A/N- Thankyou everyone for your love and support. I'm glad that you all are enjoying the story.

Jasmin- Aap kahan tak sahi ho, you'll get to know soon. Stay tuned. By the way..nice try!

Guest- I'll surely read if I get time.

Ashmika kv shreya fan- Di it's okk. By the way eagerly waiting for next chap of Yeh rishtey hain dosti ke..

Guys if you have any qs about the story then plzz let me know.

Now, let's continue with the story.


Chapter 16,

In an old factory,

Riya- Bas paanch minute aur. Aao Shreya. Maine iss din ka bohot besabri se intezaar kiya hai. Aaj wo hoga jo maine aur Rajat ne decide kiya hai. Ooh sorry..galti se mistake ho gayi. Aaj wo hoga jo sirf aur sirf maine decide kiya hai. Bechara Rajat.. Usse to pata bhi nahi hai ki aaj usske saath kya hone wala hai.

She started laughing evilly.

After few minutes Shreya arrived.

Shreya- Riya sab ready haina?

Riya - Haan haan Shreya sab ready hai. Jaise hi Rajat aayega aur tum usse sacchai bolwane ki koshish karogi mein apne phone mein sab kuch record karlungi aur phir hum yeh jaakar sab ko dikha denge aur phir sab ko humaari baaton par yakin hojaega.

Shreya- Right. I hope Rajat sir apna gunaah accept karlein. Humaare paas yeh aakhiri chance hai khud ko prove karne ka. Yeh plan kissi bhi tarah fail nahi ho sakta warna Purvi..

Riya- Don't worry Shreya..hum Purvi ki shaadi Rajat se kabhi nahi hone denge.

Shreya(while keeping her hands on Riya's hand)- Main tumhara shukriya kaise karuun. Tum nahi hoti to pata nahi main akele kya karti. Tumne sab ke khilaaf jaakar mera saath diya hai. Meri wajah se Daya tumse baat bhi nahi karte. Taarika bhi tumse kitna naraaz rehti hai. I am sorry Riya. Yeh sab meri wajah se hua hai. Sorry!

Riya- Arre aise mat bolo Shreya. Tum bhi meri dost ho. Aur ek dost agar dusre dost ki help nahi karega to aur kaun karega.

Shreya smiled.

Riya (pov)- Don't worry Shreya. Aaj ke baad sab mujhse bohot pyaar karenge. Aaj ke baad se sab ke mann mein mere liye bohot humdardi bhar jaegi. Itna pyaar karenge sab mujhse ki tumhaari kahi kissi bhi baat par unhe vishwaas nahi hoga. Aaj se sab ke dilon mein main hungi sirf main.

Then only sound of car came.

Shreya- Lagta hai Rajat sir aagaye. Riya tum jao aur trunk ke piche chupkar humaari baatein record karo.

Riya- ok.

Riya hid behind the trunk. Then only Rajat arrived.

Rajat- Hello Shreya. Sorry aane mein thora late ho gaya. Tum to jaanti hi ho..wo kya hai na aaj meri haldi thi(he acted as if he was feeling shy)

Shreya- Apna yeh naatak baakiyon ke saamne kariyega. Samjhe aap. Apni yeh bakwaas band kijiye aur bataiye mujhe ki aap Purvi ki life barbaad karne par kyun tule hue hain. Jawaab dijiye (shouted).

Rajat- Tumhe kya lagta hai..tum poochogi aur main tumhe bata dunga? Main kya shakl se bewakoof dikhta huun

Shreya- Thik hai mat bataiye. Yeh to bata hi sakte hain na ki aapne mere mumma papa ko kyun maara?

Rajat- Maine? maine kahan maara hai tumhare mummy papa ko Shreya.

Shreya(surprised)- Yeh kya keh rahe hain aap. Dekhiye yahaan koi bhi nahi hai issliye please apna yeh naatak band kijiye aur sach sach bataie mujhe..kyun maara mere mummy papa ko.

Rajat(continuing his drama)- Yeh tum kya keh rahi ho Shreya. Main pehle bhi keh chuka huun ki it was just an accident. Tum maanti kyun nahi. Dekho yeh sabsirf tumhara wehem hai aur kuch nahi. Tumhe rest ki zaroorat hai. Tum ghar jao.

Shreya (annoyed)- Aap apni bakwaas band kijiye. Maine khud wo cctv footage dekha hai aur phir aapne uss din khud mere saamne confess bhi kiya tha. Mere saamne naatak karna band kijiye okay.

Rajat- Arre aisa kaun sa banda hoga jo crime kar kar khud apna crime confess karega. Are you mad.

Dekho Shreya, main tumhe behen maanta huun. Please tum aisa mat karo mere saath. Maine kuch nahi kiya hai.

Shreya (angry)- Aap yeh drama kyun kar rahe hain. Please stop it okay. Abhi ke abhi apna crime confess kijiye nahi to..

Rajat- Nahi to? Nahi to kya. Kya karogi tum? Marogi mujhe?

Shreya(sternly)- Haan. Maar daalungi main aapko.

Riya smiled internally while Shreya took out her gun and pointed towarda Rajat.

Rajat(continued his acting)- Shreya kya kar rahi ho tum. Dekho Shreya yeh galat hai. Please aisa mat karo. Main tumhara bhai huun. Mein bekasuur huun. Please aisa mat karo. Samajhne ki koshish karo maine kuch nahi kiyaa hai.

Shreya- Bakwaas band kijiye apni warna I will shoot you.

Rajat- Tum apne bhai ko maarogi Shreya? Tum apna badla lene ke liye itna girr sakti ho maine socha bhi nahi tha.

Shreya (pov)- Oh god. Yeh apna crime confess kyun nahi kar rahe. Aur yeh kya naatak laga rakha hai inhone. Par jo bhi ho aaj inhe confess karna hi hoga. Ho sakta hai main inhe maarne ki dhamki duun to yeh darr kar confess kardein.

Shreya- Bhai? Aap mere bhai kabhi ho hi nahi sakte. Nahi maanti main aapko bhai. Aur haan agar aapne yeh nahi kaha ki aapne mere parents ka murder kiya hai aur aap Purvi ki zindagi sirf barbaad karna chahte hain to main aapko maar dungi.

Rajat- Main yeh jhooth kabhi nahi bolunga usske liye chahe mujhe apni jaan hi kyun na deni pare. Main ek Cid officer huun issliye main yeh jhooth kabhi nahi bolunga aur saath hi saath mein tumhara bhai bhi huun issliye tumhare khilaaf bhi kuch nahi karunga. Agar tumhe mujhe maarna hai to tum mujhe maar sakti ho.

Shreya (pov)- Innke dimaag mein aakhir chal kya raha hai. Zaroor yeh innka koi plan hai. Par kya.

Shreya- Thik hai phir. Marne ke liye taiyaar ho jaiye. Bhale hi main sab ko ye saabit na kar paun ki aap kitne ghatiya insaan hai par haan atleast main apne mumma papa ke murderer se badla to le hi sakti huun na.

Rajat- Tumhare liye kuch bhi Shreya. Tum meri behen ho. Maarna chahti ho na. Maar do.

Shreya was stunned. She pointed the gun towards him and fired the bullet.

The bullet hit the wall behind Rajat.

Shreya's eyes filled with tears.

Shreya(teary voice)- Kyun kar rahe hain aap aisa. Why?

Rajat- Kyunki mujhe pata hai ki tum kabhi mujhpar goli nahi chalaogi.

He started laughing.

Rajat- Tumare jaise logon ki na yahi problem hai. Tum log bare hi emotional hote ho. Waise ek baat bataun. Tum aur tumhari maa bilkul ek jaise ho. Wo bhi marte samay aise hi royi thi. Waise sach kahuun..mujhe unhein maarne mein bara maza aaya tha.

Shreya looked him with anger.

Rajat(acted as if he was scared)- Main to darr gaya.

And he started laughing.

Rajat- Tum kuch nahi kar paogi Shreya kuch nahi. Tumhe idea bhi nahi hai ki tum kaun se trap mein fass chuki ho.

Shreya- Trap mein to aap fass chuke hain Rajat sir.(she smiled)

Rajat- Oh really?Tumhe aisa lagta hai? Yeh tumhari bohot bari galat fehmi hai. Kya socha tha tumne? Ki tum mujhe yahaan bulaogi, mujhse sachai bolwakar usse record karkar sab ko dikhadogi aur mera parda fash? It's not that easy Shreya. Hahahhaaahha(he laughed loudly).

Shreya was dumbstruck.

Shreya (pov)- Inhein humaare plan ke baare mein kaise pata chala. Yeh ho kya raha hai. Inhe kaise? Yeh baat to sirf mujhe aur Riya ko pata thi. To phir inhe?

Rajat- Confused na? Koi baat nahi..sab samajh jaogi. Par haan pehle hi warn kar raha huun ki sachai sunne ke baad zyada dil par mat lena..warna kahin heart attack aa gaya to?(he said mockingly)

Shreya (angry)- Bakwaas band kariye apni. Samjhe aap.

Rajat- Jitna gussa karna hai karlo Shreya..jitna chillana hai chilla lo . Phir yeh mauka mile na mile. Waise tum soch rahi hogi na ki mujhe yeh sab kaise pata chala. Chalo suspense khatam kar hi deta huun.

Then he looked towards the trunk from where a girl came out with a wide smile on her face with a camera in her hand.

Shreya murmured RIYAAAA.

Shreya- Riya tum bahar kyun aa gayi. Tumhe maine kaha tha na ki jab tak main na kahuun tab tak tum baahar mat aana. To phir tumne meri baat kyun nahi suni.

Riya and Rajat glanced each other and smiled leaving Shreya confused.

Rajat- Aww...mujhe na tumpar bara taras aa raha hai Shreya. Riya, kyun meri pyaari behen ko sataa rahi ho. Ab please isske saare sawaalon ke jawaab de do. Main apni behen ko aise dukh mein dekhta huun to mujhe bilkul achaa nahi lagta. Ab bata bhi do isse.

Shreya- Just Shut up okay. Apna drama band kijiye.

Riya- Drama abhi tak tumne dekha hi kahan hai Shreya.

Shreya (confused)- Matlab? Riya tumhe hua kya hai. Kya chal raha hai yeh sab?

Riya- Shreya shreya shreya. Tum na bohot pyaari ho. Sab ki baaton mein bari asaani se aa jati ho. Kissi par bhi bohot jaldi vishwaas karleti ho... Bohot saare sawaal hain na tumhare mann mein? Koi baat nahi. Aaj tumhare har sawaal ka jawaab milega tumhe.

Tum janna chahti ho na ki tumhara Rajat ke khilaaf evidence iqattha karne ka har plan fail kyun ho jaata tha, kyun tumhare haath kabhi bhi koi saboot nahi lagta tha, aur sabse bari baat, tumhare aaj ke plan ke baare mein Rajat ko kaise pata chala? To suno, inn saare sawaalon ka jawaab MAIN HUUN.

Shreya was shocked.

Riya (loudly)- Haan Shreya, sahi suna tumne. Main kabhi tumhare saath thi hi nahi. Main humesha se Rajat ka saath deti aayi huun. Isse pehle ki tumhe koi evidence mile, usse pehle hi main Rajat ko evidence ke baare mein bata deti thi jisse wo usse gayab kar deta tha aur tumhara har plan flop kar deta tha. Aur yeh sab issliye kyunki tum mujhpar aankh band kar kar bharosa karti thi aur jab bhi tumhe koi suraag milta tha tum mujhe aakar batati thi. Ek raaz ki baat boluun? Kabhi kissi par itna bhi bharosa mat karo ki wo bharosa tumhe hi mehenga par jaaye.

Shreya was dumbstruck. Each and every word said by Riya was revolving in her mind.

Riya (angrily)- Maine to kabhi bhi tumhe apna dost mana hi nahi Shreya aur naahi kabhi maan sakti huun. Kyunki I hate you. I hate you itna jitna maine kabhi kissi se nahi kiya. Pata hai kyun?

Shreya looked her with questioning eyes.

Riya- Kyunki tumne mujhse meri sabse kimti cheez chiin li. Kyunki tumne mujhse mera pyaar chiin liya..mera Daya..mera Daya mujhse chiin liya tumne. Samjhi tum.

Shreya stared her blankly.

Shreya- Tum..tum Daya se p..pyaar?

Riya- Pyaar nahi..bohot pyaar karti huun main usse. Tabse jabse main pehli baar usse mili thi.

Shreya was shocked to know all these.

Riya- Aur isski saza tumhe zaroor milegi. Aisi saza jo tum zindagi bhar yaad rakhogi.

Shreya (with hardness in her voice)- Tumhe pata tha ki Rajat sir ne hi mere mumma papa ko mara hai? Kya tumhe pata tha ki wo Purvi se kissi maksad se shaadi karna chahte hain? Bolo?

Riya- Haan sab pata tha mujhe. Yeh sab hum dono ki planning thi Shreya. You know what, tumhe kabhi pata nahi chalta ki tumhare parents ko Rajat ne mara hai. Par tumhe yeh sab pata chala kyunki humne tumhe pata chalne diya.

Shreya- Kya matlab?

Riya (chuckled)- Samjhati huun. (Then she told the incident that how she called Rajat to her house and they teamed up to destroy Purvi and Shreya's life). Phir humne plan banaya ki hum jaankar tumhe yeh pata chalne denge ki tumhare parents ka murder Rajat ne kiya hai. Aur iss tarah se tumhare saamne yeh baat laenge ki tumhe lage ki accidently tumhe pata chal gaya. Issliye maine uss din ring ke bahane tumhe Rajat ke ghar bheja jahaan Rajat already tumhara intezaar kar raha tha aur tumhare aate hi usne wo cctv footage chala diya. Aur uss din tumhe usne room mein band kiya tha aur chabhi jaanboojh kar wahin gira di thi. Taaki tum khud darwaza kholkar baahar aa sako aur tabhi main wahan pohonchu aur apni car mein tumhe venue tak le jauun. Aur wahaan ja kar jab tum sab ko batao ki Rajat ne tumhe room mein lock kiya aur galti se chabhi wahin gira diya to kissi ko tumpar vishwaas na ho..

Shreya tumhe sochna chahiye tha ki agar uss din Rajat ko tumhe wahin band karkar rakhna hota to wo chabhi wahin kyun chordeta. Ek cid officer galti se itni bari galti kabhi nahi karega.

Now, Shreya also revolved all the incidents again in her mind. She thought that how she fell into their trap.

Shreya (sternly)- Purvi ki zindagi kyun barbaad karna chahte ho tumlog?

Riya- Aa..aa, main nahi Rajat. Rajat Purvi ki zindagi barbaad karna chahta hai. Meri dushmann to sirf tum ho.

Rajat- Right. Shreya, tum janna chahti ho na ki main Purvi ki zindagi kyun barbaad karna chahta huun. To suno(and then he told the reason..).

Shreya- What! Aapki behen criminal thi. Aur Purvi ne sirf apni duty ki thi.( in anger).

Rajat(angrily)- I don't care meri behen criminal thi ya nahi. Mere liye bas yeh important hai ki ab wo mere saath nahi hai sirf aur sirf Purvi ke wajah se.

Shreya gave him a disgusting look.

Shreya- Mere mumma papa ko kyun mara?

Riya- Wo bechare to bali ka bakra bann gaye. Zinda the tab to mere kaam nahi aaye..par haan marne ke baad bohot kaam aaye. Agar main unhe nahi maarti to sab ko yeh yakiin kaise dilaati ki tum apne parents ki maut ka badla lena chahti ho Rajat se. Hmm? Mujhe pata tha ki koi iss baat par vishwaas nahi karega ki Rajat ne unhe maara hai aur jab tum unhe yeh proof karne ki koshish karogi to sab yahi samjhenge ki tumhari tabyat kharab hai..tum sadme mein ho. Aur dhire dhire sab tumse nafrat karne lagenge. Mujhe ek kaaran chahiye tha jiss basis par main tumhein sab ki nazron mein gira sakuun aur wo wajah banne tumhare khud ke mom dad.

Rajat- Waah Riya kya plan banaya tha tumne. Manna parega.

Riya- Shukriya shukriya!

And then only she received a tight slap on her face by Shreya.

Riya (angrily)- Shreyaaa! How dare you(but she was cut)

Shreya (with feeling of being betrayed)- How dare you! How dare you kill my parents. Apne ghatiya iraadon ko poora karne ke liye tumne unhe use kiya. Tum jaisi ghatiya larki aaj tak nahi dekhi maine apni zindagi mein. I am ashamed of myself ki maine tumhe apna dost maana. Waise galti meri hai. Agar samay rehte tumhare iraadon ke baare mein pata kar liya hota to shayad itna sab kuch nahi hota. Waise ek baat sahi kaha tumne Riya. Kissi par bhi aankh band kar kar bharosa nahi karna chahiye. Aaj ke baad yeh sabak mein apni poori life yaad rakhungi.

Aur Rajat sir aap. Aapko to bhai kehti thi main. Par shayad aap uske laayak nahi the.

Riya- Ho gaya tumhara..ki aur kuch bolna hai.(annoyed)

Shreya looked towards Riya.

Riya- Tumhara yeh bhashan sunne ke liye hum nahi aaye hain. Samjhi tum. Aur waise bhi ab mere paas time waste karne ke liye time nahi hai. Wo log kabhi bhi aate honge.(she smiled widely).

Both Rajat and Shreya got confused.

Rajat- Kaun aane wala hai Riya? Tumne mujhe to nahi bataya.

Riya smiled.

Riya- Sorry Rajat. Yahaan se saari baaji meri hai. Tumhe kuch samajh nahi aayega, aur naahi tumhe kuch samajhne ya karne ki zaroorat hai. Jo karna hai wo ab main karungi.

Then suddenly Riya snatched Shreya's gun and pointed it towards Shreya.(Guys here Riya holded the gun by keeping a handkerchief on her hand.

Shreya- Riya! Meri gun waapas do.

Riya- Dedungi. Zaroor de dungi. Par itni jaldi kya hai. Ab gun le hi liya hai to bina ek goli chalaye mein return kaise karduun? Hmm(said acting innocently)

Shreya and Rajat were shocked.

Rajat- Par Riya, humne yeh decide nahi kiya tha. Humara to bas itna hi plan tha ki yahaan aakar Shreya ka plan fail karna hai aur aaj ke liye bas isse yahaan band karna hai taaki yeh shaadi mein koi rukawat naa la sake. To tum Shreya ko maarna kyun chahti ho.

Riya started laughing loudly.

Riya (controlling her laughter)- Oo sorry. Mujhe hassi aa gayi. By the way Rajat kisne tumse kaha ki main Shreya ko marne wali huun? Main to tumhe maarne wali huun.

Rajat- What? Tum paagal ho chuki ho. Samjhi tum. T..tum mujhe kyun marogi. Maine to tumhara saath diya na.

Riya- Sorry Rajat. Majboor huun. Waise tumhe maarna to nahi chahti par tumhara marna mere plan ka bohot bara hissa hai. Agar tum nahi maroge to mera plan aage kaise badhega.

Rajat- Kaisa plan?

Riya- Iss Shreya ko barbaad karne ka plan..isse Daya se duur karne ka plan..sabki nazron mein girane ka plan.(she shouted leaving Rajat and Shreya shocked.)

Riya pointed the gun towards Rajat and said"Sorry Rajat".

Then only Riya fired a bullet and Rajat was shot dead.

Shreya was shocked. Tears flowed through her eyes while Riya glanced Shreya and ran from there.

Shreya- Aap ko bhai mana tha maine. Bohot pyaar karti thi aapse mein. Par aapne jo kiya uske baad aapse kayi zyada nafrat karti huun. Aapko aapke kiye ki saza mili hai. Jo dusron ka bura sochte hain unka bura hi hota hai. Shayad yahi aapka aant tha.

She wiped her tears. When she turned she saw that Riya was gone.

She for the last time looked towards Rajat and went behind Riya.

Near a cliff,( cliff was near the factory only)

Riya was standing facing the cliff.

Riya(pov)- Wo aate hi honge. Ab bas mere plan ka aakhiri phase hai yeh. Uske baad Shreya Daya ke life se permanently out.

Riya!, a voice came from behind.

Riya- Aao aao, main tumhara hi to intezaar kar rahi thi.

And then she turned back.


Sorry, thora zyada late ho gaya update dene mein! Please koi naraaz mat hona. Next chap jldi update karne ki koshish karungi

Till then,

Stay tuned

Good bye

Take care

STAY SAFE!