A/n: shyama chahtey hai itni dheri se aane ke liye..kintu todha vyast hai hum.. joh log iss katha ke patre hai ve kripa karke aapna review yaha dey..

Ajhmer mahal

Shruti keerthi ke kaksh mei aati hai bhojan leke…

"bhabisa.. lejiye bhojan kar lijiye.."

Keerthi kehti hai..

"maasa aur baki sabne bhojan kiya?"

Shruti udas hoti hai.. "nahi bhabisa.. unka swasth kharab hai.. ve vishram kar rahi hai.. aapka bhi swasth tek nhi hai aap kar lijiye…"

Keerthi unhe kehti hai.. "humhara maan nhi hai.. aapse kuch kaam hai.. aap karengi.."

Shruti kehti hai.. "haan avashya kahiye na.."

Keerthi unhe kehti hai..shruti chakit reh jaati hai…

"bhabisa.. aap"

Keerthi aapna haath rakhti hai.. "humhare liye.."

Shruti kehti hai.. "aap bilkul pallu ke jaise hai… wo bhi humhe aise uksati hai.. chaliye.."

Keerthi muskurati hai.. "Aapki pallu ko wapas leke lautengey.."

Shruti unhe galey se lagati hai… "jaldi se wapas aayega.."

Shruti..khidki.. se.. dupatton ko.. rassi banake.. neeche fhekti hai… waha badal pehle se hi maujudh hota hai…

Keerthi..aapne vastre.. badal leti hai.. aur waha se neeche chali jaati hai..

"sambalke.."

Keerthi unka sukhriya karti hai..aur waha se chali jaati hai.. "chal.. badal.."

Shruti bolti hai.. "kanha.. jee.. raksha kijiyega.."

Priti aur kuki mahal mei aatey hai…

Roohi vineet se krodith hoke..aapne kaksh mei jaa hi rahi hoti hai ki wo unn dono se milti hai..

"aap dono yaha?"

Priti kehti hai.. "haan di.. maasa ne humhe yaha bejha hai.."

Kuki bolti hai.. "keerthi di ki bhi toh sehat aachi nhi hai aap akele kaise sambalogi.. isliye aapki saheta ke liye hum aa gaye.."

Ve unn dono galey se lagati hai..

"nimisha aur aru kaisi hai?"

Priti kehti hai.. "di.. wo.."

Kuki bolti hai.. "di.. aru nimisha di ke saath hai aap chintith na ho.."

.

.

.

.

Jungle

Kavin dushyant aur kabir..uss disha ki aur jaatey hai..

Kavin ko najar aata hai…

"bhaisa.. yeh dekhiye yeh dupatta choti ka hai.."

Kabir dekhtey hai.. "chaliye shigri.. issi disha ki aur jaatey hai.."

Teeno wahi jaatey hai..

Unhe kuch angrez sipahi ghayal padey dikhtey hai..

Dushyant "bhaisa..yaha bhi koi najar nahi aa raha.."

Kabir.. "hum nirash nahi ho saktey.. aagey bartey rahiye.. humhe avashya milengey.."

.

.

.

Keerthi aapni sehna ke saath jungle mei aati hai..

Nadi ke kinarey unhe ek vyakti dikhta hai..

"suniye aapne aas pass kissi.. kanya ko dekha hai... bhagtey hue.."

Vo vyakti murta hai..keerthi unhe dekhke heran reh jaati hai..

"akshay.. aap.."

Akshay kehtey hai.. "aap yaha..."

Keerthi kehti hai.." yuvraj.. aap kaha they sab cintith ho rahe hai aapke liye... mahal wapas laut jaayie.."

Akshay chilatey hai.. "asambhav.. hum waha wapas nhi jayengey.. na ab hum yuvraj hai aur na waha kisike saath humhara koi sambandh hai.."

Keerthi jorse kehti hai "mastaksh toh tek hai na aapka..kya keh rahe hai.. aap ek lautey.. uthar adhikari hai.. kakasa ke.."

Akshay boltey hai.. "bas kijiye.. satya aap janti hai kya hai... humhara koi haq nhi hai... joh humhara hai nhi uspe hum aapna haq nhi jama saktey..."

Keerthi "akshay hum samjtey hai yeh rahsya jaanke jitna achamba aapko hua hai utna humhe bhi hua hai..yeh satya savikar karna katin hai.. kintu.."

Akshay beech mei bol detey hai.. "kintu satya yahi hai.. humhara koi sambandh nhi hai... aapse na jodhpur ke rajya parivar se.."

Keerthi unhe thappad maar deti hai..

Unhe unke kandey se pakarke jhatkti hai.. "aap.. jantey hai kya keh rahe hai aap.. haan? Nhi chahiye humhe kuch... khush hai hum... joh bhi humhari pehchan hai.. 24 varsho ka tyaag..sne.. aap ek pal mei samapth nhi karsaktey hai.. smajhe aap.."

Akshay unka haath hatatey hai.. "keh diya aapne aur humne maan liya.. nahi lengey... aapka sathan kintu mahal wapas nhi jayengey"

Akshay jaane lagtey hai..keerthi kehti hai.. "ruk jayie.. akshay.. aapko maasa ki saugandh"

Akshay ruk jaatey hai... keerthi unke pass jaati hai..

"maat jaayie.. hum sabko chodke.. jab humhare aur rajat ke rishtey se koi sehmat nhi tha aapne humhara saath diya.. aapko malum tha ki nimisha.. aur rajkumar kabir ek dusre se prem kartey hai.. aapne hi unhe ek kiya.. phir.. aap kyu jaa rahe hai.. aapne socha hai aapke jaane se sabpe kya betegi... hum aapse prathna kartey hai wapas laut aayie.."

Akshay unhe dekhtey hai..tabhie waha kaal sehne ke kuch log aatey hai..

"ranisa.. uss taraf chalyie.. hum abhas hua hai.. shayad rajkumari palak waha ho sakti hai.."

Keerthi .. "akshay.."

Akshay aapna muh modh letey hai..aur keerthi waha se chali jaati hai…

.

.

.

Ajhmer mahal

Rajat keerthi ke kaksh mei aatey hai..

"kiru.. kaha hai aap?"

Ve unhe kahi najar nhi aatey hai..

"yeh kaha gayab ho gayi"

Ve kaksh ke bahar jaake dekhey hai..par kahi najar nhi aati..

Tabhie shruti was se jaa rahi hoti hai..

"shruti.."

Shruti.. "jee bhaisa.."

"aapne aapki bhabisa ko dekha kaha hai?"

Shruti khabra jaati hai.. "bhaisa.. wo bhabisa.."

Rajat kehtey hai.. "kahiye shruti kaha hai?"

Shruti unhe sab bata deti hai..rajat hehran reh jaatey hai..

"kya? aapne unhe jaane kaise diya? Unki sehat kharab thi.."

Shruti.. "bhaisa.. hum bhabisa ko kaise mana kartey.. "

Rajat.. "hey bhagwaan.. humhe kamse kam bata deti.."

Roohi, priti aur kuki waha aatey hai..

"iss bichari ko kyu dant rahe ho.. wo kisiki kabhie sunti hai kya?"

Rahat kehtey hai.. "bhabisa.. kintu.."

Kuki bolti hai.. "jijasa… aapne socha ki waha unke bhaisa aur aapki behen musibat mei hai wo baithi rahengi.. kabhie nhi.."

Rajat "han hum jantey hai..par iss tarah se gayi hai woo.. humhe jaana hoga.."

Vineet.. "hum bhi aatey hai.."

Rajat unhe kehtey hai.. "nahi aap yaha rahiye.. kisika mahal mei hona anivarya hai.."

Rajat chaley jaatey hai..

Vineet.. "aap.." roohi ki aur dekhke..

Roohi.. "pri.. kuki.. chaliye maasa ke kaksh mei.."

Ve teeno chali jaati hai..

"yeh toh sach mei humse rusht hai.. par humhe itna bura kyu lagh raha hai…"

.

.

.

Jodhpur mahal

Nimisha aapne kaksh mei hoti hai..

Aru waha aati hai.. "di.. chaliye.. mele mei chaltey hai…"

Nimisha bolti hai.. "nahi humhara maan nhi hai.."

Aru bolti hai.. "hum jantey hai di… mele mei aapko jana behat pasand haii.. chaliye na.. todhi dher ke liye.. aapko aacha lagega aur humhe bhi.."

Nimisha.. "hut na kijiye aru.."

Aru unhe jabardasti kheecke le jaati hai..

"chaliye chup chap.."

Mele ve ghum rahe hotey hai..

"aru.. kabir humhe shyama karengey na.."

Aru kehti hai.. "avashya di.. ve aapse behat prem kartey hai.. ve aapko avashya shama kar dengey… ve rajkumar sac.." aru ruk jaati hai..

Nimisha kehti hai.. "aap kuch keh rahi thi rajkumar sa.. kya?"

Aru.. "kuch nahi di.. chalyie.. dekhiye waha kuch khaatey hai.."

Nimisha sochti hai.. "yeh kya keh rahi thi pata lagana hoga.."

.

.

.

Ajhmer mahal

Shruti aapne kaksh mei hoti hai..

"yeh bhabisa ne bhi na humhe kis vipta mei daal diya hai.. kakisa ya kakashree ko pata chal gaya toh humhari kher nhi"

Karthikey aatey hai.. "Aap khudse vartalap kar rahi hai..aapki mansik istiti bhigar gayi hai kya?"

Shruti unpe krodith hoti hai..

"Aap humhare kaksh mei kya kar rahe hai..hum pehle se yaha chintith hai upar se aap aa gaye humhe aur pareshan karne.."

Karthikey.. "dikhiye hum jantey hai mahal mei joh kuch ho raha hai aacha nhi hai.. kintu iss tarah se baithe ne kuch hoga nahi.. hum toh yuhi aa gaye they"

Aur ve waha se chaltey jaatey hai..

.

.

In jungle

Kabir, kavin, dushyant ko itna kojne ke baad kuch prapth nhi hota…

Idher..keerthi aur unki sehna ke haath kuch nahi lagta… rajat waha aatey hai..

"aapko kisne kaha tha yaha aane ko.."

Keerthi kehti hai… "hum aapni marzi ki kartey hai samjhe.. aap.. humhe dudhna hai aur sawal jawab nahi.. chaliye.."

Rajat kuch keh nhi paatey aur dono khoj shuru kar detey hai..

.

.

.

Ajhmer mahal

Maharani aapne netre kholti hai..

"maasa.. aap tek hai na.." roohi cintith hoke puchti hai..

Maharani kehti hai… "hum tek hai.. kintu humhari putri kaha hai? Batayie na aab tak ve najar kyu nahi aa rahi hai?"

Roohi bolti hai.. "maasa aap chintith na ho.. wo avashya mil jaayengi.. sab unhe khoj rahe hai.."

Tabhie priti aur kuki waha bhojan ke saath aati hai..

"maasa aap bhojan kar lijiye.. aapne kafi samay se kuch nhi gehren kiya hai.."

Daasi bhojan unki aur laati hai..maharani kehti hai..

"nahi.. humhara maan nhi hai.."

Priti kehti hai..

"kakisa aap bhojan nahi karengi toh aapka swasath aur vuprith ho jaayega.."

Maharani hut (zidh) pe rehti hai..

"hum nahi khayengey.."

Kuki sochti hai..

"tek hai kakisa.. aap agar bhojan nahi karengi toh hum sab bhi nahi karengey.."

Priti..bhi unka saath deti hai..

"haan kakisa.. hum toh atithi hai koi pareshani nahi.. hum bhojan nahi karengey.. toh ismei koi vipta nahi"

Roohi bhi kehti hai.. "haan maasa.. aur phir humhe maat kehiyega.. ki humne aapko bhojan nahi diya aur aapke atithi ko bhi.. hum toh keh dengey aapki putri ko jab ve lautengi.. ki maasa ne bhojan nhi kiya toh hum sabne bhi nahi kiya.."

Maharani kehti hai..

"humhare karen humhare balak bhukey nhi rehene chahiye.."

Roohi kehti hai.. "Aur maa bhukey rahe balak bhojan gehren kaise kar saktey hai.."

Maharani muskurati hai…

"aap sab behat hut kartey hai aacha dijiye"

Maharani bhojan kha leti hai..priti, kuki aur roohi muskurati hai..

"hum abhie aatey hai maasa.. priti kuki aap inke nikat hi rahiye.."

Roohi kaksh ke bahar jaati hai..ve bhandar gher ki aur badh rahi hoti hai ki koi unhe kheech leta hai.. ve cheekne wali hoti hai ki uss vyakti ka haath unke muh par hota hai..

"aap swar maat nikaliyega.. humne joh bhi kaha uske liye hum aapse shyama chahtey hai.. humhara kehne ka arth ve nahi tha na aapko kisi prakar ki shathi pahuchane ka.. aap kuch keh kyu nhi rahi hai?"

Roohi kul bolne ka prayas karti hai..aur phir vineet ko abhas hota hai unka haath roohi ke muh pe hota hai.. ve aapna haath hatatey hai..

"shyama"

Roohi "humne kaha tha na aapse iss baare mei humhe aapse koi vartalap nhi karni hai..aur na hi aapse.."

Aur ve chali jaati hai..

Vineet "kintu suniye toh.."

.

.

In jungle

Ratri ka samay ho jaata hai..

Sabhie ek hi jagah ikatrith ho jaatey hai..

"itna khojne ke baad kuch haath nhi aaya.. kahi hum galat disha toh nhi khoj rahe hai.." kavin boltey hai..

Keerthi kehti hai.. "nahi hum sahi jagah khoj rahe hai.. kyuki unn angrez sipahiyon ka ajhmer ki sehma par karne ka ek yahi vikalp hai.."

Kabir sochtey hai.. "haan aap sahi hai bhabisa.. kintu ve log kahi ajhmer ki sehma par kar chuke hongey aab tak.."

Rajat kehtey hai.. "kabir.. apaharan ki khabar milne ke baad hi humhe kuch sehna ko ajhmer ki sehma ke par bejh diya tha sachin ke saath.. unka asambhav hai yaha se bahar jaana"

"kuch na kuch toh joh humse chuth raha hai.." dushyant kehti hai..

"kafi ratri ho gayi hai humhe mahal wapas jaana hoga.. kal sawere hum phirse aarambh karengey.." kabir kehtey hai..

Rajat boltey hai.. "kintu.. kabir hum..:

Kabir kehtey hai.. "Aap sab jayie..hum kuch sipahi ke saath ratri ko yahi kojh karengey.."

Kabir hut karke sabko wapas bejh detey hai…

Ajhmer mahal

Sabhie wapas aatey hai… aur maharaj ko suchith kartey hai asawalta pe..

Dushyant angan mei baithe hotey hai..

Priti unke samaksh aati hai..

Dushyant.. "Aap yaha.."

Priti kehti hai.. "haan wo humhe nidra nahi aa rahi thi isliye yaha aa gaye kintu aap yaha kya kar rahe hai rajkumar akhdu?"

Dushyant kehtey hai.. "humhe bhi nidra nahi aa rahi thi.. hum cintith hai rajkumari palak ko leke.."

Priti aapna haath anjaane mei unke haath pe rakh deti hai..

"hum samaj saktey hai.. kintu aap nishcith rahiye unhe kuch nahi hoga ve wapas laut aayengi.."

Dushyant unhe dekhtey hai aur priti aapna haath hata leti hai..sharam ke maare..

"aap janti hai ratri itni andheri kyu hoti hai?" dushyant unse puchtey hai..

Priti kehti hai.. "haan ratri mei surya devta vishram kar rahe hotey hai.."

Dushyant kehtey hai.. "nahi.. agar ratri nhi hogi toh sawera kaise hoga? Dono ek dusre pe nirbhar kartey hai.."

Priti bolti hai muskurake.. "jaise.. ek jeevan saathi dusre saathi pe nirbhar karta hai.."

Dushyant unhe dekhtey hai..

.

.

.

Kavin bhandar gehre mei aatey hai..

"bhojan ke liye kuch milega ya nahi pata nahi.."

Ve khojtey hai… phir unhe yaad aata hai..

"bhojan toh.. har sawere naya banta hai.."

Kuki waha aati hai..

"aapko bhojan ke sewa aur kuch nahi sujhta mitra.."

Kavin palat ke dekhtey hai..

"rajkumari kuki aap humara haal dekhiye.. sawere se hum aapni behen ko kojh rahe they.. ekant mei baithe bhi nahi hum.."

Kuki bolti hai.. "jee jee rajkumar humhe sab pata hai.. aapne kuch karya kiya hai.. isliye humne.."

Ve kapde se dhaki hui taal laati hai.. "humne aapke liye rakha hua tha…"

Kavin muskuratey hai.. "aap toh humhare baare mei behat aache se janti hai.."

Kuki kehti hai.. "Aab aapko bhojan nhi karna hai.."

Kavin boltey hai.. "karna hai na.."

Kavin wahi baith jaatey hai..aur bhojan aarambh kartey hai.. kintu ruk jaatey hai..

Kuki..puchti hai.. "kya hua?"

Kavin boltey hai.. "hum kaise kha saktey hai humhari behen ne kuch khaya hoga ki nahi.."

Kuki unhe samjati hai.. "unhe aacha nahi lagega agar unhe pata chala unki wajah se unka yeh aati sundar bhai bhooka rahe.."

Kavin muskuratey hai aur khaa letey hai.. "kya? aapne humhe aati sundar kaha"

Kuki.. "jee haan.. aap khayie.."

.

.

.

In jungle..

Kabir wahi vishram kar reh hotey hai..banaye hue kaksh mei.. unhe nimisha ke saath bitaye hue pal yaad aatey hai..

"kyu kiya aapne aisa nimisha.. hum aapse kitna prem kartey hai.. aap janti hai.. hum koi na koi rah nikal letey… kintu itna bada asatya… hum khudko uske liye doshi maan rahe they ki humse yeh apradh kaise ho gaya.. kintu.. samaj nahi aa raha humhe.. maasa aur sabko kaise bataye.. iss satya ke baare mein.."

A/n: okay so I tried to include everyone in it..

So… kya akshay wapas jayengey?

Kabtak roohi vineet se naraz rahengi? Kya vineet ko ehsas hoga?

Kavin-kuki, dushyant-priti iss vipta mei kareeb aa jayengey?

Nimsiha aur kabir ke rishtey ka kya anjaam hoga?

Kya palak milengi?

Shruti aur karthikey ki ann bann prem mei badal jaayegi?

Baane rahe mere saath..

Tab tak alvida..

Phir milengey aagle adhyay mein