Jaan Chapter3
Ananya: Aapne mujhe bataya nahi?
Daya: Kya?
Ananya: Yeh Rajat sir bhi honge is mission mein? Toh mein aap logon pe shak nhi karti! Bewajah mujhe itni takleef uthani padi.
Daya: Tum janti ho Rajat ko?
Ananya: Bohot acche se. Yeh toh mujhe mere bade bhai jaise hai. Bhai jaise nahi mere bhai hi hai.
Abhijit: Bada bhai?
Rajat: Ha sir, meine aapko kaha tha na, sagi nahi magar ek mooh boli pyari si choti behen hai meri. Yahi hai woh, Ananya.
Ananya: Yes. So girls, aap bhi apne baarein mein batao.
Purvi: I'm Purvi and I'm an IPS officer.
Shreya: Shreya,IFS.
Ananya: Ohh! Zagad kyun rahi thi aap?
Rajat: Jane do Ananya, galti ho gayi unse.
Shreya: I'm sorry sir, I didn't...
Rajat: No no, it's okay.
Abhijit: Aap shayad Dr. Tarika hogi?
Tarika: Yes, you are right Mr...
Abhijit: Abhijit aur yeh Daya.
Ananya: And I'm Ananya. Aap sab se milkar bohot accha laga.
At night, all were sitting in balkani.
Abhijit: Toh, aap sab ko pata hai ki, ham yaha kyun aaye hain.
Ananya: Jo pata nahi hai,woh batayenge toh waqt bach jayega sahab.
Abhijit: Daya, kya yaar?
Daya: Ananya, Kya yaar?
Ananya: kya? Kya hua? Saaf saaf batao.
Daya: Maaf kar de Ma, kuch nhi, galati hui.
Ananya: Ha chalo, maaf kar dia, but I'm not your mother.
Shreya: Sir, aap kahiye, warna yeh silsila badhta jayega.
Abhijit: Ha, toh ab koi bich mein nhi bolega.
Ananya: Ha, sab chup baithenge. Koi kuch nhi bolega.
Abhijit: Daya, yaar samaza ise.
Daya: Tum bolo Abhijit.
Rajat: Ananya, yeh mazak ka waqt nahi hai.
Ananya: Sorry bhaiya.
Abhijit: Toh, hamare kuch khabari logone yeh bataya hai ke, is sheher ke forest mein bohot Bada scam chal raha hai, kuch ped paudhe kaat kar bech rhe hai, kuch gaanv ke logonko mara ja raha hai, unki bones se ornaments bana kar desh ke bahar ja rahe hai, aur is sab kaale karnamo mein shamil hai yaha ke kuch politicians, kuch officers, aur kuch purane papi, jinki talash kanoon ko salonse hai.
Tarika: Waah! I'm impressed on your style.
Ananya: What?
Tarika: Matlab, inki explaination style acchi hai.
Ananya: Ha, agar yeh tumhein 12th mein hote toh aap chemistry ka ek chapter option ke liye nahi rakhti.
Tarika: Yeh kisne bataya?
Ananya: dopeher ko doston se baat kar rhi thi tum, tab suna.
Rajat: Kya chal kya raha hai, ham kaam karne aaye hain yaha, aur aap ke gappe ho rahe hai, pehle kaam ki baat kare? Baad ham sab aakar apna apna weak subject tumhein aakar batayenge Ananya. Ab chup raho.
Ananya: Sorry bhaiya.
Daya: Ho gaya Ananya? Dr. Aapka? Ab kaam ki baat kare?
Abhijit: Hame is sab ka pata lagana hai. Jitna aasan dikhta hai, utna hai nahi, kaam bohot savadhani se karna padega, kyunki un gunhegaronko kuch had se jada imaandar officers aur ministers ka support hai.
Ananya: Waah! Kya baat hai, yaha hamare gharwale hame support nhi karte aur in logonko dekho kitni bdi bdi hasthiyan support kar rhi hai.
Rajat (in anger): Ananya..
Purvi: Miss Ananya, please ham is baarein mein baad mein baat kare, pehle sir ka sun lete hain.
Ananya: Ohk ma'am.
Abhijit: Haan, toh mein kaha tha?
Ananya: Yehi the aap
Abhijit: Aur is mission mein ham sab ko mil ke kaam karna hai. Hame un besahara bacchon ko, besahara auraton ka nyay dilana hai,jinke baap, pitaji is insaan naam ke janwaron ke hathon mare gaye. Un Ma ko nyay...
Ananya: Ma! Aap bas kijiye Abhijit babu hame samajh gaya hame kya karna hai.
Shreya: Don't worry sir, hm sab ek hokar kaam karenge.
Rajat: Raat ho gayi hai, chalo sab so jao. Kal baatein karte hai.
Purvi: Ohk sir, good night.
All went in there respective rooms. Only Ananya was standing there.
Purvi: Chalogi nhi Ananya?
Ananya: No ma'am, is waqt mein padhai karti hoon.
Purvi: Ab bhi karogi?
Ananya: Nahi, aaj mood nahi hai padhne ka.
Purvi: Toh chalo sone.
Ananya: Aati hoon mein, aap aage badhiye.
Purvi: Ohk. I'm waiting for you, jaldi aa jana.
Ananya: Ha, aati hoon.
Purvi left. Ananya was looking at the stars. Someone comes there and keep hand on her shoulder.She turn and found Abhijit.
Ananya: Sir aap, mein toh dar hi gayi.
Abhijit: Mujhse kaisa dar tumhe?
Ananya: Bohot khubsurat gana hai, Is Rang Badlti Duniya Mein Insaan Ki Niyat Thik Nahi.
Abhijit: Matlab mujh par bharosa nahi hai tumhe?
Ananya: Kisi par bhi bharosa nahi hai mujhe Mr. Abhijit.
Abhijit: Kya yeh Mr. Abhijit Miss Ananya ko ek sawal puch sakta hai?
Ananya: Sawal zarur puch sakte ho sir aap, par jawab milega ki nhi, yeh us sawal pe depend karta hai.
Abhijit: Tumne kaha ki tumhein tumhare gharwale support nhi karte.
Ananya: Haan,toh?
Abhijit: Kis baat ke liye? Aur kyun?
Ananya: Yeh meri aur mere family ki personal problem hai sir, is sawal ka jawab mein aapko nhi de paungi Sir. I'm sorry.
Abhijit: Tumhari family? Tum, tumhari family, huh.
Ananya: Good night sir, Miss Purvi meri raah dekh rahi hai.
She left and Daya enters.
Daya: Abhijit, Kya baatein kar raha tha uske saath?
Abhijit: Nhi, kuch nhi. Bas yunhi, zada bolti hai woh isliye samaza raha tha.
Daya: Tumhare aankhon mein aansu?
Abhijit: Kabhi kabhi ek chotisi galti hamari zindagi ujaad sakti hai. Tum nhi samaj paoge Daya. Chalo, so jaate hai.
This is the end of the.Thanks for reviewing.Please read and review.
