko pehle hi bata deta…

Shreya:Sorry beta galti ho gayii pagal ho gayii thi main kissi ke pyaar mein…Acha beta aap jaao dudh finish karke TV dekho in khadoos ko yahii rehne do…

Adi:Theek hain Chachi welcome back….Chachu aapko nahii boloonga…

Daya:Ab itna bol diya aur kya bolega chota Abhijeet….

Shreya:Kya bole aap?

Daya:Arre main to kuch nahii Adi beta ab dudh nahii peena kya jaao…

Adi goes from there Daya sees angry Shreya packing her stuffs…

Daya:Shreya I am sorry jo main tum pe chilaaya par main to vo photos…

Shreya burst out at laughing…

Shreya:Daya rehne dijiye na bacha hain aur aap bhi na usse barabar ladh rahe the jaise aapke umar ka hoga….Mian to mazzak kar rahii thi….

Daya:To tum mazzak kar rahii thi Thank god main to darr hi gaya tha ki kahin main tumhe kho na doon…

Shreya holds his hands….

Shreya:Aap mujhe kabhi nahii khone waale Daya issliye bekaar ki chinta mat kijiye…Aur vo photos humare pyaar ki nishaani hain main unhe durr nahii chahti issliye delete karne ki zaroorat nahii hain…

Daya:Ok as you wish…He kisses at her forehead…

After one hour….Shreya gives Adi and Daya lunch…

Daya:Shreya tum khaana bahut acha banaane lagi ho lagta hain tumhare haath choom loon…

Shreya just slap at his hand…

Adi:Phas gaye bechaare Chachu…

Daya:Kya hua maar kyun rahii ho…

Shreya:Daya humari shaadi hue kitne din hue hain….

Daya:Kariban 10 din…

Shreya:Haan to kariban 10 din pehle mujhe khaana nahii banana aata tha to aapne banaya hain na…

Daya:Haan to aaj ka khaana bahut acha hain mann karta hain tumhare haath chum loon…

Shreya:Ek minute Ramu kaka(servant) yahaan aayiye…

Daya:Ramu kaka ko kyun bula rahii ho?

Ramu: ji bitiya bolo…

Shreya:Ramu Kaka Daya ko aaj aapke haath ka khaana bahut pasand aaya vo badle mein aapko koi gift dena chaahte hain aayiye le lijiye…

Daya mouth is open…As he knows the truth…Adi smiles seeing him in this condition…

Adi:Baja re baja re dekho band baaja Chachu ka dekho re baja band baaja…

Shreya smiles…Daya gives Ramu Kaka some rupees and he went…

Daya:Tum dono ko to main…

Shreya/Adi:Dekh lena hum kissi se nahii darte hahaha….

After lunch Shreya comes to Daya…

Shreya:Daya chale….

Daya:Shreya mat jaao yaar itne din ke liye nahi please…

Shreya covers him through her arms…

Shreya:Jald hi aa jaaungi Daya and haan iss baar promise khaana banana seekh loongi jisse tumhe kissi aur ka haath na chumna padhe….

Daya kisses at both her hands….

Daya:Kyun nahii zaroor acha ab chalo…

Daya comes to Shreya's house…

Shreya:Andar nahii aayenge…

Daya:Aaj nahii phir kabhi abhi tum jaao theek hain main baad mein aaunga promise….

Daya kisses at her forehead and then at her cheeks and say bye to her…

Shreya:Bye baad mein milenge…Main call karoongi…

Daya:Kyun nahii bye…

That's way Daya comes to his house….Whole day passes someway at night about 11 pm Daya gets a call….

Daya:Hello ab yaad aayi hain?

Shreya:Daya main aapko kabhi bhuli hi nahii thi pata hain yahaan na sab bahut sahii se baat kar rahe hain bilkul pehle ki tarah maa keh rahii thi ki kal vo mujhe kuch gift dene waali hain main to bahut excited hoon aap kaise hain?

Daya:Bore ho raha hoon soch raha hoon yeh aadha din to jaise taise nikal gaya ab 12 din mein min kahin mar na jaaon…..

Shreya:Khabartaar jo aisa kaha to sab acha hi hoga jaise abhi tak hua hain vaise hi….

Daya:Shreya vaise tum itna haaf kyun rahii ho…

Shreya:Daya vo main chat pe kapde lene jaa rahii hoon na issiliye…Thora thak gayii hoon…

Daya:Arre to vahaan kaam karne ki kya zaroorat hain tumhe itne log hain to…

Shreya:Hain to Daya lekin yeh yahaan kya kar raha hain aur Papa isse kya baat kar rahe hain…

Daya:Kaun kya kar raha hain haan uncle kisse….

Shreya:Daya vo Paakya ke ghar mein….Aaaaaaaah…..

Daya:Shreya Shreya kya hua kuch bolo to…..

And call is cut…

So end this chapter here tell me how was it PLEASE REVIEW I know aapka mann ab story se hat raha hain and main jald se jald iss story ko end bhi karne ki koshish kar rahii hoon bas loose ends ko theek kar loon bas firr end kar denge…

To kya hua hain Shreya ko?Kya Daya Shreya tak pahunch paayega?Kisse baat kar rahe the Shreya ke Dad?Kya hain Paakya ka raaz jaanne ke liye REVIEW kariye jitney jaldi response aayega utni jaldi next chapter….

Thanks for reading…