Hi guys thanks for the reviews..
NEXT MORNING
Purvi aur Shonali kisi kam se bahar jaa rahe they...
Tabhi wahan Durga aayi
Durga: Arey! Purvi Shonali , Kothaye jaati?(Kahan jaa rahi ho )
Shonali: Kahin nahi bas ... Maa ne bola hai ki aas pados ke ghar me puja ka bhog baat ke aa jaye bas wahi jaa rahe hain
Durga : Arey , mujhe bhi wahi kaam karna hai aao chalo
Shonali : Haan haan chaliye
Yahan dusri taraf
In Sachin's room
Dono Sachin aur Kavin eksaath baithe they...
Sunanda ji : Sachin
Sachin: Hein Maa...Ki Holo ?
Sunanda ji : Beta tu meri baat to sun
Sachin: Bolo to maa kya hua?
Sunanada : Ab tu bada ho gaya hai... kaam bhi karne laga hai...acchi tankha bhi hai aur acchi post par bhi hai...
Sachin: Baat ko ghuma kyu rahi ho Maa seedhe se bolo na
Sunandaji: Tu shadi kar le beta
Sachin: Thik hai na maa tum ladki dhundho tab tak main ye sochta hun ki mujhe shadi karni chaiye ya nahi
Sunandaji: Ladki to hai meri nazar mein tu haan to kar shaadi ke liye
Sachin: Accha... Main bhi to janu zara kaun hai wo bechari , badnaseeb
Sunanda ji: Shonali !
Kavin paani pee raha tha... Shonali ka naam sunke achanak wo khaans pada
Sunandaji: Tum thik to ho na beta ?
Kavin: Haan Auntie main thik hun
Sachin: Kya?...Maa ..ek minute nazdik aana ...
Sunanda ji paas aati hai
Sachin unke maathe par haath rakhta hai
Sachin: Maa tabyat to ekdam thik hai tumhari
Sunandaji : Tabyat ko kya hoga meri haan aur waise bhi...kya kami hai Shonali mein...bhali ladki lagti hai mujhe toh ek nazar mein bhaa gayi mujhe
Sachin: Wo to thik hai Maa par phir bhi Maa par wo ladki nahi hai Maa... Dayan hai Maa Dayan
Sunandaji: Dayan kahan se ho gayi bechari bhali ladki...mujhe to uska swabhaav bada pasand aaya ... Warna ek nazar mein mujhe koi ladki nahi pasand aati... Ab Purvi ko hi dekh le kitne saalon se hum jaante hain un logon ko par phir bhi mujhe uski aur teri jodi atpati lagti hai
Sachin: Accha hai maa ki tumne Purvi ka naam nahi liya warna meri hasi nahi rukti aur hum dono ke bich me pyaar kam jhagda zyada hota aur jahan tak Shonali ki baat hai Maa... main usey ek dost...sakhi ki tarha dekhta hun...main usey patni swarup kabhi sweekar nahi kar paunga...Kavin tu chup kyun baitha hai...tu samjha na kuch maa ko
Kavin: Ab bhala main kya bol sakta hun
Here near a house
Purvi aur Durga ek Ghar ke saamne they Purvi us ghar mein prasad dene hi jaa rahi thi
Durga: Ruko Purvi!Purvi Wahan mat jaana wahan jaana mana hai...
Purvi: Lekin Kyun bhabhi?
Durga: Kyunki kaha jaata hai wahan Aatmaon ka waas hai...
Purvi: Kya ...Aatmayen?
Durga: Haan aao puri kahani sunati hun...
wo usey puri kahani sunati hai ...
Purvi ,Shonali Durga ghar pahonchti hain...
Sachin aur Kavin wahan se nikal rahe they
Purvi us kahani ke baare mein sochte hue bina dekhe chali aa rahi thi Garden mein pani dal raha tha pipe se ke tabhi pipe se kuch pani leak hone laga aur achanak uspar se Purvi ka pair phisla ...tabhi Sachin ne usey thaam liya...
Wo uski bahon mein jaa kar giri...
(At the moment)
Sachin Purvi ekdusre ki aankhon mein khoye they...
KHAMOSHIYAN GUNGUNANE LAGI...
.TANHAIYIAN MUSKURANE LAGI...
Purvi hosh mein aati hai, uthiti hai
Sachin: Aaeta tumi ki korcho ? Dekhe chola korbe...ikhone pore jetum ...(Ye tum kya kar rahi thi Dekh ke chala karo Abhi gir jaati)
Purvi: Mera dhayn nahi tha
Sachin: Kya matlab hai dhyan nahi tha ...Dhyan rehta kahan hai tera aajkal
Purvi bina kuch bole wahan se chali jaati hai
Sachin ko uska behaviour kuch atpata sa lagta hai wo uske peechey jaata hai
Sachin: Purvi!...
Purvi: Haan!...
Sachin: Kya hua? kisine kuch kaha tumse?
Purvi : Nahi to...aisa kyun laga tumhe?
Sachin: Kya baat hai... bata... tu mujhse jhoot nahi bol sakti...
Purvi: Wo darasal aaj ...hum prasad baantne jaa rahe they ek ghar hai yahan paas mein jab main jaa rahi thi to Durga bhabhi ne mujhe wahan jaane se mana kar diya ...kaha ki wahan aatmayen basti hain...unhone kaha ki...
Yahan dusri taraf...
Kavin : Haath kaisa hai ab tumhara
Shonali: Thik hai
Kavin : Kya baat hai ab to tujhe Shonali nahi bhabhi bulana padega
Shonali: Bhabhi...Kis khushi mein?
Kavin : Tujhe nahi pata ?
Shonali: Naa!
Kavin: Kamaal hai... Tere aur Sachin ke rishtey ki baat chal rahi hai ye baat tujhe nahi pata?
Shonali: Kya? Kya bakwas karte ho? mera aur Sachin ka rishta ...kisne bola tumse ye sab?
Kavin : Sachin ki mom tumhare rishtey ki pehel kar rahi hai...
Shonali: Kya ...tum sach keh rahe ho na
Kavin : Jhoot bolkar mujhe kya fayda yaar?
Shonali: Main aur Sachin ... Hey ...maa aisa soch bhi kaise sakte hain wo
On the Other side
Purvi : Unhone kaha us jagah par do pyar karne wale rehte they Sachin : Toh is me itna sochne wali kya baat hai Purvi : Unhone ye bhi kaha ki us premi jode ko bahot buri tarah se maar kar ke alag kiya tha
Aarshima aur Shubhroto naam ka ek premi joda rehta tha yahan karib azaadi ki ladai ke waqt aaj se 65 -70 saal pehle Aur ye bhi kehte hain ki bahot hi rehsyamai tarike se maut hui thi Shayad kisi apne ne maara tha unhe Aur bahot dukhdayi bhi Us samay Aarshima garbh se bhi thiUsne marte marte apne kaatilon ko shraap diya tha ki unka ajanma baccha uskiMaut ka karan bankar aayega Aur kehte hain tab se hi Aarshima aur Shubhroto ki aatmayen bhatak rahi hain
Sachin (haste hue ) : Kahani acchi hai yahan ke logon ne apne manoranjan ke liye banai hogi
Purvi : Dekha Isliye tumhe bata nahi rahi thi
Sachin : Arey ye sab bekar ki baaten chodo ye sab kuch nahi hota And waise bhi ye sab apne dimag se nikaal de hume nikalna hai yahan se shaam mein
NEXT DAY
Sab Mumbai wapas aa jate hain
Shonali ab bhi Sachin ke aur Sunanda ji ke discussion par soch soch ke pareshan thi
Purvi us samay piano play kar rahi thi
Tabhi wahan Kavin aata hai
Purvi ki piano ki dhun usey suni hui si lag rahi par na To usne ye dhun pehle suni thi na hi wo jaanta tha
Kavin : Ye dhun tumhe kisne sikhai Purvi I mean kahan suni
Purvi muskurate hue boli
Purvi : Dhun kahin se nahi sikhi aur naahi suni hai Bas shuru se hi aati hai
Kavin : Chal we are getting late
IN THE OFFICE
Purvi ab bhi wahi gaana gungunaye jaa rahi thi
Sachin ko laga usne bhi ye gaana kahi suna hai
Phir bhi usne sochke ke suna hoga shayad ignore kar diya
After some time
Purvi Sachin ke desk par kuch files lene gayi hui thi
Sachin (bina dekhe hi ) : Aaja wahan hai le le
Usey laga ki Shonali thi wahan
Purvi files dekh hi rahi thi ke achanak Sachin ki nazar uspe padi
Usne uske hath se file kheench li
Sachin : Tu tu yahan kya kar rahi hai yahan pe
Purvi : Main ye files
Sachin : Shonali aane waali thi na
Purvi : Main aa gayi to kya hua ...matlab to files
Sachin : Aaenda se tu meri files ko hath lagane se Pehle mujhe batayegi
Purvi : Arey lekinn...
Sachin : Main file bhej dunga tu jaa yahan se...
Purvi : Par...
Sachin : Kaha hai na jaa yahan se
Purvi (in mind) : Aisa kya tha us file mein ki main dekh nahi sakti ab to main dekhkar rahungi
Thodi der baad
Sachin apna desk chodke kahin jaata hai
Purvi uske desk par jati hai
Uski files dekhne lagti hai tab dubara se Sachin usey dekh leta hai
Sachin phir uske haath se file cheen leta hai
Aur uski baahen itne kaske pakadta hai
Sachin : Mana kiya tha na maine meri chizo pe tera adhikaar nahi hai phir kyun chooti hai unhe
Gusse mein wo uska haath itne jor se chodta hai ki wo gir jaati hai Aur use chot lag jaati hai
Tabhi wahan Shonali aati hai aur Sachin ko is gusse mein jate dekh ke aur Purvi ko is halat mein dekh ke samjh jati hai ki kya hua hoga
Wo Purvi ke paas jati hai
Shonali usey sambhalti hai Purvi ki aankhen nam thi Shonali usey first aid lagati hai
Shonali : Ye tune kya kiya haan jaanti hai na ki Sachin ka gussa aape ke bahar ho jata hai fir uski chizon ko haath kyu lagati hai?
Purvi : par itni si baat ke liye usne mere sath ...
Shonali : Uska gussa aisa hi hai tu tension mat le thodi der baad khud maafi maangega
Thodi der baad wo Sachin ke pas jaati hai
Mar 5PART3 (B)
Shonali : Ye tune kya kiya gira diya Purvi ko aur itna gussa karne ki kya zaruat thi wo thodi sach janti hai
Sachin : Na jaane ye hi accha hoga uske liye
Shonali : To iska matlab tu usey girayega
Sachin : Main usey girana nahi chahta tha aur hurt bhi nahi karna chahta tha par...
Shonali : Sorry bol usey
Sachin: Sorry?
Shonali : Haan jaa ...abhi ke abhi sorry bol maafi maang
Sachin : Thik hai bol dunga
Shonali : abhi bol
Sachin ( hath jodke ) : Arey meri maa jab bolna hoga bol dunga tu jaa yahan se . .please ...kahin gussa tujhpe bhi na utar jaye
In the night
At Kavin's house
Kavin bhi wahi gaana gunguna raha tha jo Purvi se usne suna tha
Sachin : Bhai kaunsi film ka gana hai Purvi bhi gunguna rahi thi subah
Kavin : Pata nahi yar gaana suna hua sa lagta hai Aise lagta hai jaise purana nata ho is se
Purvi yahan gaana gunguna rahi thi
Shonali: Kisi nayi movie ka gaana hsi kya? Suna suna sa lagta hai
Purvi : Nahi to ...bada apna sa lagta hai pata nahi kyun
Shonali: Purvi Sachin ki baat ka bura mat maanana tujhe to pata hai na uska gussa kaisa hai, lekin dekhna jaise hi uska gussa shaant hoga wo turant aa jayega
Purvi: Hmm main jaanti hun uska swabhaav
IN THE NIGHT Purvi ki neend nahi aa rahi thi isliyePurvi bahar balcony mein thi Palatke jaa hi rahi thi tabhi usey ehsaas hua ki koi uska peechey se muh band kar raha hai
Wo palatke dekhti hai Sachin tha
Sachin: Shhh... Dar mat main hun
Purvi ishare se kehti hai ki uska muh pe se haath hataye
Purvi : Tum pagal ho kya ek number ke namune ho namune aur yahan kya kar rahe ho itni raat mein
Sachin: wo main tujhse milne , I mean sorry bolne aaya tha
Purvi : Itni raat mein? Ye kaunsa time hai sorry bolne ka, Aur ye kaunsa tarika hai?
Sachin: Dekh agar main seedhi tarah se aata to aas pass wale shayad jaag jaate aur tum dono ladkio pe shaq karte isliye aur phir main tujhpe bewajah chillaya to mujhe neend hi nahi aa rahi thiI am Sorry Purvi Tum mujhe maaf kar do
Purvi: Dekho Sachin ye sahi samay nahi hai hum kal baat karenge
Sachin: Dekho Purvi jab tak tum mujhe maaf nahi kar deti main yahan se jaane nahi waaladekho kaan pakadke sorry
Purvi: Accha thik hai maine tumhe maaf kiya
Sachin: Pakka
Purvi : Haan bhayi pakka jao yahan se
Tabhi wahan pe Shonali aati hai
Lights on karti hai
Shonali: Sachin ... tum , tum yahan kya kar rahe ho haan?
Wo balcony ke paas aati hai
Shonali : Aur ye kya tum pipe par chadke aaye ho haan... Irade thik nahi lagte mujhe tumhare...
Sachin: O hello madam Main bahot hi shareef ladka hunmain yahan pe Purvi se maafi maangne aaya tha ab usne mujhe maaf kar diya main jaa hi raha tha
Shonali : Maafi maangne aaye they, Ye kaunsa samay hai shareef ghar ke ladke ka maafi maangne ka aur kaunsa shareef ladka maafi mangne ke liye pipe par chadke aate hain
Sachin: Dekh Shonali bakwas band kar tu bhi jaanti hai main aisa waisa nahi hun main jaa raha hun
Shonali : O hero haath pair tudwane hain haan darwaze se jao Main tujhe chupakar bhejungi jaa
NEXT DAY
In the OFFICE
Purvi ko phir phone aata hai Jise sunke wo ghabra jaati hai
Shonali : Kya hua Purvi bol kya hua ghabra kyu gayi?
Purvi: Shonali, Maa ko heart attack aaya hai Shonali
Baba kehte hain main foren wahan chali aaun
Shonali : To thik hai tu wahan jaaInfact main bhi tere saath wahan chalungi
Sachin: Sirf Shonali hi nahi main bhi tere saath chalunga
Kavin : Hum sab tere saath chalenge
AFTER SOME TIME
They reach Kolkata
IN Purvi's home
Purvi aati hai
Robindranath ji : accha tu aa gayi bete
Purvi : Baba! Maa Kothaye? (Maa kahan hain)
Robindranath ji : Teri maa andar hai tabse bas ek hi baat bol rahi hai...Purvi ko bula do Purvi ko bula do
Sab andar jaate hainSumitra ji leti hui thi
Purvi: Maa... (itna kehke rote rote Sumitra ji ko gale laga leti hai)
Sumitra ji: Purvi tu aa gayi bete
Purvi: Ye tumne kya haalat bana li maa dekha na maa main tumhara khyal nahi rakhti to tumhari tabyat bigad gayi
Kavin: Kaki maa,kemom aacho Kaki maa
Sumitra ji: Kavin beta tu bhi aaya hai
Purvii: Dekho tum zyada mat bolo aaram karo na maaSumitra: Nahi beta aaj mujhe bolne de, ho sakta hai kal ko main bol hi na paunPurvi: Ki bolbo maa! Aisa mat kaho Sumitra ji: Kavin aaj teri kaaki maa tujhse kuch maangegi Tu dega na mujhe Kavin: Haan Kaaki maa boliye naa kya baat hai boliye? Sumitra ji: Purvi tu bhi bol aaj jo main tum dono se main maangun tum mujhe doge Purvi: Aap Jaan maang lo maa , Main mana nahi karungi Sumitra ji: To phir mujhse wada karo tum dono mere jeetey jee ekdusre se shaadi karoge
Purvi aur Kavin ye sunke asmanjas ki sthiti main pahonch jaate hain
Sumitra ji : Vaada karo bete
Purvi: Thik aache kaaki maa hum waada karte hain 2 hafte ke bheetar hum dono ek dusre se shaadi kar lenge Sumitra ji: Purvi Purvi: haan maa jaisa Kavin kehta hai hum waisa hi karenge
Nurse: Dekhiye aap log bahar jaiye inhe aaram ki zarurat hai
Sab kamre ke bahar jaate hain
Kavin aur Purvi ke kiye waade se naa to wo khud khush they na hi Sachin aur Shonali
Wo alag alag jaate hain
Yahan Kavin bhi apne ghar aata haiMadhula ji (Kavin's mother) ko saari baaten batata hai Sachin bhi uske sath uske ghar pe tha
Madhula ji (To Kavin): Dekh beta ek tarah se thik hi hai tu aur Purvi bachpan ke dost hain tum dono ek dusre se shaadi kar lo yahi accha hai, mai to tere baba se aaj hi baat karti hun
Unke jaane ke baad
Kavin: Maa ne jo kuch kaha, aur aaj jo kuch hua mujhe samajh nahi aa raha Kavin maine thik kiya ya nahi
Sachin: Teri zindagi hai, Aur ye faisla teri zindagi se juda hai ...main to yahi kahunga ki jo kuch hua thik hi tha
Yahan dusri ore
Purvi: Mujhe maaf kar de Shonali majburi mein mujhe Kavin ki haan mein haan milana pada
Shonali: Maafi kisliye maang rahi hai Purvi, teri zindagi hai aur ye tera faisla hai ...aur ye jo kuch tune kiya wo thik hi to hai teri jagah main hoti to main bhi yahi karti jo aaj tune kiya par kahin is se Sachin ko chot to nahi pahonchegi
Purvi: Nahi Shonali, usey kya hoga usey kyun chot pahonchegi tu fikar mat kar
IN THE EVENING
Sachin ne aaj socha tha ki wo Crime Branch chhodke Kolkata mein apne Baba ka business sambhalega yahi baat usne apni maa se kahi thi
Sachin ke baba Mr Devnath Thakur haweli aate hain...Pehli baar wo itne saalon mein Sachin se milne jaate hain
Devnath ji : Well done Sachin... zindagi mein pehli baar tumne wapas ghar lautke accha faisla liya hai...Welcome to the Thakur family
Sachin wahan se jaane lagta hai
Devnath: Meri baat khatam nahi hui hai Sachin
Sachin: Aapki baaten sunne layak nahi hain baba
Devnath : Dushman nahi hun tumhara, baap hun tumhara baap
Sachin: Khush kyun nahi honge aapAapko to isme apne business ka fayda nazar aata hai, beta khush hai ya nahi is se aapko kya
Devnath: Shut up Sachin ye faisla mera nahi hai tumhara hai, Aur waise bhi apne Baba ke saath rahoge toh bahot kuchh sikhoge... Kaash ye faisla tumne pehle liya hota
Sachin: Agar aisi baat hai to main apna faisla badalna chaahta hun...main Crime Branch nahi chhodunga is tarah ki aapse aur behes nahi karna chaahta Mr Thakur accha yahi hoga ya to main chala jaun ya aap yahan se chale jaye
Devnath uski baat sunke usey thappad maarne wala hota hai ki tabhi Sunanda wahan aa jati hai
Sunanda ji: Ye kya kar rahe hain aap jawan bete par haath uthayenge
Devnath: Sunanda tumhara ye beta tumhare laad pyaar ki wajah se zaruat se zyada badtameez ho chuka hai Samjha do apne bete ko mujhse unchi aawaz mein baat naa kare
Sachin: Maa main
Sunanda ji: Tu jaa bete neechey Kavin nichey tera intezar kar raha hai jaa
Sachin wahan se chala jaata hai
Yahan Jaise hi Sachin neechey jaata hai dekhta hai Purvi wahan thi .Kavin ek call attend karne bahar gaya tha
Sachin Purvi se takra jata hai
Purvi : Sorry vo mujhe Kavin se kuch baat karne aayi thi tum saamne se aaye maine dekha nahi
Mar 5PART3(C)
Sachin : Arey tum itne explanation kyun de rahi ho tum uski hone wali patni ho tum us se kabhi bhi mil sakti ho
Purvi: Dekho Sachin mujhe tumse bhi baat karni thi
Sachin: Mujhse...mujhse kya baat karni hai aur ab tum mujhse kyun baat karogi Kavin se baat karne aayi ho usise baat karo
Tabhi wo Kavin ko andar aate dekhta hai
Sachin: Lo aa gya Kavin
Kavin: Kya hua?
Sachin: Kuch nahi ye Purvi sorry sorryBhabhi tumse baat karne aayi thi
What the hell am I doing here mujhe chalna chaiye, kabab mein haddi nahi banna chaiye right Main chalta hun right
Itna kehke wo wahan se chala jaata hai
Oh God ye kya ho gaya aab sochte raho ki unn chaaro ka kya hoga till then tata...
