Thank you for your reviews and support everyone.

Daya: kash main na wo goli na chalaye hoti to aj yeh sab nhi hota

Rajat: sir a paisa q soch rhay hain

Daya: q k aik hi jagah do bar goli lgnay se uski yeh halat ha

Vineet: wo theak ho jae gi

Daya: usay theak hona hoga. Warna main jee nhi paon ga

And he cries bitterly.

Abhijeet: agar tum aisay himat haro ga to kaisay chalay ga? Tu janta ha na k Shreya tujh se kitna pyar krti ha usay pta chala to us pe kia bitay gi

Tarika: mjhay aik baat smjh nhi aye?

Vineet: kia?

Tarika: jab Shreya hospital ma thi to wo dead kaisay declare ki gae?

Daya: usi injection ki wjah se jo Abhijeet ko lgana tha usay lgaya gya tha

Purvi: lakin kaisay ap to tab bureau ma than a jab yeh news aye thi

Dr: aur wo injection to foran kam krta ha

Rajat: wo injection ma na dia tha

Flashback starts:

Rajat is left at his home by goons

He gains consciousness and feels something in his pocket and checks it

There is an injection and a piece of paper with city hospital written on it.

Flash back ends

Rajat: to ma ward boy ban k hospital gya wahan Shreya thi to usay injection lga k agya

Acp: lakin tumhain kaisay pta k injection Shreya ko lgana ha jab k plan to last minute change hua tha aur sirf Daya aur Shreya ko pta tha

Rajat: sir mjhay kuch nhi pta tha lakin hospital ma hamari team ma sa sirf Shreya hi thi to usay lga dia

Dr: lakin tumharay pas injection aur wo chit aya kahan se?

Vineet: ma na dia tha

Purvi: tumnay?

Tarika: Rajat unho na tumhain chora q? I mean unka kam to hua hi nhi tha

Vineet: q k Shreya na kam krnay se mna kr dia tha

Abhijeet: lakin aisay cases ma to murder kr daitay hain to Rajat ko q chor dia?

Flash back starts:

Raj: isi mar do ab hamaray kam ka nhi ha

Vinay: are boss aisa na kro

Raj: q nhi? ab wo larki hamari baat nhi maan rhi to isay zinda rakh k faida? Usay saza milni chahiye

Vinay: boss agar yeh marr gya to plan kharab ho jae ga

Raj: wo to already kharab ho chukka ha

Vinay: are nhi boss abhi bhi kuch nhi bigra

Raj: matlab?

Vinay: us larki k qatal ma humnay us CID officer ko phansa dia ha ab CID walay usay kudh maza chakha dain gay hamari baat na mananay ka

Raj: us sa iska kia taluk?

Vinay: agar yeh mar gya to CID walay iski investigation krain ga aur hum tak pohanch gae to sab khatam

Raj: tum theak keh rhay ho. Waisay bhi isay drug diye gae thay isay kuch yad nhi rhay ga. Isay is k ghar chor ao

Flash back ends

Rajat: thanks VIneet tum nhi hotay to wo log mjhay marr daltay

Vineet: ma na Shreya se wada kia tha k tumhain kuch nhi honay donga. Tum uski kisi dost ka pyar ho

Vineet: mjhay bhi plan nhi pta tha bas itna btaya tha Shreya na k City hospital ma yeh injection lga daina to isi liye injection aur chit Rajat ki pocket ma dal di q k mera wahan rehna zrori tha

Tarika: phir Shreya ko anti dot aur phir la k kaisay gaye?

Daya: jab hum Shreya k ghar gae thay ma na usay chup k anti dot da dia tha aur jab usay lita gya to usay hosh a chukka tha humnay usay aik morda ghar ki lash se tabdeel kr dia

Rajat: phir ma roz Vineet se milta aur sab reports la k ajata

Acp: lakin humain q nhi pta chala kuch bhi?

Vineet: un logon na bureau ma bugs lgae huye thay

Rajat: aur unhi bugs ki madad se Vineet ko sab pta chal jata tha

Vineet: Raj ap logon ki planning sun k ap logon k pohanchanay se pehlay saray clues khatam kr daita

Abhijeet: lakin mujrim kitna bhi chalak q na ho koi ghalti to zroor krta ha lakin usnay to koi nhi ki

Daya: aisa nhi ha wo bhi kae clues chor jata tha jo sirf aik CID officer hi daikh skta tha aur tum logon se pehlay wo clues hum hta daitay thay

Rajat: sir ap logon ki safety bht zrori thi to humnay is baat ka pora daihan rakha tha k ap logon ko kuch na milay ta k ap log dour hi rhain

Purvi: to mjhay aur Tarika ko call kisnay kiye thay? Blame lainay k liye

Daya: mainay. Mjhay pta tha case chornay ka kahon ga to tum dono kbhi nhi mano gi is liye yeh krna pra

Daya: lakin sir ap log time pa wahan kaisay pohanch gae?

Abhijeet: Purvi na message kia tha anay k liye aur kaha k qatal hua ha keh k niklain

Daya: lakin Purvi tumhain sab kaisay pta chala?

Purvi: sir jab Raj k group na Shreya k account se paisay withdraw krnay ki koshish kit hi us k baad as security meray signatures aur contact number bhi bank ma rakhwa diye thay usnay

Ta k jab koi amount with draw kray to bank Shreya k sath sath mjhay bhi inform kray

Bas jaisay hi Rajat sir na amount withdraw ki mjhay bank se call a gae aur phir ma na sir ko follow kia aur ap logon ko daikha ap log disguise ma jar hay thay to main na sir ko message kia aur hum bhi pohanch gae

Daya: to isi liye Shreya na kaha tha k subha paisay nikalwaen

Rajat: yani usay pta tha k Purvi ko call jae ga

Daya: usnay to hamari planning ma bhi apni planning kr rakhi thi

Acp: lakin Raj aur sona nay eh sab kia q?

.

.

.

.

.

.

Sorry for being very late.

And yar pehlay bhi kaha tha k please be positive dareya will be one ap logon positivity daitay daitay meri khatam ho jati ha. Aur isi liye mairi stories k update late hain q k positivity khatam ho gae thi

Aik request to all dareya writers and fans please, please ronak la ayen wapis fwp na to ff ki ronak hi khatam kr di ha.

Ok waiting for your precious reviews.

Next will be the last chapter.

Kaisa tha zroor bataye ga.

Ap logon jo baat achi na lgay ya jo ghalti dikhay mujjhay zroor btaye ga.

Ap k reviews hi to likhnay ma madad kartay hain aur motivate bhi aur improvement bhi inhi ki madad se possible ha

And yes of course har review k end pa aik smiling face zroor banaye ga.

Chahy review positive ho ya negative.

And please don't say sorry mjhay ap logon ki baton ka bura nhi lgta

Thank you, take care and always keep smiling