BANDA YAH BINDASS HAI
Both were standing at same place, one is looking to the other with a victory smile, while the other one was giving a burning look..
Daya (Comes at Abhijeet side while pointing a finger at him with anger): Youuuuu…
Abhijeet: Ahaan.. (Pointing his finger towards Daya's pointed finger) Ungli neecha..
Daya (controlling his anger): tumari itni himmat.. tum.. tum muja yahen roko ga raat bar ka liya aur main rukon ga bhi aur kaam bhi karon ga.. haan.. ? (angry) My foot..
Abhijeet (sitting on his chair relaxly): Cool down Mister Attitude.. warna tumara BP bar jaya ga..
Daya (looks at him confusingly and irritatingly): what..?
Abhijeet: tu aur kye..? itna Attitude aur gusa dikhata ho har waqt.. tu BP bara ga he naa..? wasa (questioning look) Already tuma BP ki problem start tu nai ho gayi kahin..
Daya (warning tone): BP tu bht jald tumara bara ga Senior Inspector Abhijeet.. bht.. bht galat jaga panga laa liya hai tum naa..
Abhijeet (places his both hands behind his neck): UMM hun.. maine nai liya tum sa Panga.. tuma mera Sar dala gaya hai.. (Daya looks at him in shock) warna tumari jasi cheez ka Ass Pass sa bhi koi guzarna nahin chaya ga.. tu main kyun kah mukha apna time waste karon ga tum par..
Daya (giving a shock look): what.. (not believing) what did u say..? Waste.. u mean mera sath hona time zaya karna hai..?
Abhijeet (smiley tone and look): Exactly..
Daya (burning with anger): Tu kis na kaha hai time waste karna ko.. chor do na mera peecha.. jayo jaa kar kud bhi soa aur muja bhi maza karna do apna doston ka sath..
Abhijeet (stood up and added in relax tone): I wish I could.. (taking sigh) chalu ab tumara yah rona dona ho gaya ho tu kam shuru Karen ?
Daya (irritating): shook sa.. Ap kariya apna kaam.. aur meri choriya jaan.. main chala..(and he take a step to move out.. but at the same time his feets stops there while hearing few words)..
Abhijeet (cool tone): ACP Sir ko abi bata don yah Subha bureau ana par inform karon una..? (Daya turns back and looks at him frustratedly) kyun ka gher tu tum jaa nai sakta Party wagera karna ka bad.. (serious and normal tone) kyun ka sir ko yahi batya hai ka tum Raat bar bureau rah kar he kaam karna wala ho.. so I m confused.. Sir ko abi bata don yah subha batyon..tumi dor kar do na meri yah (stress) Duvida..
Daya (Comes back in anger): tuma kye lagta hai main darta hon tumara ACP Sir sa.. haan..? tum darta hoga.. tuma zarorat hogi iss job ki aur pason ki.. muja nahin..
Abhijeet (careless tone): haan bae.. tumara pas tu bht Pasa hai.. (Daya became more frustrated) I know.. huma tu mehnat karna parti hai.. (giving a meaningful look to Daya) kasa kasa kaam karna parta hain..(Saying so he again turns and sat down on another chair while showing a back to Daya)…
Daya : What do u mean by kasa kasa kam..? main (he was abt to say more but cuts his own words as) khere.. choro.. main tumara Jason ka moun nai lagta..
Abhijeet (innocently): kyun..mera moun ko kye hai..?
Daya (making fun): hun.. tumara aur mera status mein bht fark hai.. tum yah do taka ki nokri karna ka liya jeeta ho aur main aik Aazad panchi hoon.. (stress) Aazad.. Aazad zindagii jeena ki kuwaish rakhna wala.. yun ksi ki ghulami nahin hoti mujsa.. tumara jasa..
Abhijeet who can never hear anything against his duty.. now can't bear this.. he stood up in anger..
Abhijeet: Shut up.. (Daya became shocked with this sudden change in Abhijeet's behavior) kab sa tumari badtameezi bardasht kar raha hon tu isska yah matlab nahin ka tum kuch bhi baka jayo.. (pointing finger towards Daya) meri duty ka bara mein aik shabad mat kahna.. maine tuma pehla bhi batya tha ka main apni duty bht sincere ho kar karta hon.. na kuch galat karta hon aur na he galat bardasht karta hoon.. shaid tuma teak sa smaj nahin aya.. (Coming close to Daya and looking into his eyes) Look Mister Daya yah nokari jo tuma Do taka ki lagti haina.. Iss do taka ki nokari ko kar kar ka he tumara Pita ACP Pradyuman na kamaya hai jo bhi kamaya hai.. jis Pasa par tuma itna Naaz aur yah Nakhra haina wo isi do taka ki nokari sa ha.. (Daya was burning with anger) aur jis Ghulami ki tum baat kar raha hona.. usi ghulami ki waja sa yah Sehar, yahen ka log aur tum aur tum jasa hazaron careless log sakoon aur chain ki zindagiyan guzar raha hain.. (giving an angry look) lakien tuma kye pata..yah Job aur iski zimadari kye cheez hai aur iss job sa milna wala Saman.. uski value tum kye janu ga..? janta hota tu ajj apni asi harkaton sa apna Pita ko yun sharminda naa kar raha hota.. Taras ata hai muja una dhak kar.. (Daya was shocked) haan.. itna bara insan.. jis ka naam sa Mumbai ka har criminal kanpta hai.. bara sa bara admi jis insan ki kadar karta hai.. uss insan Pa muja taras ata hai.. jo hazaron criminal ko sudhar chukka.. lakin uski kud ki Aulad uss sa nahi sudhar payi.. najana kitna officer ko aik janbaz officer banya uno na lakien kud ka beta ko Respect word ka meaning nahin ata.. unki nazren jab tumari waja sa DCP, DIG yah hum main sa ksi ka samna bhi jhukti haina.. tu Taras ata hai muja un par.. dukh hota hai.. Suna tha bara bara logon ki Auladen bigri hui hoten hain.. (giving a disgusting look) Ajj dhak bhi liya.. hunn… (Saying so he looks away and tries to control his anger.. when he hear clapping voice which make him shocked.. he turns and looks at his back)…
Daya (Clapping): wah.. wah.. kye lecture diya hai Dashbakhti aur Sanskaron ka…wah bae wah.. maaza he aye gaya (stop clapping and Clearing fake tears) meri ankhon mein tu Ansoo aye gaya.. wah (stress) SIR…wah.. Ap pa tu pora department ko naaz hona chiya.. Bigri hui Aulad.. Taras ana.. wah wah.. wasa itna hi taras ata hai ap ko apna ACP Sir par tu aik kaam kyun nai karta app.. (Abhijeet looks at him confusingly) un sa yah zimadari lana ki bajya.. yah Ehsas dilyen ka wo muja yun zaberdasti CID main, meri marzi ka khilaf na roken.. yah sara Paat mujsa na parwyen.. balka muja meri marzi ki (dreamy tone) zindagii jeena dan.. Aazad fiza.. Aazadi.. kushi. Meri kushi ki parwah Karen.. muja London bej dan jo main chahta hoon… wo apna hisab sa zindagii jeeyan aur main apni.. main bhi kush rahon ga aur una bhi meri waja sa koi pershani nai hogi.. haina..? (chewing tone) Pher app ko bhi (whispering in Abhijeet's ears) un par taras nai aya gaa..(Abhijeet give him a very disgusting look) haina…?
Abhijeet (Same look): Deeth.. bht Deeth ho tum.. Zara bhi Asar nahin na hota tum par ksi bhi baat ka.. ? (Daya maded an innocent face and nodded as no, which was rising Abhijeet's anger bar more) tu teak hai pher kud jaa kar kaho na yah sab un sa.. meri maded ki kye zarorat hai tuma.. (chewing tone) wasa bhi as u say.. muja tu dar lagta hai un sa aur tum tu darta nahin..? bilkul bhi nahin.. haina..?
Daya (again in anger): wasa asar tu tum par bhi ksi baat ka nahin hota.. (moving back on his seat) mujsa nai banti yah file wile.. tum jo bhi karna hai kar lo..
Abhijeet (in relax mood taking his accessories): teak hai.. (looks at him) tuma jo karna hai wo karo…muja jo karna hai so tu main karon ga he.. subha ACP sir ko jawab kud he da dana.. (Daya again at same place from where started, he feels more frustrated) Enjoy the night .. main chalta hoon.. bye..
Saying so he left the bureau… here Daya's phone starts ringing at the same time.. he checks the phone with really irritated mood.. and found his father call..
Daya (holds his head irrelatively): hey bagwaan.. kahan pansa hoon yah main.. Aik sa jaan chute nai ka dosra ki call aye gayi.. (his phone was continually buzzing, he looks the phone again) iss phone call ko attend kar ka Dhamkiyan sunana sa tu Acha hai Daya beta.. ka tun wo kar la jo in Dhamkiyon ko sunana ka bad karna hai tuja..
he looks towards the door and went outside with fast steps..Found Abhijeet moving at Parking Area..he tries to stop him.
Daya: hey Suno..? (But Abhijeet does not stops there) main tum sa baat kar raha hoon.. baat suno.. (Still Abhijeet moving on his way) hey bagwaan.. ab jan boj kar yah bahv khaya ga.. (loud) Abhijeet..? (Abhijeet was abt to open the car, finally Daya gave up and call as) Sir.. ? (Abhijeet feets stops there, but still does not turns back to him.. Daya really understood all this. But right now controlling himself with the murmur as) kar laa beta kar laa.. abi teri bari hai.. bad mein game meri aurh palta ka zaror.. (again to Abhijeet) Suniya naa Sir..
Abhijeet (looks at him with): Kuch kaha kye tum na.. mujsa ?
Daya (chewing tone): jee jee.. SIR.. wo.. wo.. main kah rah.. raha tha k.. wo .. file..
Abhijeet (really taking advantage of all this): Kye File..?
Daya (turning serious): dhako ab tum zyada bhauv mat khayo.. mujsa yah natak watak nahin hota.. (folding his both hands and looking away and added in careless tone) teak hai. Main file banana ko tyar hoon..
Abhijeet (murmur): lagta hai Pita shree ki call aye gayi..
Daya (looks at him): kaha kuch tum na mujsa..?
Abhijeet (nodded as no): nai.. nai.. bolo kye kahna hai tuma. (serious) kaho.. Mera pas zyada time nai hai.
Daya: look.. main.. main file bnana ko tyar hoon.. infect muja jaldi sa file bana kar jana hai yahen sa. I know iss bina meri jaan nai chotna wali.. i.. i.. need.. need ur .. (Gulping words) help..
Abhijeet: kye.. kye kaha tum na?
Daya (bearing anger): Ufff… (looking at Abhijeet and turning sweet) Help..
Abhijeet (smile): tuma.. ? (surprising tone unintentionally) help ki zarorat hai..shaan nai ghat jaya gi App ki help lata hoa hum Do taka ka ghulamon sa..
Daya: dhako.. ab tum yun fayada mat utthayo.. tuma.. tuma meri help karna he para gi..
Abhijeet: kyun..? Majbor hon kye main tumari help karna ka liya.. ? shaid tum bhol gaya ho tu main yaad kara don tuma ka tuma mera under kaam karna ko kaha gaya hai.. muja tumara under kam karna ka liya nahin..
Daya (smiley face and gesture): Exactly.. muja App ka under kam karna ka liya kaha gaya hai MahaRaj.. (Abhijeet making face with this Mugliya term) issi liya app ko sikhana para ga na muja kaam karna.. Ab ACP sir ko tu app bol chukka hain already ka muja File banana nahin ata. Ab ager apki gaudiness ka bagar main kam karon ga tu pher sa woi kaam karon ga jo pehla kiya hai.. Ab jab tak app meri mistakes correct nahin karayen ga tu yah Shishak kasa seekha ga.. (Innocently) aur ager nahin seekon ga aur subha Pher sa wasa ki wasi file ACP Sir ka samna jaya gi tu pher Shishya ka Adhikari kaa naam tu aya ga hi.. aur pher jab ACP Sir ap sa Sawal Karen ga tu Muja ap par utthta Sawal Acha nahin lagen ga.. (So innocently) ab app soch lijiya ka app ko kye jawab dana hai ACP sir ko.. jana hai tu jayia.. (and he turns to move back with a smile on his face) Ager main nahin jaa payon ga Gher tu App ko kasa jana da sakta hoon SIRRRRR… (and he went inside the bureau)..
Abhijeet (making face with Furstration): ab yah kye naya tamasha hai.. ab main isay file banana sikayoon.. (making face) main kyun.. yah meri he game mujh par khel raha hai.. (his phone starts ringing, he checks the call) ACP sir.. (he attends the call with confusion) Yes Sir,,
ACP: haan Abhijeet kasa chal raha hai tumara kaam..? Daya phone nahin attend kar raha.. tu socha tuma call kar lon.. Sab teak haina wahen? Kaam kar raha haina wo.. I know ka tum apna faraz mein khotahi nahi karo ga.. but I hope ka wo bhi kuch seekha tum sa..
Abhijeet (really want to say something but then stops): jee.. jee Sir.. sab.. sab teak hai.. Daya.. kaam kar raha hai Sir..
ACP (surprise tone): Really..? kamal hai.. well.. muja tum sa yahi umeed thi.. (Serious tone) aik baat humesha yaad rakhna Abhijeet.. muja tumsa bht sari umeedan hain.. bht sari..
Abhijeet (really in difficult situation) : jee.. jee Sir..
ACP: okay.. tu main rakhta hoon.. Good Night…
Abhijeet: Good Night Sir.. (and line got cut, while Abhijeet starts looking at the phone) Naa kyun nai kar paya main Sir ko.. na tab aur naa hi ab.. (looking at bureau) Sir kitni umeed lagaya betha hain mujsa.. una asa kasa.. asa kasa unki umeed tor doon.. (and while controlling over his feeling he moves back at the bureau)…
Abhijeet enters inside the bureau, where he found Daya sitting on the chair and singing a song…
BHAWARA HAI BHAWARA HAI YA LO BHI HAI HOSIYAR HAI
DO DO MAKOTA ISSKA DO DHARI TALWAR HAI
BANDA YAH BINDAS HAI.. BANDA YAH BINDAS HAI..
BANDA YAH BINDAS HAI..
Daya (Seeing Abhijeet standing in front of him, he starts singing wearing smile on his face by rising his collar) BANDA YAH BINDAS HAI… and he winks at Abhijeet…
Abhijeet: Sahi Gaa raha ho.. gana suit karta hai tum Par kafi..
Daya (stands up): Oh. tu Tum manta ho ka (Pointing to himself) banda bindass hai..?
Abhijeet: nahin.. (turning towards his desk and taking file in his hands) Do Do Makota isska Do (looking at Daya) Do Dhari Talwar Hai…
Daya (making face): matlab..?
Abhijeet: matlab wasa banda Bindass hai aur jab matlab bara tu (stress) Beegi Bili…
Daya (folding his hands): aur apna bara mein ap kye kahna pasand Karen ga.. kye naam danga kud ko? Shair Shah Suri ..? jisa Akhbar badshah ki call ayi aur wo baga chala aya..?
Abhijeet: Main sirf unki respect karta hon iss liya unka liya aye gaya.. tumara liya nai aya hoon mein.. (giving him file) ab tum apni mistake sudharna start karo bina ksi aur notanki ka tu acha hoga.. kyun ka bina isska naa tumari jaan chota gi aur naa hi meri.. (and he himself moves towards at corner room)
Daya: aur tum kahan chala? (Abhijeet gave him a look) I mean.. SIR
Abhijeet: Coffee banana.. mera sar mein kafi dard hai.. aur iss pora din ki baga dori mein maine kuch khaya peeya nai..
Daya (hearing this asked sweetly): muja bhi mila gi..?
Abhijeet gave him a look..and then enters inside the room…
Daya: dhak kar tu asa gaya hai jasa Zehar hi daga.. (Opening file) lo beta kar wo jo kabhi kiya nahin… (he was feeling sleepy now) kahan sona ka samay hai.. (correcting himself) khere. samay tu Party ka hai.. Par itni subha jago ga tu nened he aya gi na iss samay.. chal beta zid chor aur bana laa file.. aur jaa ka soa jaa…
Abhijeet (coming back with): exactly.. (giving him coffee mug) apna samay bhi barbad mat karo aur mera bhi.. tuma tu koi fark nahin parta.. par meri Dii mera gher par intazar kar rahi hai.. tumari waja sa mujha bhi yahen par rukna par raha hai..
Daya (Surprising): oh tu aik behan bhi hai apki..
Abhijeet (taking sip): hmm.. Sagi nahin.. Mosi ki beti hai.. par unki maa bechpan main he guzar gayi thi.. tu meri maa na he una pala aur pher shadi kar ka diya.. Wasa tu Puna rahti hain par jab kabhi unka Pati tour par jata hai tu wo meri fikar sa aye jati hain mera pas kuch dino ka liya.. ab wo kal chali jaya gi aur main abi tak yahen tumara sath pansa hua hoon.. Aik he rishta hai aur usay bhi Samay nai daa paa raha mein ..Par tuma yah sab batana ka kye fayada.. tum pa tu koi asar hona nahin wala..
Daya (making face): haan haan malom hai.. tuma rishton ki kitni importance hai.. aik kaam kyun nai karta tum.. (looking at Abhijeet with sleepy eyes) tum meri jaga la lo.. (dreamy tone) kitna lucky ho tum.. tumara koi bhi nahin.. (Abhijeet looks at him surprisingly and shockingly) kitna Aazad zindagii jeeta ho tum.. total bindass.. naa koi rokna wala aur naa koi tokna wala.. Mata Pita kuch tu chor gaya hon ga tumara liya.. Sab tumara.. what a life man.. (making sad face) aur aik main hon.. jiski zindagii mein masla he masla hain.. jis par sab hakim hain.. aur wo kud bechara.. (making very innocent face) kud bht bechara.. Par ksi ko koi Ehsaas bhi nai..
Abhijeet (smiles sadly): jab sab hota hai tu Ehsaas nahin hota.. aur jab nahin tab pata chalta hai zindagi aur rishton ki ahmiyat ka. tab andaza hota hai…
Daya (looks at him): lecture ho gaya ho Pora tu kaam shuru Karen..?
Abhijeet (looks at him irritatingly): Mujha tuma lecture dana ka koi shok nahin.. kyun ka tumara tu Sar ka kafi uper sa guzar jayen gi yah sab baten.. aur muja apna gyaan zaaya karna ka koi shok nahin..wo bhi (pointing finger towards him) khass kar ka tum jasa logon par…
Daya (folding both hands in front of him with sleepy eyes): Dhana ho app MahaRaj.. Dhana ho.. (and he looks at his file, and starts changing the pages.. while unknowingly a smile crept over Abhijeet's face.. Daya again looks at him) ab thora karum kar dijiya iss par bhi..
Abhijeet : Open the file.. yah jo first page par likha hai.. wasa wasa sara pages organize karo first.. jo sab tum na barbad kiya hai..
Daya starts doing it quietly.. bcz now he was irritated with this situation and want to end up all this urgently.. While Abhijeet was looking at him with surprise look while taking coffee sips slolwly..
Daya (while doing his work): wasa yah..file banata kyun hain.. jab case solve ho gaya.. tu ho gaya..
Abhijeet (murmur) : lo pher shuru ho gaya.. (strict tone) kaam karo..
Daya : Arrey aik sawal hi tu Pocha hai.. ab shishaya ka itna adhikar tu banta he haina..
Abhijeet (patting on his head): iss liya ta ka bad mein zarorat para tu malom ho ka kab kye hua.. ab sara cases yaad tu nai naa rahta..
Daya: kyun..? (Smiles while seeing Abhijeet irritated face) I mean.. CID wala tu bht intelligent hota hain tu una yaad rahna chiya naa..
Abhijeet (making irritated face): kaam karo ga abi… yah main jayon..
Daya (laughs): okay.. okay..( Abhijeet glares at him, while Daya controls his laugh by making face) fine..
And by asking so many questions and annoying Abhijeet by so many things he completed the file.. and half of the night spend like this..
Abhijeet: hmm.. ho gayi complete..
Daya (gives him surprise look): Sach mein..? muja yaqeen nai ho raha.
Abhijeet (trying to believe): muja bhi.. (stand up) ab aik kam karo.. clean file bana lo ab
Daya (stood up in shock): what..?
Abhijeet (looks at him): haan.. ab iss file par tu tumari sabi mistakes mark ki hui hain.. isay thori he na submit kar sakta hain.. (observing Daya's shock face) wasa bhi Pehla Sabaq always yaad rahna chiya.. haina..? ab main chalta hon.. bye..
Daya (Seeing him going, he instantly rushes behind him): hey.. kahan jaa raha ho..main. aik aur bar karna nai wala hon ab.
Abhijeet (collecting his accessories): ab tak kud sa kiya hi kye hai tum na.. sirf mera sar khaya hai.. sab tu maine he kiya..
Daya (moving behind him): tu Dhaka Smjha tu maine he haina.. dhako ab tum yah bht galat kar raha ho.
Abhijeet Stops and turns to Daya.. Daya was almost collide with him.. but stops there at the right moment...
Daya: Sorry.. look.. muja ab aik aur bar file nai banana..
Abhijeet (turning serious): dhako.. mera sar khana sa kuch nai hoga.. karna tu para ga.. ab jayo aur kam pa lago.. main subha aye kar tumari file check kar longa.. Pala he yah sab kiya hota tu ab na yah sab karna parta.
And he left leaving Daya there with same shocking state of mind and heart.. he moves and sat down on his chair..
Daya: hey bagwaan yah kis baat ki saza daa raha hai muja.. I can't take it anymore.. no.. just no..
he looks at the computer screen and something strikes on his mind..
Daya (Continues): Music.. yes.. music tu sun he sakta hoon.. (and starts playing music in loud volume while on the other hand starts making the file with really irritated face too)...
At Early Morning, Abhijeet came first in the bureau and became socked to see the new scene Present inside the bureau. Loud music was playing and Daya was sleeping on his desk.. his head was lying over open file.. while his mouth was little open and snoring voices coming out.. A smile appears on Abhijeet's face and he takes out his mobile and starts making a movie clip by different angles first with background music and then after putting off the music too..
AUTHOR'S NOTE:
I GUESS kafi Paka diya maine sab ko.. abi bas kar doon.. hehehe.. Thanks for the Reviews guys.. luv u all.. don't forget to review.. bye..
