EK AJNABEE
Hello friends!
How are you all doing? Guys, here is a small os on Dareya. It isn't at all related to cid or cid stories. It is based on a simple girl who has a guy who wants to do what his heart says. Guys, imagine Shreya N Daya from an earlier era when he won the most handsome hunk award so that it suits the story: "Waise aaj bhi bada handsome types lagta hain ye banda. Kyu hain na guys, so enough of my backstory now. Lets start now..
Mujhko barish se nafrat hain. Actually, baarish se nahi par uskeaas paas ke farzee romance se mujhko cheed hain. meri duniya main baarish bhi dhup ke jaisi aam hain aur dhup baarish ke samaan khaas.
Apne bare main batau to sabse pehle kya batana zaruri hoga. Main kaisi dikhti hu..dekhiye aaj tak mujhe kisine kaha nahi hain ki main bahut khubsurat hu.. Par maa kehti hain ki jab main shampoo karke baal kholke kaajal lagake, Asmani Rangsky Blue ke salwaar suit main sajti hu to kisi pari se kam nahi lagti. par maa to maa hain. Kabhi sham ko kitchen main roti sektehuve maa kehti
maa: college main koi pasand wasand hain tujhe to batade. To tere papa se baat karti hu. Iss par main mazak main kehti
Girl:kyun… tum apni ekloti beti ke liye dulha nahi dhund paogi…?Maa dhimi aawaaz main kehti
Maa:kya faida rishta vishta karke. "Teri shaadi karna to mushkil hain." Dahejdowry thodi de payenge tere papa….Isiliye apni pasand ka koi dhund le... main has kar kehti
Girl: "Tum fikar mat karo maa." "Maine apne dahej ke liye khudh hi paise jod liye." gulak "petty bank" main 120 rs hain. Itne main dozen bhar12 kaach ki chudiyaa to aa hi jayengi tumhare daamaad ke liye. Itna dahej kaafi hoga.
"ye sun kar maa khilkhila kar hass uthti, or unki dekha dekh main bhi," "Har sham aise hi ek aada roti jal hi jaati thi."
Lo baato baato main apna naam hi batana bhul gayi... mera name is Shreya hain.. honours student hu.. aura iske baad CA karna chahti hu..aur future main apni consultancy firm kholne ka irada hain, waise iraada to delhi jaake graduation karne ka bhi tha, lekin yahi pune apne sainikpuri ke sabse paas ghar ke paanch minute pedalwalk] wale bhavan college main admission lena pada, to Bilkul nahi… tarika meri best friend kehti hain ki main ek number ki ladakan [fighter] hu.. "wo to hu"aur jis din mera mood kharab hua main apne sapno se bhi lad jaungi, phir dekhna kaise jhak maraake mere phiche piche aate kuch dino pehle ki baat hain har tarah se final year ki exam chal rahi thi, Subah uthne ke naam se hi mujhe bukhar aane lagta hain. aur upar se January ki sardi main thande paani se naahna. matlabh namumkin! [Impossible], phir bhi usko bhagti ki pariksha maan ke main uss din subah subah uthkar naah dho ke balcony main pahuch gayi. agarbati jalake apne hi banaye mantra padte huve tulsi ke podhe pe paani chadaa rahi thi ki tabhi akbaar [newspaper] ka ek bandal udta hua mere haath par aa laga. Kalash than se farsh pe aa hi jalti agarbati ne mere dupatte main chedh [hole] kar diya. maine gusse se niche dekha, naya akbaar aala tha..uski nazre mujhpe thi, maine kaha.
Shreya: "Oye, dikhayi nahi deta kya?"
23/24 saal ka wo ladka aise hi waha khada raha..par kuch bola nahi.. Lami si naak, Kaali aakhein, Uska chehra, Kuch dekha dekha saa laga, Usse ghurte huve maine kaha.
Shreya: "Mera dupatta jal gaya." "Jawaab dene ke bajaye wo apni cycle ghumane laga."
Shreya: "Ek minute ruk jaa beta teri kher nahi."
badbada te huvemain sidiyo ki taraf bhagi,par jab tak main gate tak pahunchti tab tak wo tezii se nikal gaya,itna uchal khud sunke maa ne kitchen se aawaaz lagayi
Maa:kya hua?{maine kaha}
Shreya: "Subah subah, meri puja ka satyaanaash karke chala gaya" ((..
Maa:kaun?
Shreya: "Are you listening?" "Naya akbaar waala." "mera dupatta bhi jalaa diya" "Maine apna favorite," "Aasmani rang ka dupatta pasara," "Maa ne kaha"
Maa:main sillayi kardungi rakh de Subah subah pure ghar ko sir pe uthane ki zarurat nahi hain. maine maa ki baat ko unsuna karte huve kaha
Shreya: "Bada beshram hain" I'm sorry to keh sakta tha. ulta mujhe hi ghure chala gaya, Zarur jaan buch ke kiya hoga. Use sabak to main Zarur Sikhaungi.
Agle teen, chaar din main balcony, main padai gidai chod ke uska intezaar karti, par pata nahi kambakat kab aakar akbaar daal jata, aur main soti reh jati, aakhir mein.. maine haar mankar koshish chod di
Wednesday ke din college ke baad main tarika ghar jaa rahe the college se ghar jaane ka ek shortcut tha chodri stall ke bagal ki gallilanepar waha har roz kuch lafange bhethte isiliye har koi dusra raasta hi chunta Uss din dusre raaste par municipality ka kaam chal raha tha. Isiliye hamko majbooran chodri stall ke bagl ki galli ka raaste se hi jaana pada par jab
**Uff! haye, are dekh bhi lo! Yaa phir ek sitti tak kaano main nahi padi to maine mud kar dekha, nazara kuch alag hi ki masti chod ladke aate jaate logo ko kisi baat ka chanda [donation] leke unhe receipt pakda rahe the, or baki zor shor ke club ki deewaar par poster laga rahe
Shreya: Dekh colony waalo se paise ethne ki inki nayi tarkeeb hain, tarika hass padi
Tarika: "Lekin poster woster laga rahe hain to kuch karna hoga."
Shreya: Beta 100-200 kharcha karke apne bear party ka arrangement kar rahe hain. tu kuch samjhti nahi. tabhi tarika ne kaha
Tarika: Shreya, wo ladka tujhe ghur kyun raha hain?
Shreya:kaun ladka kehte huve main piche mudi tabhi dekha ki aas paas ki bheed bhaad ke beech ek Jodi [pair] aakhein mujhpe tiki thi. Besharam kali aakhein. club ki deewaar k support lete huve soda pi raha tha,... maine kaha
Shreya: lafanga number kaa.
Tarika:tu jaanti hain use.
Shreya:nahi to…!
Tarika:phir
Shreya: phir kya? dekhne se pataa nahi lagta.
Tarika: "Are wo cid main ladka wahi inspector daya?" Jo jhalak dikhlaja main aaya tha waisa dikhta hain.
Shreya:bilkul nahi… colony main akbaar baatta hain.
Tarika:to…?
Shreya: to kal milte hain. bye… "Maine baat khatam karne ko asie kaha" Tarika yaa baaki ladkiyon ki tarah nahi thi main, naahi main samajh paati thi unhe. Main gali ki taraf mudi aur tarika market ki aur chali gayi; maine dhire se thoda mud kar dekha; wo ladka mere piche aa raha tha; usne meri taraf haath uthakar kuch ishaara dhadkano ki raftaar jaisi dugni ho gayi thi; sham ke che bajne ke pehle hi andhera ho gaya tha. Gali bhi sunsaan thi. Main tezzz kadmo se ghar ki aur chalne lagi. Tabhi piche se ek scooter thik mere bagal main aakar ruk gaya. papa! Papa ko gali mein dekh kar mere jaan main jaan aayi..isse pehle wo kuch kehte main jaldi se unke scooter ki pichli seat pe bheth gayi.. Unhone pucha
Papa:tu haafkyun rahi hain?
Shreya: "Papa, aap jaldi kijiye warna mere cookery waala show chut jayega."
{kehte huve Maine dhire se piche palat kar dekha..wo akbaar waala mud ke chodri ke tea stall ki taraf waapas jaa rahatha..ghar ke chotte motte kaamo main sham ki baat raat tak dimag se nikal gayi thi..pillow pe sar rakhte hi jaise wo baat laut aayi mujhko abh khud pe gussa aa raha tha,aaj pata chala ki main apne aapko jitna bahadur samajh ti hu utni hu nahi,pata nahi aur kitni aisi galat famiyaa paal rakhi hain main Maine decide kar liya ki agli baar wo akbaar wala mil gaya to dat ke samna kiya jayega.
*Hafte bhar ki baat hain [after a week]; uss din main aur tarika bilkul subah subah eco ki tution ke liye jaa rahe the, Scooty main chalarahi thi, Achanak mujhe kuch suja to maine scooty pune ke railway station ki aur mod di... tarika ne kaha.
Tarika: "Uthar kaha jaa rahi hain"?
Shreya: thodaghumke chalte haina. 10/15 minute late ho jayenge to kaunsa brahma gyaan chuth jayega. maine kaha, city ke saare vendors ko roz subah yahi par akbaar batte the yaha se wo apni apni beat par nikal jaate the, ham dono paas hi ruk kar bagal ke ek tea stall par chai pinelage.. thodi der main mujhko apni colony ka wo akbaar waala dikh gaya, apni cycle ke carriet ke piche wo akbaar ka bandal band raha tha..
Shreya:chal bheth..
jaldi se scooty start karke ham ussi aur bad gaye. ek to slope, upaar se sadak gilli break kam lagi aur scooty left se aati hui uski cycle se takraa gayi, jitna socha tha takar use thodiiii zyada jor ki ho gayi thi, Maine kisi tarah scooty ko sambhaal liya par wo akbaar waala wahi gir pada. Uski cycle ek taraf gir padi aur carriet main lagaye huve akbaar aur magazines bagal wale naale main jaa gire. Scooty ko stand par daal ke ham dono uski taraf bhage. ek second ke liye to meri dhadkan ruk gayithi, tarika ne use uthate huve kaha.
Tarika: "aapko zyada chot to nahi aayi"
Khun aaraha tha uske per se Uski chappal dur naale main bahi jaa rahi thi par uski aakhein mujhpe thi,wahi besharam kali hain usko zyada chot nahi aayi..uski behti jaari chappal ke piche main bhagi..kisi tarah naale main se chappal nikaal kar wapas aayi tab tarika ne uski cycle sidhi ki aur maine apne bag se bandage nikaal kar usko pakdaa di pehli baar main usko itne kareeb se dekh rahi thi. Laga ki wakai ye chehra pehle kahi dekha hain. Dard main bhi jaise uske hotho par ek muskurahat thi. usne kaha...
Boy:Thank u… uski chupi, uski hasi, uski khamosi, uski shaant aankhen jaise mujhe taane de rahi ho... Maine tarika se kaha
Shreya: hume tution ke liye late ho rahe hain. chale?
"Maine akbaar waale ki taraf dekhe bina hi kaha." "Tarika ne mujhe ghur ke isharo mein sorry kehne ko kaha aur main apni nazre churate hui..par shakti se kaha."
Shreya: Sadak gilli thi break nahi laga. sorry..
Itna keh kar main scooty ki taraf chal padi. "Tarika bhi mere piche aayi"
Tarika: "Shreya baat kya hain?" sach sach bata? Tune aisa kyun kiya?
usne mujhse pucha
Shreya: kyaSadak par accident nahi hote kya? Maine safai deni chahi.
Tarika: "acha jaise mujhko dikha nahi ki tune jaan buj kar galat indicator diya"
Shreya: "Usne mere saath batameezee ki"
Tarika:jaise ki?
"Tarika aadi rahi"
Shreya: "Usne mera dupata jala diya." Uss din yaad hain mujhko kaise ghur raha tha. "phir mere piche piche aane laga thaa wo"
Tarika: Oh..to uss baat ka badla aise liya tune. ek to usko chot aayi aur paanch so, saath so 500/700 ka nuksaan hua so alag.
"Maine kuch jawaab nahi diya" sham ko main aur maa tv dekh rahe the aakhein tv par thi aur dhyaan kahi aur. bura lag raha tha. Galat kiya tha maine uss akbaar waale ke saath
Uss raat sapne main ek Jodi kali aakhein mere paas se guzri ajnabee sa koi tha. maine pucha
Shreya:ek second… "Kya ham pehle mil chuke hain." "Wo aakhein has padi." wahi hasi aas paas phelte huve lakire kheech gayi. Unn lakiro main se ek jaana pehchana chehra ubhra. aur unn hasti hui aakhon main ek rang...aasmaan ka rang. Maine khudko kosaa.
Shreya: "Ye, kya pagal pan hain?" ussne kaha
Boy: "Kyu kya bura hain"
"Ameri neend khul hain sapne mein wahi aata hain jo hamare subconscious mind main chal raha hota hain." Jo mumkin hain, man ne kabhi na kabhi socha hoga, ya chaha hoga. Par kya chahta tha mera man main samajh nahi paayi.
agle din main tution se lauti hi thi ki darwaaze ki ghanti baji. wahi akbaar waala tha. "ek baat ko meri dhadkane tezz ho gayi"; "isse pehle ki main kuch kehti usne pucha";
Boy: "apke papa ghar pe hain"
arre ye to meri shikayat karne ghar pahunch gaya tha. Aur muskura to aise raha hain, jaise koi khush khabri leke aaya ho. Par is waqt bhalai, isi main thi, main iss baat ko yahi raffa daffa kar du...
Shreya: dekhiye maine aapko sorry kaha tha naa. aur aapka kitne ka nuksaan hua baatyiye. Main abhi de deti hu. phir bhi agar aap chahe to papa se keh sakte hain.
"Maine thodi rukhayi se kaha..."
Boy: "Nahi nahi aap galat samajh rahi hain. "Wo blood donation camp ke bare mein unhe mujhse kuch baat karni thi." isiliye mujhe bulwaya tha. Uss din jo hua wo ek accident tha,... usmain galti kisiski nahi thi...
Shreya: Beta pata to tumko bhi hain ki galti kiski thi.
maine man hi man kaha. aadmi yaa to tum bahut shaeerf ho yaa phir bahut bade dhag. Tabhi piche se papa ki aawaaz aayi
Papa:arre Daya? andar aao…
achaa to innsaab ka naam bhi daya hain, khud ko cid wala daya samjhta hain bachu. Par ye papa se mila kaise aur kyun?
Daya:ji uncle… aap free hain..drawing room ke andar aate huve usne kaha.
Papa:haa…haa… Papa daya ko bhethne ka ishara karte huve meri taraf mude
Papa: beta shreya zara do cup chai chada de.
main pehle paani, phir chai, phir paani
dene ke bahane teen baar uss kamre main gayi..par unki baato se kuch khaas samajh main nahi aaya.. Kareeb do ghante baad Daya gaye to papa hamare paas aaye, operation theatre ke bahar khade kisi patient ke relative ki tarah main papa ka wait kar rahi thi.
Shreya: "Kaise jaante hain aap isko?"
Papa:kaun daya? dekh kisiko batane ki zarurat nahi hain, ye Mumbai ke shetty bhaisaab ka beta hain.
"Papa ne aise kaha jaise koi raaz ki baat bataa rahe ho..."
Maa:kaun shetty..?textiles wale?
"Maa ne kitchen se pucha.."
Papa:haa wahi… Yaad hain unke godown waliland ka case clear kar vaya tha, bahut maante hain hamko.
Maa:haa par aap itna dhire ddhire kyun baat kar rahe hain.
Maa ne phir kaha
Shreya: "Pehle ye bataiye crorepati textiles wale Avinash Shetty uncle ka beta akbaar baat ta hain wo bhi yaha pune mein."
{maine pucha…}
Ham maa beti ne milkar wakil sahib ko torcher kar diya tha.
Papa: "Aisa hain ki shettyji chahte hain ki unka beta unka business join kare." par daya
Ko aage panda hain. MSC aur physics main MA kiya hain aur research karne bahar jaana chahta hain. "Isi baat par ek din baap bete main ek din behens ho gayi?" "Baat dono ki ego pe aagayi?" daya ghar chod kar nikal gaya. waise shetty ji ki beti ki shaadi main tumlog bhi to daya se mile the Yaad hain na?
maa ko to nahi par muje shetty ji ki beti ki shaadi yaad aagayi. Itne din se jo aakhein ajnabe thi, unhe phechan mil gayi thi. Wo jo ajnabee tha use ek phechan milgayi thi jo ajnabee sa ehsash tha, wo eshan samne agaya tha.
Maa: to abhi situation kya hain...
Maa ne pucha
Papa: "Complicated ke intervention se agar teen mahine main daya ko kisi college se admission with full scholarship mil gaya to Shetty ji ko maan lena padega." aur nahi aaya to daya business join kar lega..apna kharcha warcha nikaal ne ke liye wo akbaar baat ta hain..
**Chaar paanch mahine pehle ki baat hain shetty uncle ne subah subah ghar pe gaadi bhij wa di Unhone baar baar papa se kaha tha ki pure parivaar ke saath aana padega, to ham full family from Pune to Mumbai pahunch gaye... daya aaye the guest house hamko receive karne, "wahi pe pehli baar maine unko dekha tha, Sherwaani, goggles, and itne smart the, wo un dino aisa nahi hain, "abhi bhi bohut smart hain, "wo par un dino, "wo bilkul alag dikhte the, aakhein abh bhi waisi hi hain. Shaadi main na main kisiko jaanti thi naa kuch karne ko tha. bore hone lagi thi….Shukar hain kuch cousinsmil gaye the to main unhi ke saath hone lagi,..maine notice kiya ki sabse bachti bachaati daya ki aakhein mujhi par aake tik jati thi. Nazar miljaye to dusri aur dekhne lagna jaise kuch hua hi naa ho….aur mandap ke dauraan dulha dulhan ke piche se reh rehke taaka jhaaki, phir mehmaan navasi ke bahane mere aur maa ke liye gulkand ka mitha paan laana. Matlabh saral bhasha [language] mein kahe to line maarne ke har classic tricks janaab try kar chuke the Unki batkismati ki mujhpar inn baato ka koi asar nahi hua. tarika aur baki ladkiyo ko lagte honge ye cute aur romantic, mujhe to ye harkaate ek dam chichori lagti hain. maine to dhyaan hi nahi diya aur itne mahine hogaye the to kuch yaad bhi nahi raha.
Ek hafte ke baad main aur papa ka form bharne university campus gaye the, tabhi piche se aawaaz aayi.
Daya:uncle….
{Daya the… Unhe dekh aisa laga phir mulaqat honi thi, daya ko university campus main dekh papa ne pucha.
Papa:tum yaha?
Daya: main to yaha roz aata hu..yaha central library main meri kaam ki saari kitabe mil jati hai, to yahi bheth ke pad leta hu.
"phir thodi der baad unhone papa se kaha.."
Daya: aapse ek help chahiye thi. Mujhe kuch application forms ke saath yaha ka permanent address proof chahiye, kaise ho payega?
Papa: pan card, voter id kuch hain?
Daya:ji….
Papa: to phir yaha se das minute ka walking distance pe S.K. Tripathi ka office hain. Main phone kar deta hu. aadhe ghante main ho jayega. Shreya beta tujhko to address Pata Haina daya ka kaam karva dena zara.
Meri haa naa ka intezaar kiye bina hi papa nikal gaye. Majbooran mujhe daya ke saath jaana hi pada, aise bina baat chit ke saath-saath chalna thoda akward ho raha tha, maine yuhi kuch idhar udhar ki baat shuru ki, par wo to kuch jawaab hi na de,
Shreya:gunge ho?
Daya:nahi to….
Shreya: to baat kyun nahi karte?
Daya: dar lagta hain.
unhone haske kaha
Shreya: "Tumhari harkate sab yaad hain mujhe." "Abhi bhi time hain." sudhar jao…
"Maine gusse main kaha..jhagdalu mood mein, main jhat se aap se tum pe aajati."
Daya:ek baat batao. {waise hi muskurate huve kaha}
Daya: maine na tumko cheda, na zabardasti gale padne ki koshish ki aur naa phone karke pareshaan kiya, phir.
Shreya: "Arre ghur to rahe the."
Daya: sirf ghurne ki itni badi saja.
Shreya: "Main attitude se kahaise bhi zyada ho sakti hain."
Daya: "Matlabh dekhne ki bhi manayi hain."
Shreya: "Bilkul." Mumbai se Pune tak sirf dekh hi rahe ho….bola to kuch jata nahi tumse.
mere muh se nikal gaya. Chup. "Wo bhi aur main bhi" Shayad unke chere pe ek aajeeb si muskaan thi. "Situation ko sambhalne ke liye maine kaha.
Shreya: "Waise acha hua jo tumne aakhen churana band kar diya."
Usne kuch kaha nahi, bas muskuraate nahi, abh unke dil main kya chal raha tha, maine maan hi maan kaha ki bada irritating ladka hain.
Do din baad hum blood donation camp main mile... Blood dekar main bahar aayi to usne mujhe ek packet pakda diya. juice aur fruits the,jo sabhi donars ko de Rahe the..nikalte huve maine pucha.
Shreya: Achaa to tum paper kyun baate ho? Koi aur kaam nahi?
Daya: "Kyun kya burai hain..Abdul Kalaam bhi baate the" waise mahine ke 8000-10,000 kamaa letaa hu..main chotte bade kaam ka gyaan nahi dunga par khud ki kamai se ek type ka self of achievement bhi try karna chahiye.
Raaste bhar daya ki baate unhi ka cehera khayalo main aate jaate rahe. Ghar pahunch kar packet main dekha to Asmaani Rang Ka Dupatta or Ek Khat Tha, Likha Tha.
Daya: "Ghuma firaa kar baat nahi kar sakta isiliye kam baat karta hu" pehle to tumhara dupatta jalane ke liye sorry..umeed hain sahi rang chun paya hu.. aur pune aane ki wajah thi university, aur waha ke professor jo mujhko guide kar rahe the, par ek chotti si wajah tum bhi ho, didi ki shaadi ke baad maine tumhare ghar phone karne ki koshish ki thi, and tumhare papa ke kaaran himaat nahi Abh tumhari daat khake mujhme thodi si himaat aa gayi hain. Isiliye puch paa raha hu..ek akbaar waale se dosti karogi..?
phir niche likha tha
12 juin ko US jaa raha hu. MIT se call aagaya hain. 2 saal bad padai khatam karke wapas aaunga yaha agar tum chao to.
Chitthi pakad kar main bhethi rahi. Pata nahi kyun dil zoro se dhadak raha tha. Ek ajeeb si feeling thi, khushi, excitement pata nahi kya.
tap tap ki aawaaz se main khidki ki taraf main mudi.. barish shuru ho gayi thi aur iss bemausam barish ne pata nahi kitne dino ki uljhan ko suljha diya. main bhi tarika yaa unn ladkiyon ki tarah hi thi..bas khudko thoda alag samajhti
12 June... Matlabh daya ko US jaane main do mahine the... Kaun jaane dosti shayad ho hi jaaye, ya dosti se kuch zyada hi jaaye,...
OK guys.
Ye thi ek choti si Kahani, I mean os on Dareya.. I hope you all liked it. It does not have any other usual movements which would have happened between Dareya in cid or in any stories, but I thought to write about a very different situation and a very different concept on Dareya, so how was it, please tell it? I have written it for a couple of other shows, one of which is my favorite, so I thought I would do the same for Dareya. I hope you all liked my short try; we will be waiting for your precious comments and reviews. I love you all and thanks for reading it, guys.
Dareins rocks.*
