"LIFE IS BEAUTIFUL 2"
Mahdiya29-thanks yaar
Guest-Thank you
Guest-Next update is here
Guest-thanks
Pallab-No more waiting... update is here bro
CHAPTER 9:-COLLEGE LIFE
PART 8:-CAN'T SEE YOU WITH HIM
The duo went to their college with their new bikes...
Purvi-Kya baat hai Daya, nayi bike?
Abhi-Daya mujhe kaam hai mai jata hu
Purvi-Tum kahi nahi jaanewaale ho samjhe...
Abhi-Mujhe tumse koi baat nahi karni to tum baar baar mere piche hi khun aati ho?
Purvi-Kyu ki mai tumhaari khaas sabse acchi dost jo hu
Abhi-Dost thi ab nahi rahi ...jaao tera Varun wait kar raha hai...
Daya-Abhi shaant ho jaa kyu itna gusaa kar raha hai yaar...
Abhi-Mai kaha gussa kar raha hu ye ...ye gussa dila rahi hai aur kya?
Shreya-Purvi, tum chalo nahi to jhagda aur bhi badega...
Abhi-Mujhe mood kharaab karne ki aadad nahi isiliye rasta chodo...
Purvi-Nahi chodungi kya karoge maaroge? Maaro...
Abhi-Tujhe maarke mujhe kyaa faydaa, rasta chodo yaar... bola naa tera Varun wait kar raha hai
Purvi-Ek minute, ye mera Varun mera Varun kya laga rakha hai? Voh mera dost hai tujhe crush aur lover ke beech ka farq nahi pata kyaa? Aayinda baat baat mein mera Varun kehna chodo samjhe ki nahi?
Abhi-Ha ha samjah gaya agar aapki izzazat ho to mai jaao?
Purvi-Nahi tum nahi jaaoge mujhe tumse baat karni hai
Abhi-Oh meri maa raat mein message karunga sach mein ab chodo mera rasta
Purvi-Pakka naa...jhoot to nahi bol rahe ...
Abhi-Mai tumhare jaise nahi hu chodo ...
Abhi pushed her aside and went to his class...
Purvi-Kaha jaaoge baad mein mere paas hi aana hogaa chal hat ...
Purvi also angrily went behind him...
Shreya-Ye donno naa kabhi nahi sudharenge...
Daya-Undonno ko chodo , aur humhara bataa...
Shreya-Humhara kyaa?
Daya-humhara kya? Arey future ke baarein mein kuch socha ki nahi?
Shreya-Future ke baarein mein? Pehle teek se propose karo baad mein sochungi aur sochke bataaungi
Daya-To iss janam mein meri shadi hoyega hi nahi
Shreya-Aisa kyun bol raha hai tu?
Daya-Tum ladkiya naa sochne ke liye wakt chahiye aisa bola to samajh naa chahiye ki pakka naa bolegi
Shreya-Tu pehle directly propose kar phir bataaungi samjha aur ek baat
Daya-Dekho Daya, meri shaadi tair hogayi hai mai tumse mil nahi sakti humhara safar iss tak hi taa aisa bola too tera murder kardungaa...
Shreya-Ye tu bahot bolta hai, aisa kuch nahi hai ... ha ye baat to hai papa ladka dundh rahe hai already..
Daya-Uss Chitrole ko koi kaam dandha nahi hai kyaa kyu humhesha dusronki zindagi barbaad karte rehta hai?
Shreya-Oyee hello vo mere papa hai...toda izzat to do...
Daya-Izzat? Aur usse? Bhool jaa...
Shreya-Accha aisi baat hai, to mujhe bi bhool jaa...
Daya-Nahi nahi nahi aisa kaise?
Shreya-To pehle mere ghar aa aur papa se baat kar nahi to propose kar simple...
Daya-Accha teak hai mai darta nahi hu tum se yaa tumhaare chitrole chachu se samjhi... ek kaam kar
Shreya-Kyaa?
Daya-Tu naa, Shreya se Shreya Srivastav banjaa...
Shreya-Vo kyun?
Daya-Kabhi na kabhi akal kaa istemaal karna sikho samjhi mai chala...
Shreya-Abey oyee ruko to sahi...
Daya went...Shreya confused...
Shreya-Shreya Srivastv banjaa matlab? Mai to Chitrole ki beti hu iskaa kyaa matlab?...
AT THAT NIGHT:-
Purvi-Hi gussa tanda hai ki nahi... Purvi messaged...
Abhijeet read her message but didn't reply...
Purvi-Hello angry young man...
Abhi-Bol...
Purvi-Sun...
Abhi-Sunaaa
Purvi-Tu sunte ho ya nahi...
Abhi-Bolo naa kyaa baat hai?
Purvi-tu mujh se gussa kyu ho raha hai maine kiya kyaa hai yaar?
Abhi-Mujhe tum pe nahi Varun pe gussa aa raha hai kyunki vo accha ladka nahi hai
Purvi-Kyun?Teak hai mai gussa nahi karungi lekin reason to bata sakte ho na yaar?
Abhi-Mai nahi bata sakta tumhe samajh naa hoga , okay agar phir se vahi baat hai to mai offline jata hu...
Purvi-Ruko yaar tum aisa kyu bartaav kar rahe ho? 4-5 din hogaye... naa hi baat karte ho naa message... call bhi pick nahi karte ..kya huva hai tujhe?
Abhi-Mujhe sach mein nahi pata kya huva hai lekin kuch baat hai bata nahi saktaa...
Purvi-To pehle batana chahiye thaa naa chupa kyu raha hai bolona kya baat hai?
Abhi-Bola naa nahi bata sakta , dosti tut jaayegi
Purvi-Aisa kabhi hota hai kyaa? Tu zyada socho mat pehle bataa baat kyaa hai ...itne pareshan kyu ho raha hai?
Abhi-Gussa to nahi hogi naa pakka
Purvi-Pakka baba tum pe gussa nahi hoti mai kabhi bi nahi ab bataa
Abhi-Nahi chodo yaar...
Purvi-Tu batata hai ya nahi, nahi to mai ghar aaungi
Abhi-Nahi nahi nahi mai batata hu lekin gussa mat hona
Purvi-Ye huyi na baat, bol
Abhi-Tum aur Varun ko na mai ek saat nahi dekh sakta
Purvi-Accha teak hai lekin kyun ye bataa?
Abhi-Bola naa maalum nahi hai... phir vahi kyun puch rahi hai? mujhe bas lagta hai tum mere saat raho humheshaa...bas aur savaal nahi
Purvi-Phir se gussa? Accha teak hai nahi puchungi aur kuch bolna hai?
Abhi-Ha ek savaal puchna taa
Purvi-To itni der kya macchar maar rahe te? Bolo naa phir
Abhi-Tu Varun se pyaar karti hai kyaa?
Purvi-Tujhe isse kyaa?
Abhi-Bologi ya nahi?
Purvi-ha bolungi to kyaa karoge?
Abhi-oh teak hai done...
Purvi-Kya done?
Abhi read the message but again no reply...
Purvi-Oyeee, mai tumsse kuch puch rahi hu agar ha bolungi to kyaa karoge?
Abhi-Mai kyaa karu?.. kuch nahi karunga chup rahunga aur kyaa...
Purvi-Arey yaar tum mere khaas dost ho, agar tum na kahoge to mai kyu pyaar karungi? Aur ek baat vo mera crush hai mai like karti hu usse bas aur kuch nahi... Hum ghar mein mobile, new dresses, khilone, puppies ko bhi like karte hai iska matlab shadi karenge kyaa?
Abhi-Arey mujhe kyaa pata yaar? Mujhe bahot bura laga bas...
Purvi-Accha baba teak hai , nahi jaaungi uske paas khush?
Abhi-Arey nahi nahi, aisa kuch nahi bas aise hi...Agar tu usse chahti hai to mai kyaa karu? Tumhaari life hai
Purvi-Arey pagal, tumhaari life meri life ye alag alag kab huvaa? Hum donno best best dost hai.. mera aur tumhara aisa kuch nahi hai samjhaa... To tera hai vo mera hai...
Abhi-Tu bhi naaa...ek tarah vo kaminaa aur dusri jagah tu...
Purvi-Kaminaa matlab kaun Varun?
Abhi-Ha vahi,... nahi nahi kuch nahi bye...
Purvi-Abhi, sach bataa baat kyaa hai?
Abhi-Papa bula rahe hai yaar aur ek baat kuch nahi hai teak hai?
Purvi-Chalo teak hai...
Abhi-Bye good night
Purvi-Jaldi sojaa bye kal milungi
Daya-Ohoho Purvi madam mujhe kyu yaad kiya?
Purvi-Kyaa kar rahe hai bhai saab?
Daya-Aur kyaa? tumhari bagal waali kamre mein jo ladki rehti hai naa usse message kar raha hu
Purvi-Ahahahan, aage mat jaao saarein zindagi message karte hi raho, pagal propose kab karoge usse?
Daya-Aaj kiya thaa lekin usse samajh mein nahi aaya
Purvi-haan? Kis tarike se propose kiya bolo?
Daya-Simply kiya thaa Purvi, maine kaha tum Shreya se Shreya Srivastav banjaa lekin vo buddu samajhti hi nahi...
Purvi-Ohohoho, ye kuch alag kiya tune lekin bechaari ...mai maadad karungi lekin
Daya-Pata hai , tu bi koi madad chahti hai bol kya chahiye?
Purvi-Thanks Daya , ek kaam karoge meri?
Daya-Bolo kyaa?
Purvi-Bura mat maano... mujhe naa Abhi ke phone se Varun aur Abhi ki conversations chahiye...
Daya-Kyaa? Purvi pehle bataa baat kyaa hai?
Purvi-Mujhe nahi pata Daya, tu bhi jantaa hai naa Varun ke naam sunte hi vo kitna gussa hojata hai isiliye
Daya-Ha mai bhi vahi soch raha thaa lekin... ha teak hai
Purvi-nahi to ek kaam kar tu pehle messages padho agar kuch nahi hai to mat bhejo agar kuch hai to bhej denaa...
Daya-Teak hai Purvi bas tumhaare liye kar raha hu, shayad ye galat hoga phir bi...
Purvi-Kuch galat nahi hai Daya, Abhijeet kuch pareshan mein hai vo pata karna hai samajhe?
Daya-Teak hai abi gaya aur abi aayaa...
Purvi-Abi? Lekin
Daya-12 baj chuka hai aur mahashay sogaye honge tumhe 15 minute mein milta hu...
Purvi-thanks Daya
Daya-Dost hai Purvi bye..
Purvi-Accha bye...
Daya went to their room and opened the door and saw Abhijeet is sleeping...
Daya-So raha hai kyaa?
No response... Daya relieved and slowly took his phone...
He knows the pattern so phone unlocked...He used Abhijeet finger to unlock the whatsapp ... next Varun aur Abhi's conversations
And then slowly he took the screenshots and send it to his phone and then he deleted the duo's chat list...
Quite smart naa...
Then Daya went upstairs...when he read Varun and Abhi's messages he left totally shocked..."To isliye Abhijeet manaa kar raha thaa oh God..."
Then Daya called Purvi..
Purvi-Bolo Daya call kyun kiya? Matlab sab kuch normal hai?
Daya-Kuch bi normal nahi hai sab kuch ulta hogaya hai...
Purvi-Kyaa?Mai kuch samjhi nahi
Daya-Mai phone pe bata nahi sakta ...screenshots bhejta hu khud padh lena agar padhne ki himmat hai to padho... lekin kal sabkuch hisaab kitaab pura karna hai mujhe...
Purvi-Teak hai mujhe bi jaanana hai aisa kya huva hai Abhi ko...
Daya swiftly sent all the screenshots to Purvi...When Purvi read , she left shocked...
"To isliye Abhijeet bahot disturbed thaa , oh shit.. Bechara ...maine to usse galat samjhaa tha yaha to pura ulta huva hai... teak hai ab sab kuch clear hochuka hai kal dekhungi kaun sahi hai aur kaun galat..."...
She determined something and went to sleep...
TO BE CONTINUED...
