Thank you so much for your reviews... Yeh kya itne kam yaar yeh thik nahi hai.. mai late ho jati hoon kyunki padhai rehti hai 10th hai na isliye.. :-/

Chapter 16:-

PF:- Woh tumhari behen nahi hai.. tum mera beta ho.. aur woh tumhari behen nahi ho sakti kyunki woh meri beti nahi.. I don't accept her as my daughter...

Sachin:- Papa aap yeh clearly bata sakte ho akhir baat kya hai.. kyun aap usse pasand nahi karte.. uski galti kya hai.. kya kiya kya hai usne..

PF:- Usne meri marzi k bina shadi kar li.. uske wajah se dosti mein darar aaya... woh hai apradhi.. sabse badi... woh ek ladki hai toh hadd mein rehna chahiye tha na.. lekin nahi usse toh sapne dekhne hai usse khwab ko hakikat mein badalne hai.. mar jaye toh achhi baat hai mere liye..

Sachin:- Nahi.. chup ho jao aap.. aap k liye woh Maiine nahi rakhti hogi lekin mere liye rakhti hai.. she is my little princess.. samjhe aap?

PF:- Kya bole ja rahe ho tum.. khandan badnaam kar diya usne koi dikkat nahi hai tumhe? Koi shikayat nahi hai? Kaha ek achhe ghar mein shadi hone wali thi uski

Sachin:- Papa kis angle se woh ladka.. sorry woh janwar aap ko achha khasa laga..

PF:- Arey izzat se baat karo.. woh achha ladka hai

Sachin:- Character dhila hai uska Purvi pe hath uthane wala tha.. shukar hai Abhijeet ne correct time pe entry maar li nahi toh pata nahi kya ho jata...

PF:- Sachin.. shadi se pehle thoda bohot toh chalta hai.. akhir.. shadi us se hi hone wali thi uski

Sachin:- Kya matlab papa.. aap yeh kya bol rahe ho.. pagal ho gaye hai kya

PF:- Kya bol raha hoon mai bilkul thik keh raha hoon..

Sachin:- Nahi.. aap galat keh rahe ho.. kya hua agar usne sapne dekhe.. toh.. woh bhi ek insaan hai koi robot thodi hai jo aap k sapne uske sapne honge.. she is a different individual

PF:- Plz Sachin is mamle mein mujhe koi baat nahi karni.. bus dhyan rahe woh mere samne na aaye nahi toh usse kaat ke uske lash k tukde tukde kar dunga

PF leaves angrily...

Next morning,

Purvi's side,

Rohana:- Purvi uth... uth ja Purvi... bus 20 min hai tere paas..

Purvi:(tries to open her eyes):- Uth nahi oa rahi Rohana bus do minute de bus do minute sone de

Rohana:- Dekha isliye bol rahi thi teen baje tak kon practice karta hai tu sone kab ayi

Purvi:(almost sleeping):- Hmmmmmm

Rohana:- Uth ja yaar... dekh sir bula rahe hai tu abhi tak fresh nahi huyi..

Purvi:- Uth nahi pa rahi Rohana.. bohot neend aa rahi hai

Rohana:- Toh kisne kaha tha aap ko dedh raat tak punching bag mein punch lagane k liye

Purvi:- Mai.. (sleeping) sand nikalungi (sleeps)

Rohana:(POV):- Aise nahi uthegi..

Rohana hits her by her fist on her waist...

Purvi:(in pain gets up):- Aaaaaaaaahhhhhhhhhhhhh... arey bapre... aahhhh.. mera kamar... tod diya.. aahh tune..

Rohana:- Uth ja.. ab...

Purvi gets up.. She gets ready for the tournament... but feels a bad headache hitting her head every second...

Teacher:- Purvi tum pehle jao.. tumhe Aarav se panga lena tha na.. comw on.. dono aa jao.. and let's have our panja ladai first

Purvi:- J.. Ji sir...

Aarav:- Aa ja Purvi.. dekh ab hota kya hai..

Abhi's side,

Abhi was working on his laptop...Daya was also present...

Daya:- Abhi

Abhi:- Hmm

Daya:- Abhi sun toh

Abhi:- Ha bhai bol.. sun raha hoon

Daya:- Purvi ka kya haal hai aaj kal uska koi phone nahi aata tere paas

Abhi:(POV):- Daya tu kyun yeh topic la raha hai yaar

Abhi:- Ha woh karti hai na.. har waqt kaise karegi training rehti hai uski bhi

Daya:- Lekin yaar... ek do baar toh kar sakti hai... after all tu uska husband .. tera khabar lena toh chahiye...

Abhi:- Ha ha leti hai na.. bilkul leti hai...

Daya:- Abhi kya baat hai tu kuchh chhupa raha hai..

Abhi:- Nahi yaar mai kya.. mai kya chhupaunga.. mai kuchh nahi chhupa raha yaar.. nothing

Daya:- Purvi ne kuchh kaha..

Abhi:- Nahi yaar mumma ne samjha diya hai ab koi problem nahi..

Daya:- Dekh bhai.. gharwale ek taraf ek tarike se samjhate hai.. aur dost dusre tarike se..aur doston se baatein share karoge toh khushi hi milegi.. chain milegi..

Abhi:- Yaar.. sach keh raha hai tu?

Daya:- Ha yar bata na kya baat hai...

Abhi:- Purvi mujhe call nahi karti aur woh gussa hoti hai agar mai call karta hoon toh.. yaar mai.. maine toh uski madad ki na.. har baar uske sath uska hath pakadke khada raha phir kyun

Daya:- pata hai Abhi.. isse waqt kehte hai.. niyati ka khel ... woh kab konsi chal chalegi kisi ko nahi pata... aur layegi hume ek aisi modpe jaha se toh na hum peechhe mudh sakte hai aur na hi samajh pate hai kaise agge badhe..

Abhi:- Daya.. (hugged him) mai.. mujhe dard hota hai yaar.. mujhe.. achha nahi lagta... woh ek time mere peechhe chhup jati thi jab usse dar lagta tha toh.. mere seene mein sar chhupakar soti thi.. ab uske liye mummy papa Shreya sab Maiine rakhte hai siway mere

Daya:- Nahi yaar... dekh woh agar tujhse pyar karti hai na.. toh woh tere hasi mein tujhe join na kar sakti hai lekin tera gum zaroor bantegi.. woh

Abhi:- Lekin usse mere aansu kyun mehsoos nahi hote... mera dard.. usse kyun.. woh shayad mujhse pyar karti hi nahi.. lekin koi baat nahi agar nahi karti hai toh... mai chhod dunga usse azad kar dunga

Daya:- Kuchh din ruk ja mere bhai.. bus kuchh din... Usse wapas aane de... phir jo samajhna hai sath milkar samjhenge.. thik hai.. jald bazi mein liye gaye faisle sirf dard dete hai aur kuchh nahi

Abhi:- Tu hi bata phir kya karu

Daya:- Abhi ab tu kaam pe dhyan de.. woh jald hi aa jayegi.. thik hai ? Tab hum sab milkar dekhenge ki tujhe kaise woh ignore karti hai.. ok? Hm?

Abhi:(smiles):- Thanks yaar.. tune toh halka kar diya mere dil ko.. thanks

Daya:- dobara thanks bola na toh itna maarunga ki

Abhi(laughs):- achha achha.. nahi bolunga.. off.. yaar tum bhi na

The chapter ends

Friends plz review

Regards

-Babli-