Main tutke bikhar jau

milne na ana.

Main jab akhri sanse bharu

milne na ana.

Jab dafnaya jau mitti mein

milne na ana.

Jo ruh banke bhatak jau

milne na ana.

.

Dhunne na ana waha

jaha ham pehli baar miley the.

Na ana waha

jaha pehla izhar kiye the.

Waha bhi nahi milungi main

jaja wadey kiye the.

Na waha

jaha wadey tutey the.

.

Main kahi nahi hu.

Na asmaan mein

Na zameen mein.

Na paharo mein

Na wadiyo mein.

Main kho gayi hu

tere un khoyi huye ehsaso mein.