Chalta hoon daya
chahta tha trasnsfer lena lekin dekho mission aya hai..headquarters se..dcp ne kaha hai
lekin yeh chitti mein lekh raha hoon kyu ki shayad ...pata nahi...ajeeb lag raha hai...aisa lag rahe hai ki jaise ..main yeh ghar ...tumhare cheezon ko ..mana aise jaise fir in cheezo ko haath lagake wapas mehsoos nahi karpaunga...
maan kar raha hai tumhe ake na gale lagau...tumhare saath chai pi kar chale jao...lekin tum toh bohut gusse main ho na...toh socha yeh sari batein na likh loon...
kyu ki ab toh yeh kagaz hi mera bestfriend hai...dont worry tumhare baad...as always... mere dil ki baat pahuncha dega..
pata hai jab shreya ka letter maine nahi diya...fir tum gussa huwe ...tumne mujhe bohut rulaya hai aur dekhlena har ansu ka badla loonga main...
tumhe pata hai tumhari aankhe joh nafrat dikha rahi thi na..uss se toh mai pal pal mara hoon...
isiliye toh maine tumse dur jane ka khayal aya...
tumhe pata hai daya jabse mera accident hua..mera matlab jab meri yaadash gayi tab ...tab se lekar aj tak tumhare nazre hamesha mere liye ..khushi...garv...pyaar...dihaya hai...
jab nafrat dekhi na...tab kaanch jaisa tut jata hai na..bilkul waisa feeling mera dil ko hua...pehle jab log bolte the na ki pyaar mein dard hota ha mujhe yakin nahi hua...uss din hua...it actually felt worse than any physical pain...
lekin fir jaise tum jaan gaye mujhe transfer ka idea sooja ...aur maine dcp seh keh diya aur woh hamesha ki tarah hamare dukh mein khush hogaye...aur woh maan bhe gaye.
do din baad jab main gaya toh dcp ne mujhe transfer ka letter de diya...i was..pata nahi jane ka maan nahi tha mera ...mera dil na bohut heavy tha...mujhe laga main yeh kya kar raha hoon dost hum seh kafa kya huwe hum toh bhagne lage...arey dost hoon tum seh bada hoon...hak hai mera...bada bhai hoon...agar mein tumhara saga bhai hota toh yun nahi hota na...ankhe bade karke ...2..4..thappad ke dhamki de deta ...aur sab sambhal na tha...
haath mein joh lifafa tha woh dekhar phadne ka man kiya..fir soch dcp ko hi wapas detta hoon...jab mein gaya toh maine kaha sir mujhe nahi jana hai plz mera transfer rok dijye...
dcp ne kaha abhijeet babu lifaf toh khol lijye...transfer ka order nahi hai..mission ka hai...aur tumhe subah tak pahunchna hai...tumhe kya laga dcp bura hai ...hamesha yeh woh bolte rehta hai...bhai hume bhe dost hai ..hamare parivan bhi hai...samajta hoon main sab...pattar ka nahi jao aur tyari karo...
maine thankyou bola aur nikal gaya...main toh shocked tha...
chahta tha tumse milne au ya atleast phone karu..maine koshosh bhi ki lekin tumne uthaya hi nahi...mera pas tumhe manane waqt bhi nahi tha...ghar pahunch tum kitchen mein the tumhare pas ane wala tha lekin mujhe call aya tumhare taraf dekha tum ja chuke the...jaldi nikalne ke orders aye toh mein jaldi pack karke yeh likhene baith gaya...
tumhari black suit wali picture leloon kya?nahi rehne deta hoon mission mein gadbad ho jaye...waise bhi tumhari har photo toh mere ankho mein toh hai...aur hamesha dil mein rahengi...
shit yaar aur ek call...mujhe band karna padega...ja raha hoon main...mera aur tumhara patchup lagta hai iss janam mein nahi honewala hai all beacause these calls...modern communication..
yaad rakhna lekin hoga zarur...iss janam mein nahi toh agle janam mein sahi..fir seh wahi dur janewali feeling arahi hai...dar lag raha hai mujhe ...tum apna khayal rakhna ..sabka bhi...
jane ka waqt aya hai...bohut sara pyaar...
END
