A/N: THANKS FOOR THE REVIEWS AGAIN
NEXT DAY
Gokul ashthami ka din tha Subah subah uthke Purvi ne saari taiyaariyan bhi karwa li thi
Rajparivar ko Singhania Mansion mein padharne ka aamantran diya gaya tha
Purvi paalna saja rahi thi, tabhi wahan Taasha aati hai
Taasha peechey se aake Purvi ko gale lagati hai
Taasha: Jeejha!
Purvi: Taashu, tum, kitne dino baad dekh rahen hain tumhe haan, Tumhe apni Jeejha ki yaad nahi aayi haan?
Taasha: Yaad aayi na Jeejha isliye hi to airport se seedha aapke ghar aa rahe hain ,kya kar rahi hain aap,laiye hum aapki madat karen
Purvi: Nahi choona mat... Taashu abhi aap Vivahit nahi hain, aur paalna to kewal Vivahit striyan sajati hain
Taasha: Jee Jeejha aapka aadesh sar aankhon par, waise aapki nanad rani kahan hain hum milna chaahte hain
Purvi: Upar apne kamre mein hain
Taasha: Hum milkar aate hain
Kuch Der baad saara Rajparivar Singhania Mansion aa jata hai
Bhajan, Dhol nagade baj rahe they saare ghar mein bas chehel pehel hi thi kaafi mehmaan bhi they
Sab lawn mein they, Tabhi Sachin wahan aata hai
Sachin : Purvi,aapko nahi lagta kisi chiz ki kami hai?
Purvi: Kami, kya kami hai
Sachin: Abhi batate hain
Purvi kuch ghade bhar ke rakh rahi thi taaki maahol dikhe Gokul ka maahol dikhe
Tabhi Sachin usey peechey se aake halka sa dhakka deta hai
Sachin: Mach Gaya shor saari nagri re
Saari nagri re
Aaya biraj ka baanka
sambhaal teri gagri re
Hoo aaya biraj ka
Banka sambhaal teri gagri re
Arey Mach gaya shor saari nagri re
saari nagri re
Aaya biraj ka banka sambhal teri gagri re
Sachin: Dekho arey dekho kahin aisa na ho jaye
Chori kare maakhan tera jiya bhi churaye
Dekho arey dekho kahin aisa na ho jaye
Chori kare maakhan tera jiya bhi churaye
Purvi: Arey dhamkaata hai itna tu kisko
Darta hai kaun aane de usko
Darta hai kaun aane de usko
Sachin: Aise na bahot bolo
Mat thumak thumak dolo
Chillaogi tab gori
Jab ulat dega tori
Gagri Aage piche dagri re
Arey Mach gaya shor saari nagri re
Saari nagri re
Aaya biraj ka baanka sambhaal teri gagri re
Hoo... Aaya biraj ka banka sambhaal teri gagri re
Purvi: Jaane kya karta agar hota kahin gora
Jaake jamuna mein zara shakal dekhe chora
Jaane kya karta agar hota kahin gora
Jaake jamuna mein zara shakal dekhe chora
Sachin: Bindiya chamak gayi raste mein naa jaa
Manchala bhi hai gokul ka raja
Manchala bhi hai Gokul ka Raja
Purvi: Pad Jaaye nahi paala
Raadha se kahin laala
Phir royega Govinda
Maaregi aisa phanda
Gardan se baandhegi chunri re
Mach gaya shor saari nagri re s
Saari nagri re
Aaya biraj ka banka sambhal teri gagri re
Hoo Aaya Biraj ka banka sambhal teri gagri re
Sachin: Arey Mach gaya shor saari nagri re
saari nagri re
Aaya biraj ka banka sambhal teri gagri re-2
Aur phir kuch garib bacche aate hain aur upar rakhi makhan ki haandi phod dete hain
Ye jashn jo tha wo Rajparivar ke liye bilkul alag tha
Dadi sa: Yahan par jo utsav manane ka tarika hai wo to bilkul alag hai
Abhijeet: Jee dadi sa yahan mahol bahot alag hai
Dadi sa: Par Purvi khush nazar aa rahi hai aur yahi dekhke hum bhi khush hain
Thodi der baad
Sab andar baaten karte hain
Dadi sa: Purvi, bahar apne Krishna Radha ko to humne khoob dekh liya parantu, ab aapke chote se baal gopal ya radha rani ko dekhne ka avsar hume kab milega
Purvi: Filhaal to nahi Dadi sa
Dadi sa: Ye kya keh rahi hain aap Purvi, Koi bhi stri tab purntah stri banti hai jab vo Maa banti hai
Purvi: Aap bilkul thik keh rahi hain Dadi sa, parantu
Purvi: apne bhai sa ki santaan ko jab tak hum na dekh len tab tak hum apni santan ke baare mein soch bhi kaise sakte hain Dadi sa aur baat humari santaan ki nahi hai baat hai Jaisalmer ke shaahi mehel ki shayad aap bhool rahi hain Dadi sa ki bhai sa ka Rajyabhishek tab hi ho sakta hai jabki vo kisi santaan ko janm dete hain, aur ye sambhav to tabhi hoga jab unka Vivah hoga , Jaisalmer ko uske utaradhikari ki pratiksha hai Dadi sa...
Dadi sa: Hum samjh gaye aap kya kehna chaahti hain... kal hi hum Purohit ji ko bulwake baaki saari rasme karva lete hain , aur vivah ka muhoorat bhi nikalwa lete hain,
Par iska matlab ye nahi Purvi ki hum aapki santaan ko dekhna nahi chaahte, hum chaahte hain ki aapki god bhi jald se jald bhar jaye
Tabhi vahan koi aata hai
"Ghani Khamma Bhabhi sa"
Purvi: Vivek bhai sa
Vivek: Apne dewar ka pranam sweekar Karen, Bhabhi sa aap hume apnaayen, naa apnaayen, hum aapko muh dikhaai mein mile hain
Sab has padte hain
Sachin: Ab fursat mili aapko aane ki
Sudeshna uske kaan khichti hai
Sudeshna: Ab aaya hai tu ab mili hai tujhe apni maa se milne ki fursat
Vivek: Kya bataun maa kaam mein bahot phas gaya tha fursat jaise hi mili waise hi chala aaya, Sorry bhai sorry aapki shaadi mein nahi aa paaya, par ye chakkar kya hai boss, chat mangni pat byah haan ?
Adhiraj: Aa gaye laad sahab
Vivek: Baba...(pair choota hai) Pranam sweekar karen baba
Adhiraj: Itni dino baad teri shakal dekhi hai... Sydney jaake ikdam badal gaya hain tu to (in ears) Girlfriend bani ya nahi
Vivek: Kya baba aap bhi
Adhiraj: Arey hum to aapko introduce karwana hi bhool gaye
Ye humare chote laad sahab hain, humare chote bĂȘte Vivek Singhania
Tab Taasha wahan nahi thi
Thodi der baad Taasha wahan aati hai
Sachin kuch soch raha tha, Purvi uske paas aati hai
Purvi: Kya soch rahen hain aap?
Sachin: Vivek ne bachpan se humari khoob khichaai ki hai, hum soch rahen hain thoda hasi mazak unke aur Saali sahiba ke saath kiya jaaye
Purvi:Kya mazak
Sachin uske kaanon mein kuch kehta hai
Tabhi Taasha wahan aati hai
Taasha: Banna sa kya baaten ho rahi thi?
Sachin: Kuch nahi...
Itna kehke wo wahan se Vivek ke paas chale jaata hai
Purvi: Taasha, ye sharbat jaake, Vivek ko de deejiye na, abhi hume kitchen mein kaam hai
Taasha: Ji accha, Jeejha
Purvi: Accha suniye, zara sa unchaa boliyega, kya hai ki bichare Vivek bhai sa , unhe thoda kam sunaai deta hai
Taasha: Jee Jeejha, hum dhyan rakhenge
HERE AT OTHER SIDE...
Vivek: Bhai, ye ladki kaun thi jo abhi abhi aayi thi
Sachin: Bichari, Daya bhai- sa ki behen hai, Bichari ke saath ghor anyaay hua hai
Vivek: Kaisa anyaay?
Sachin: Bichari , waise hi Mata-Pita nahi hain aur usey kam sunai deta hai
Aap unse kabhi baat Karen to zara unchaa boliyega, unhe kam sunai deta hai
Vivek: Thik hai Bhai sa
Tabhi Taasha wahan Sharbat leke jaati hai
Taasha(chillake): Vivek ji aapke liye Jeejha ne sharbat bheja hai, Isey jaldi se pi leejiye
Vivek(Chillakar): Aji, main to pi nahi sakta , mere liye paani hi le aaiye
Taasha: Arey Vivek ji itna chilla kyun rahe hain, Aaapko kam sunaai deta hai mujhe to thik sunai deta hai
Vivek(thinking): Kaise kaise vehem paal leta hai insaan, bichari
Vivek: Jee, hum ekdam thik sun sakte hain, aap mat chillaiye, hume sunai de raha hai
Sab unki is behes ko sunke bahot has rahe they
Taasha: Aap to bade badtamiz hain, sunai aapko nahi deta bol hume rahen hain?
Vivek: Aji sunai to aapko nahi deta
Sab ye sab sun sunkar has rahe they tabhi Sabko dekhke Taasha, unki Jeejha ka mazak samjh jaati hai aur wahan se chali jaati hai
Abhijeet aur baaki saare ghar waalon ki samjh nahi aa raha tha ki kya Singhania parivar ne unse jhoot kaha tha isliye uske man ke prashno ka uttar paane ke liye wo Purvi ke paas jaata hai
Purvi kuch kaam kar rahi thi
Abhijeet uska haath pakad ke usey side mein laata hai
Abhijeet: Jeejha...hume aapse kuch baat karni hai
Purvi: Kya hua bhai sa aapko kuch chaiye tha
Abhijeet: Vo darasal Jeejha Sachin ji ke parivar waalon ne kaha tha ki Sachin ji unki iklauti santaan hai, wo baat alag hai ki Shreya kho gayi thi aur phir baad mein mili phir ye teesri santaan
Purvi: Vivek bhai sa Sachin ke chacha ke bĂȘte hain, Kaka sa to bahot pehle nahi rahe aur kaaki ma Vivek bhai sa ke paida hote hi swarg sidhar gayi thi, tabse unki dekh bhaal Baba aur maa ne ki hai
Abhijeet haami bharta hai
Purvi: Aapko kuch chaiye bhai sa
Abhijeet: Nahi
Purvi: thik hai kuch chaiye ho to bata deejiye
After a Few days
Ghar mein shaadi ka mahol tha aaj Ganesh Sthapna aur Pithi dastoor they, Purvi aur Sachin dono Rajmehel mein aa chuke they
Ganesh Sthapna hoti hai
"Om Vakratund Mahakaay Suryakoti Samaprabha
Nirvighnam Kurumedev Sarvakaryeshu Sarvada"
Purohit ji: Rajmaata, Ganesh sthapna ho chuki hai aap baaki rasme aarambh kar sakti hain
Dadi sa: Daya beta jao Abhijeet ko le aao zara
Daya: Leejiye Dadi sa aa gaye Abhijeet
Dadi sa: Jainandini, Purvi, Taasha,Shreya aap log aur Tripti,Kaaya Bhoomi
Aap log Abhijeet ko haldi lagayengi
Purvi haldi lagate waqt
Purvi: Bhai sa haldi ka rang chadhne deejiyega nahi to Byah ke baad aisa rang chadhega ki bas utrega nahi
Sab hasne lagte hain
Agle Din Mahira Dastoor hota hai
Next Day
Samela dastoor tha aaj Taarika ke saath saath ye Purvi ke liye bhi ek khaas din tha
Sab Taarika ke ghar jaate hain, Taarika kyunki Purohit ji ki beti thi isliye uska ghar kuch khaas bada nahi tha
Saare log andar jaate hain
Purvi andar jaati hai dekhti hai ki ghar kaafi chota tha, waise to wo kisi ki niyati ko dekhti thi uska ghar ya uski sampatti se usey zyada lena dena nahi tha par aaj usey us ghar ko dekhke ek accha mauka tha
Purvi: Samela ke liye aap itna saara saamaan to le aayi Dadi sa kintu, Dadi sa Purohit ji ye saara saaman bhala rakhenge kahan
Dadi sa: Uski chinta aapko karne ki aawashyakta nahi hai Purvi
Maaf keejiye puSachin ji, Purvi kabhi kabhi kuch bhi bol deti hai
Purohit ji: Maafi mat maangiye mhaare se, Koi na yo sab to hove hai
Purvi: Purohit ji kya naam tha aapki beti ka... Krish...Taarika, bulwaiye na usey, hum garmi mein zyada khade nahi reh sakte
Purohit ji: Birajiye na Rajkunwar, Banna ji sa biraajen, Rajmaata biraajen, Yuvraaj aapka sthaan yahan hai
Tabhi Taarika neechey ghoonghat odhey hue bahar aati hai
Taarika Abhijeet ke bagal mein jaake baith jaati hai
Dadi sa: Saari auraten ek ek karke Taarika ki god bharen aur uske kaan mein shubhkaamna kahen, saubhagyavati hone ki kaamna uske kaan mein kahen
Ek ek karke sab kuch na kuch deti hain Taarika se aur uski god bharti hai aur phir uske kaan mein kuch kehti hain
Dadi sa: Purvi jaiye
Purvi un dono ka tilak karke ek saari aur shriphal se uski god bharti hai saath mein ek heeron ke haar ka set se bhi uski god bharti hai
Purvi(in Taarika's ears): Tumhe pata nahi hai kis ghar me pravesh karne jaa rahi ho, tumhe lag raha hai ki rajgharane mein jaake , raajgharane ki maalkin ban jaogi, lekin jab tum ghar mein pravesh karogi to main tumhe vachan deti hun tumhara jeena dushvar kar doongi, Ek ek pal tumhara us ghar mein jeene ke liye bhaari ho jayega, ghar chodna chaahogi tab bhi chod nahi paogi, Durbhagyavati Bhav
Purvi ki baaten sunkar Taarika ke hosh udd jaaten hain,aur uski haath se uska aanchal choot jaata hai aur god bharai mein chadhaya shriphal gir jaata hai
Purvi: Hey bhagwan ye tumne kya kiya Shriphal gira diya,bahot bada apshagun ho gaya ye to
Purohit ji: Thaara dimag to thik se Taarika, ari ye ke kar diya baawri
Bura ko ni maano Rajkunwar
Purvi: Nahi Purohit ji hume to bura is baat ka lag raha hai ki ye itna bada apshagun ho gaya... lagta hai shaadi ki bhaagdaud ki kamzori ke kaaran inse bhaar sambhala nahi gaya aur aanchal choot gaya
Yahan Dusri taraf Abhijeet lagatar Tara se mil raha tha, ye jaante huye ki uski aur Tarika ki jald shaadi bhi hone waali hai
After some time
Sab palace aate hain
Shreya Purvi ke paas jaati hai
Shreya: Kya kaha aapne Taarika se ki uske haath se aanchal choot gaya, I am sure aapne hi unse kuch kaha tha warna aise kaise aanchal choot gaya unka,
Purvi: Haan humi ne Taarika se kaha tha kuch aisa ki uske hosh udd gaye aur uske haath se aanchal choot gaya
Shreya: Aisa kyun kar rahi hain aap, Abhijeet ke saath kiya hua vyavhaar humari samajh mein aata hai, par Taarika ne kiya kya hai tum uspe apne shabdon ke baan kyun chala rahi ho
Purvi: Kuch nahi Taarika ne kuch nahi kiya hai, par wo kahawat to aapne suni hi hogi na Meethi, Gehun ke saath ghun bhi pista hai, kabhi kabaar agar acchai ke liye kisi bhale insaan ko chot pahonchana zaruri ho to hume usey chot pahonchani chaiye, kyunki jab jab Taarika ka maan bhang hoga bhai sa ka maan bhang hoga...
Purvi: Jo kaary bhai sa ne kiya hai uske aage ye choti si chot to kuch nai hai unhone ek nahi balki teen ,teen bade apraadh kiye hain, lekin in apraadhon se kaanoon se to vo bach gaye , kaanoon ne bhale hi unhe maaf kar diya ho lekin jo kuch unhone humare aur Jii... jo kuch unhone kiya hai vo Kshma yogya nahi hai ...aur hum unhe us baat ki saza zaroor denge apne tarike se denge
