purvi or tarika purvi kai ghar puchti hai .purvi lock kholnay lagti par dekhti ki wo to pahley sai hi khula hai.
purvi : arey door to khula hai lagta hai mammi ghar aa gai hai.
tarika :kahi gai hui thi kya.
purvi :ha wo apni friend ki beti ki gudbharaai thi wahi gai thi ek mintue.
purvi bell bajati hai kuch dar mai uski mom door kholti hai.
purvi mom (p.m):arey aa gai tarika beta tum bhi aai ho aao aao ander aao.
tarika : thankyou aunti ji.
or sabhi ander jakar bathey hai .
p.m: arey ismai thankyou kasa yai bhi to tumhara hi ghar hai aacha tum dono batho mai pani lati hu.
p.m: aacha tum dono fresh ho jao mai dinner lgati hu.
purvi or tarika purvi kai room mai jaker fresh hotey hai. tabhi purvi ka phone bajta hai.
purvi :arey shreya ka call hai.
tarika : speaker par dal.
purvi phone pick karti hai or speaker par dalti hai.
purvi :hello shreya kya baat hai aaj humari yaad kasey aa gai.
shreya : purvi tu kab sudhraigi.
purvi :arey maney kya kiya aab.
tarika :arey yaar tum dono firsey maat lado. shreya tum bacho sai milker aa gai kasa raha sab.
shreya :tarika tum bhi ho waha chlo yai aacha hai .sab aachey sai ho gaya bhai bhi aa gaye hai aaj bhut mzaa kiya.
tarika : sachin aa gaya mission sai kasa hai. sab thek sai ho gaya ?
shreya :hai sab thek sai ho gaya .arey jiss baat kai liye call ki thi wo to suno .
purvi : ha bol kya hua tu bhut khus lag rahi hai.
shreya : ha aaj mai bhut khus hu purvi tum dono suno gaye to tum bhi khus ho jaao gi.
tarika : arey yaar aab kitna suspense rakho gi btao bhi.
shreya :to baat yai hai ki aaj maney bhaiya sai baat ki.
purvi : ha to .
shreya : arey tu mujhey kuch bolney dogi ruko mari baat suno pahley. aaj maney bhaiya sai baat ki unki shaadi kai silsiley mai or bhut manney kaai baad unho nai haa kah di hai suna tum dono haa ki or bhut jaldi mari bhabhi ko wapas laker aaey gai.
purvi : bhabhi ko wapas laker aaey gai matlb or fir wo samaj jati hai ki shreya kiski baat kar rahi hai .
tarika /purvi : kya sach mai .
shreya :kaha tha na tum dono khus ho jao gi.
purvi : ooh shreya tum sach bol rahi ho na kahi mai koi sapna to nahi dekh rahi.
tabhi tarika usey pinch kati hai.
purvi:ahhh... kya kar rahi ho tum tarika.
tarika :mai to tumhey jaga rahi thi.
purvi : tu ruk mai btati hu tujhey.
shreya : arey ruko tum dono please meri baat suno aabhi is barey mai kissi sai kuch maat kaahna mai to maa ko bhi kuch nahi kahu gai abhi .bhai kahi jada pressure mai aa gaye or fir sai maan badal liya to muskil ho jaye gi aacha mai aab rakhti hu maa bula rahi bye.
purvi : love you yaar you are great bye.
purvi call cut krti ha par fir kuch sochney lag jati hai. tarika usey asey dekh kar haran ho jati hai.
tarika : purvi kya hua ab kaha khoi ho.
purvi uski or dekhti hai or muskurati hai .or usey hug kar lati hai.
purvi : aaj mai bhut khus hu tarika bhut khus tum janti nhi ki aaj mai kitni jaada khus hu. aab mai usey bhi call karkey ye khus khabri sunati hu. or number dial karney lagti tarika usey rok lati hai.
tarika :dekh purvi mai samaj sakti hu ki tum bhut khus ho iss baat sai par mujhey nhi lagta humey is mammle mai or interfare karna chaye aab baaki sab undono par depend karta hai, as a friend hum jo kar saktey thai hum kar chukey .tum samaj rahi ho na .
purvi : ha tarika tum sahi kah rahi ho mai khusi kai marey bhul hi gai thi ki aager aabhi maney ussey sab btaya diya or kaal kahi sachin sir ka maan badal gaya to wo to fir sai tut jaye gi mai shayad kuch jada hi soch rahi thi .
or dono nichey jaker purvi ki mom kai sath dinner karti hai .
shreya's home
shreya or sachin jab ghar phuchtey hai to uski mom sachin ki aarti karti hai.
sachin : maa yai sab kis liye.
s.m: tum sahi slamat aapna faraz pura karkey aaye ho isliye .
shreya aarti ki thaal aander lai jati hai or shreya ki mom sachin ko living room mai bithati ha .
s.m: aab bta tu thik hai or ye chot kasey lgi jaada dard to nhi ho raha.
itney mai shreya pani bhi laker aa jati hai or sachin ko deti hai. sachin aapni maa ko bharosa dilata hai ki wo bilkul thek h or chotey to lagti rahti h kaam hi kuch aasa hai.
s.m : aacha tum dono jaker fresh ho jao fir hum sab restaurant ja rahey dinner kai liye tumharey papa ka call aaya tha unho ney bulaya hai.
shreya apney room mai jaker purvi ko khus kahbar sunati hai or fir sab bahar chley jatey hai.
abhijeet home
abhijeet kuch pending files ko complete kar raha hai .
abhijeet : lo bhai yai to ho gaye ab jaker fresh hotey hai fir bhar kahna kahney jatey hai. tarika ji nhi to kya hua mera bhai to hai. bhai sai yaad aaya abhi tak to ghar pahuch kya hoga phone karta hu puchu to kassa raha sab shaadi mai.
abhijeet fir daya ka number milata hai par wo phone nhi uthata wo fir sai dial karta par fir sai wahi.
abhijeet : arey yaar ye daya bhi na ek kaam karta hu uskey ghar hi chla jata hu bhut din ho gaye uskey haat ki chaye bhi nhi pie hai.
fir freshup hoker wo daya kai ghar kai liye nikal jata hai. abhijeet gadi park karta hai or jaker doorbell bajata hai kafi dar tak bjaney key baad bhi daya door nhi khota hai .
abhijeet (thinks ): arey ye kya lights to jal rahi hai to ye darwaza kyu nhi khol raha .or uper sai ye baris kitna traffic tha .arey daya darwaza khol na yaar .lagta hai mujhey hi kuch karna padey ga.
or fir wo door ko shoulder sai push karta ander jaker dekhta ki daya kai kapdey asey hi floor par padey hai flowerpot nichey gira hua hai.
abhijeet (thinks ): arey ye sab kahi daya kisi musibat mai to nahi.
or wo daya ko firsai aawaj lagta hai or sarey ghar mai usey dhundta hai. par wo kahi nahi milta.
abhijeet :ye daya hai kaha phone bhi yahi hai car keys bhi .
tabhi koi aawaj hoti abhijeet dekhta hai ki aawaj upar sai aa rahi wo upar chhat par jata waha ka door khula hua dekhta hai .
abhijeet : ye door khula hai lagta hai daya upar hai par ye kar kya raha hai waha . daya yaar kabsey bula raha hu yaha kya kar raha hai tu.
daya wa baris mai batha hua tha or uski back abhijeet ki taraf hoti hai kafi bar bulaney par bhi jab wo jawab nhi jata to abhijeet uskey pass jata hai or uskey shoulder ko hilata hai. daya usey galey sai laga lata hai or roney lagta hai.
abhijeet : daya ..daya kya hua yaha or roo kyu raha hai yaar.
par daya kuch nhi kahta or abhijeet usey khada karta hai or nichey uskey room mai lai jata hai. ek towel laker uskey baal sukhata hai or uskey liye sukhey kapdey nikal kar usey deta hai or usey change karney ko kahta hai. daya bathroom mai chla jata hai or abhijeet kitchen mai jaker undono kai liye chaey banata hai .daya aaker dinning table par bath jata hai or abhijeet usey chaey deta hai or uskey sath wali chair par bathta hai.
abhijeet : daya chaey piley or uskey baad tu mujhey sab kuch btao gai samjhey. chal jaldi pi .
daya wasa hi karta hai or kuch dar mai dono ki chaey kahtam ho jati hai or abhijeet cups ko sink mai rakhkar daya ko sofa par bathta hai or fir sai puchta hai ki kya baat hai .jo wo is tarha sai behave kar raha hai dosht kai sath kuch hua kya.
daya kuch dar tak kuch nhi kahta par abhijeet passionately wait karta hai . daya ki is tarha ki chupi sai ye jaan jata hai ki baat bhut badi hai.
daya : mujhey kuch dino pahley ek sapna aaya.
abhijeet haran to hota hai .ye sunak par chup rahta hai.
daya with smile: maney dekha ki hum dono ki shaadi ho rahi thi ma or tum dono bhut khus they .maney dekha ki meri shaadi shreya sai ho rahi hai abhi or wo bhi bhut sunder or khus lag rahi thi .maney jab usey dulhan kay jodey mai dekha tab jasey sab tham sa gya tha aasa laga hi nhi ki mai koi sapna dekh raha hu par fir wo siddharth pta nhi kaha sai aa gya or sab bdal gya abhijeet maney dekha ki jaha mai tha waha ab wo hai shreya key sath or mai jaag gya .
abhijeet usey dukhi maan sai dekhta or samaj jata hai ki aakhir uski udasi ki wajha kya thi .jaker uskey hatho ko pakad lata hai taki dekha sakey ki wo samajta hai ki wo kya mahsus kar raha hai or usey puri tarhasai support karta akela nahi hai. daya kuch dar tak kuch nhi kahta .fir jaker window key pass kahda ho jata hai or bahar dekhney lagta hai .abhijeet wahi batha rahta hai time data ki wo aapney thoughts ko collect karey or bta sakey ki wo kya soch raha hai.
daya : aaj jab rajesh ki shaadi par gaya to. ..
flashback-
daya jab hall may pahuchta hai aapney dost ko itney dino kai bad dekh kar bhut khus hojata usey shaadi ki badhaai data hai.
rajesh(smiling ) : daya yaar kitna late kab sai wait kar raha hu. tum to bhul hi gaye ho mujhey.
daya : arey kya baat kar rahey ho haa. aasa kbhi hua hai ki tu buley ma na aau bas thoda busy rahta hu kaam hi kuch aasa hai.
rajesh :chlo tu aaya to sahi wo bhi kya kam hai chal tujhey kisi sai milwata hu.
daya : arey kissey dekh koi shaitani nhi aab to shaadi bhi ho rahi hai tari aab to sudhar ja.
rajesh :arey wasa kuch nhi mai aab pahley wala raja nhi raha badal gaya hu . tu chal tari bhabhi sai to mil lay.
or dono ek taraf ladies kahdi hui thi waha jatey hai.
rajesh :maa yai mera ek bhut purana or sabsay aacha dost daya hai .
rajesh ki maa uski tarf muskurati hai or daya unkey par chuta hai or asirwaad lata hai . rajesh fir usey aapney kuch risteydaro sai milwata hai .
rajesh : or ye hai meri honey wali biwi nisha. or nisha tum to janti hi ho daya ko.
daya:Namestey bhabhiji ap mujhey kasey janti ho .
nisha: bhut suna hai aapkey barey may raj sai or newspapers mai to roj hi aap ki bahduari kai barey mai padhney ko milta hai..
daya unhey gift deta hai or kahta ki wo bas aapna faraz pura karta hai.
nisha kuch or mahman aatey to unhey milney chli jati hai idhar rajesh daya ko aapney room jo waha hotel mai book kiya hua hota hai usmai lai jata hai or waha jaker dono ek dusrey key barey mai batey kartey hai.
daya: tumhey nisha jasey sidhi ladki kaha mil gai haa.
rajesh usey dekhta hai usey 'tara matlab kya hai' wala look deta halkey sai smile karta hai .
rajesh : bus yaar kya btau kasey mili hai bhut mahnat lagi hai sach kahu to.
daya : kya matlab mai kuch samjha nhi .
rajesh : tum to jantey ho daya college time mai kissi sai pyar karta tha par usney mujhey na to samjha or na merey pyar ko .fir mai nai soch liya tha ki mai aab kabhi pyar nhi kru ga dard bhut hua tha yaar .fir job krney lga bhut ladkio sai dosti hui par or kuch nahi fir nisha aai life mai uska pahla din tha job ka usey jaab pahli baar dekha to assa laga ki usey na janey kab sai janta settle honey mai maney uski help ki bhut kind, fun loving nature hai uska dehrey dehrey dost ho gai humari or kab fir pyar ho gya pta hi nhi chla.
daya : or fir shaadi par wo chot kasi lagi hi hai bhabhi ko.
rajesh : kash sab itna simple hota daya .
daya : matlab... ?
rajesh :pyar to ho gaya par itna aasan nahi tha yaha tak pahuch pana bhut muskiley aai pahli to ye ki fir sai pyar krney ki himmat to juta li par usey aapney dil ki baat kasey khu fir hum dono ki umer mai bhi to kitna difference tha sab ko manna or nisha ki sagaai bhi ho gai thi.
daya: kya par fir ye sab.
rajesh : btata hu hua ye ki mai jab ye soch raha tha ki nisha sai kasey kahu ki mai usey pyar karta hu tab uskey papa nai uska rishta apney dost kai batey sai kardiya mujhey pata chal to mai kasey btau kasey khud ko sambhala tha. dil to baar baar bas usey sab kahney ko hi bol raha tha paar mai jaanta tha ki nisha apney daddy sai bhut pyar karti hai or unki tabyat bhut kahrab rahti hai .unhey cancer hai or wo apni beti ka bas ghar basta dekhna chahtey hai.
idhar daya bhi apney or shreya ki bich hui baato ko yaad kata h or sochta ki indono ki story kitni milti hai.
rajesh :bas fir kya tha aapney maan ko mar kar ussey kisi or ka hotey dekha maney. bhut roya tha mai yaar us din par ek chiz notice ki ki nisha us ladkey ko pasand nhi karti hai . wo to jasey mujsey bhi kati kati rahney lagi ye duriya bardash karna bhut muskil hota tha par sochta tha ki aab kar bhi kya saktey hai maney aapna chance kho diya tha aapney hi dar or baivkufi ki wajha fir ek din maney nisha ko phone par baat krtey suna ki wo ladka bhut aaiyash type ka hai or uskey sath bhi bhut batmiji karta hai mai bhut gusha ho gya tha us din or wo sab maney bachari nisha par nikal diya .tab pata chal ki wo to mujhey pasand karti hai or wo waha sai chali gai mai bhut surprised or shocked tha .kafi socha or uskey ghar usey or uskey gharwalo sai baat karney gya waha wo to nahi thi maney sab uskey papa or mammi ko sab bol diya or unhey pura viswas dilaya ki mai bhut pyar karta hu unki beti sai.
daya : or fir
rajesh sad ho jata hai or daya samjhta hai ki nisha kai mom dad nai mana kar diya hoga .
rajesh : nisha ki maa to maan gai thi kyuki unhey bhi wo ladka pasand nahi tha. fir bhut manney key baad nisha key papa ney bhi ha kah di par.
daya : jab dono maan gaye they to tum aasey udas kyu ho .
rajesh : jab nisha ki mom ney usey phone kiya to pta chla ki uska accident ho gya tha wo ladka usey aapney sath kisi party mai lai gya waha us ladkey nai bhut sharab pi li thi or jab wo wapas aa rahey they to unka accident ho gya us ladkey ki moot ho gai thi or nisha bhi bhut naajuk halat mai hospital pahuchi thi bhut muskil sai wo mujhey firsey mili hai daya mujhey to assa lag tha ki mai usey aab kahi humsha kai liye na kho du.
or fir rajesh emotional ho jata hai or roo padta hai.
rajesh : jab usey hosh aaya to aasa laga ki mujhey dusra jivan mila ho maney ussseh bta diya ki mai bhi ussey bhut pyar karta hu or maney sab thik kar diya hai kya aab bhi wo mujhey ek moka degi or usney haa kar di fir kya bass jasey hi usey discharge mila humney aapni family walo kai sath ek chotey sai function mai sagaai ki or ek week mai shaadi. mai to chata tha ki wo pahley thik ho jaye fir sab krey par daddy ji ki tabyat thek nhi thi to sab jaldi karna pada.
par jab wo daya ko dekhta hai or pata ki wo kahi khoya hua hai to samaj jata hai kya baat hai.
rajesh : daya aagar koi hai jisey hum bhut pyar karney lagey or uski khusi sab kuch ban jaye to usey apney dil ki baat kah dani chaye fir uska jawab kuch bhi ho. mai lucky tha ki bhagwan nai ek or moka diya hai par aager moka na miley to bhi banana chey aakhir itna to kar hi saktey hai aapney dil kai liye taki baad mai koi pachtawa na ho.
daya samaj jata hai ki uska dost kya kahna chata hai or fir dono shaadi kai liye chley jatey hai.
flashback ends-
abhijeet daya ko dekhta hai or janey ki kossis karta hai ki aab wo kya chata jaker uskey sath khada ho jata hai.
daya: log mujhey pta nhi kyu bahadur ya ek hero mantey abhijeet. kyuki aaj jo hua uskey baad mai khudko bhut kamjor or ek kaayar mahsus kar raha hu.
abhijeet: nahi daya tum assa kyu bol rahey ho .
daya : assa hi to hai abhijeet logo ko bchata hu unhey bahaduari ki sikh data hu par jab khud ki ladai ladni thi tab kuch nahi kiya. bina ladey hi hatiyar dal diye .or mila kya jissey pyar kiya na usey khusi di na khudko. mai to sab jankar bhi aanjan bna raha bas purani baato ko lga kar rakha dil sai or jo dil mai aana chati thi usey hi dur kar diya or usey to kuch pta bhi nahi kamsai kaam dost to they par maney wo bhi nhi nibha saka ek dost kasa hota abhi dusrey ko sab sach btaney wala uski madta krney wala or mai .
or daya fir sai roo padta hai. abhijeet usey sambhalta hai or kahta hai ki sab thik ho jaye ga.
daya: ha abhi sab thik ho jaye ga maney ab decide kar liya m apni galti sudharna chata hu. mai sab kuch bta duga shreya ko or nahi raha jata aasey fir sab uspar .mai uspar koi davab nhi dalna chata hu, bas aapney dil mai jo kuch hai wo uskey samney rakh duga. wo fir mujhey aapna chahey ya nahi uski marji. mujhey uska har fashla manjur hoga.
abhijeet kuch dar tak kuch nahi kahta .
abhijeet : dekho daya mai humsha tumhara har kadam par sath deta aaya hu or duga. mari koi jarurt ho to ek bar kaah dana aacha chal aab kuch kha liye or fir so ja .
abhijeet kitchen mai jaker undono key liye kuch khaney ko bnaney lagta daya bhi uski madat karney waha jata hai.
daya: abhi wo tumko kya lagta hai ki mai jo ab karney ja raha hu kya thek hoga mera matlab hai ki kahi shreya ko or dukh to nahi pahuchey ga .mai usey koi or taklif nahi dana chata hu.
abhijeet : dekho daya shreya kya sochey gi wo mai nahi janta. par ye jarur kahu ga ki wo tumhari bhut respect karti hai or jo pyar or dard maney dekha tha uski aakho mai jab usey tumsey dur hona pada wo aaj bhi wasa hi hai .maney bhaan mana hai usey or sab janta hu par tab kuch nahi kar saka kyuki halaat merey to kya kisi key bhi bas mai nahi they. par aager fir sai uski kuch help kar saka to jarur karu ga tu jo karna chata hai aasan to nahi hai par namumkin bhi nahi .hum sab tum dono kay sath hai mai bhi nahi chata ki humrey iss privar ko aalag hona padey tu tension maat lo sab thek hoga.
or dinner key baad abhijeet aapney ghr kay liye nikal jata hai.
