Thanks Rajvigirl, Skm, Rits1437, parise22, Bhumi98, , JannatFairy, Aditi, Blair66, loveabhi, for ur time and reviews.
I will try to update long chapters.
kitchen jane ke liye room se nikalti hai. Waha jane ka rasta hall se hokar gujrta hai. Wo ja hi rahi hoti hai ki uski nazar waha soye daya pe padti hai. Wo daya pe paas aati hai or waha baith ke daya ko dekhne lagti hai.
NIYATI-kitna pyaara lag raha hai sote huye pata nahi kyu jagne ke baad itna khadus ho jata hai. Abhi ise dekh ke Koi keh sakta hai ki ye wahi Ins. Daya hai mujrim jiske naam se kaapte hai. Itna masoom itna pyaara. Ise aise dekh kar kise isase pyaar nahi ho jayega. Pyaar ye kya bol rahi hai niyati daya se pyaar.
Achanak daya ki neend khul jati hai or niyath harbara ke waha se bhagna chahti hai. Lekin uska balance bigad jata hai or wo daya ke uper gir jati hai. Daya ke itne kareeb hone ki wazah se use ajeeb si feeling hoti hai. Uski nazre DAYA ki nazro se takrati hai or Wo daya ki aankho me kho jati hai.
Daya-Maar gaya. Hatiye pls.
Niyati kuch jawab nahi deti. Daya use hatane ke liye uske shoulder pakad ke use hilata hai. Aisa karne se niyati uske or kareeb aa jati hai. Daya ko uska apne itne nazdir hona thik nahi lagta.
DAYA-aap hategi ya saari raat aise hi rehna hai?
NIYATI- (daya ki ankho me khoye huye) hu.
DAYA-kya hu? Hatiye pls mujhe uthna hai.
NIYATI-ajeeb insan ho. Are aisi situation me to ladka ladki ki aankho me doob jata hai. Tum filme nahi dekhte kya?
DAYA-itne andhere me mujhe apna hath nahi dikhai de raha or kuch kya khak dekhunga. Or waise bhi mujhe kisi ki aankho me doob ke khudkhushi karne ka koi shaukh nahi hai.
NIYATI-kisi ki bhi aankho me ya sirf meri aankho me?
DAYA-kya? Kya bakwas kar rahi hai aap? Hua kya hai aapko? Neend me to nahi chal rahi.
NIYATI-mujhe neend me chalne ki bimari nahi hai. Samjhe or.
DAYA-aapko mujhse jitna ladna hai lad lijiyega lekin pls pehle mere uper se hatiye.
Niyati uthane ki kosis karti hai per jhatke se wapus gir jati hai or daya ke seene se aa lagti hai.
DAYA-kya hua? Aap hat kyu nahi rahi hai?
NIYATI-mere baal. Pata nahi kaha fas gaye hai. Kuch dikh bhi nahi raha.
DAYA-ek min rukiye main light on karta hu.
Daya haath badha kar paas rakha table lamp on karne ki kosis karta hai per table lamp thoda door hone ki wazah se wo us tak nahi pahuch pata. Wo thoda uper khiskane ki kosis karta hai per isase Niyati ki wazah se thodi mshkil hoti hai. Daya dusare hath se use pakad leta hai. Wo thoda uper khisak kar lamp on kar deta hai or jaise hi idhar dekhta hai uski nazar niyati ke chehre pe padti hai or wahi pause ho jati hai. Lamp ki halki light me Niyati ka chehra use khas khas sa lagta hai. Daya ki nazare uske baalo me ulajh ke reh jati hai.
NIYATI-{halke se} kya hua? Kya dekh rahe ho?
DAYA-[In dreamy tone] aapke baal bahut khubsurat hai.
NIYATI- per abhi to pata nahi kaha fus gaya hai. Ise nikal do na dard ho raha hai.
DAYA- Ji main dekhta hu kya hua hai.
Daya dheere dheere Niyati ke baalo ki taraf hath badhata hai. Is beech uski nazre lagatar NIYATI ke uper hi lagi rehti hai. Daya ko feel hota hai ki wo apna controle kho raha hai isliye wo apni nazare NIYATI ke chehre se hata leta hai.
DAYA-aap thoda door rahiye pls.
NIYATI- main jaan bujh kar kuch nahi kar rahi. Such me mere baal fus gaye hai. Kaise hatu?
DAYA- rukiye main kosis karta hu.
Daya niyati ke baal jo uski chain me fus gaye hai unhe nikalne ki kosis karta hai per niyati ki nazdiki use baar baar disturb karti hai.
DAYA- pls aap thoda door rahiye na.
NIYATI-lekin main.
DAYA-are aap samjhti kyu nahi aapki garam saanse mujhe disturb kar rahi hai. Main apna dhyan nahi laga pa raha.
NIYATI- (kaisa ajeeb aadmi hai. Ladke to apni is type ki feeling ko chupa ke rakhte hai or ye to jo iske dil me hai wo keh diya)
DAYA- aap kya soch rahi hai?
NIYATI-kuch nahi. Tum kuch karo na.
DAYA-kya karu?
NIYATI-kuch bhi.
DAYA-maine aisa pehle kabhi kuch kiya nahi.
NIYATI-main bhi to aisi situation me pehle kabhi nahi padi.
DAYA- per mujhe .. Mujhe kuch thik nahi lag raha.
NIYATI-kyu?
DAYA- aisa karna sahi nahi hai na?
NIYATI-isme sahi galat kaha se aa gaya? Sirf baal hi to nikalne hai.
DAYA-baal nikalne hai?
NIYATI-haa jab tak tum mere baal nahi nikaloge main yaha se uthungi kaise?
DAYA-"to ye itni der se is baare me baat kar rahi thi or main to pata nahi kya kya soch raha tha. Daya agar jald se jald tune is ladki ko door nahi kiya to pata nahi tere dimag me or kya kya ulate sidhe khyal aane lagenge.
Daya apna dhyan niyati se hata ke uski problem solve karne me lagata hai.
NIYATI-ouch. Ye kya kar rahe ho thoda aaram se mujhe dard ho raha hai.
DAYA-thoda dard to hoga. Bahut buri tarah se ulajh gaye hai aapke baal.
NIYATI-tum CID wale bhi na bilkul patthar dil hote ho. Lekin bhool kyu jate ho main ek ladki hu or mujhe dard hota hai.
DAYA-to kya karu. Haa ek min drawal me kaichi hai main usase baal kaat deta hu.
NIYATI-tum mere baal katoge? Abhi to tarif kar rahe the ki mere baal khubsurat hai.
DAYA-to kya karu? Haa ek min. Ye mujhe pehle kyu nahi sujha.
Daya aahista se apni chain nikal deta hai.
DAYA-ye lijiye. Ab aaram se aap khud apne baal is chain se alag kar lijiye phir Meri chain wapus kar dijiyega.
NIYATI-thank u.
DAYA-waise aap itni raat ko yaha kar kya rahi thi?
NIYATI-wo main main mujhe bhookh lagi thi.
DAYA-(with naughty smile) aapko to mere hath ka bana khana bura lagta hai phir?
NIYATI-bhookh lagi ho to isan kuch bhi kha leta hai.
Niyati daya se baat karte karte apne baal bhi suljhati rehti hai or daya ki nazar usme ulajh ke reh jati hai. Lekin daya khud ko sambhal leta hai.
DAYA-aap... Aap apne room me ja ke baithiye main dekhta hu kitchen me kuch hai ki nahi.
Niyati apne room me chali jati hai. Niyati daya ke baare me sochti rehti hai.
NIYATI- ye aaj daya ko kya ho gaya tha? Aise kyu dekh raha tha mujhe? Or aaj... Aaj uske kareeb hone se mujhe ye ajeeb sa ehsas kyu ho raha tha? Kya ho raha hai mujhe?
Idhar daya kitchen me NIYATI ke baare me soch raha hota hai.
DAYA-ye kya ho gaya tha mujhe? Kyu main us niyati ki aankho me doobne laga tha? Kyu meri nazar uske chehre se nahi hat rahi thi? Kya ho raha hai tujhe daya sambhal khud ko.
Kuch time baad daya room me aata hai. Uske haath me plate hoti hai jisme pastry chips wagirah hote hai.
DAYA-abhi to yahi hai.
NIYATI-koi baat nahi chalega.
Next morning. Daya jaldi uth jata hai. Wo dekhta hai niyati ab tak so rahi hoti hai. Wo kitchen me ja ke apne liye chai banata hai nd bahar hall me baith kar tv dekhne lagta hai. Kuch time news dekhne ke baad wo Band Baja Barat movie laga deta hai. Movie me romantic scene chal raha hota hai Daya bade dhyan se dekh raha hota tabhi piche se Niyati ki aawaz aati hai 'oh ho subah subah romantic movie dekhi ja rahi hai'
daya niyati ki aawaz sun ke hadbada jata hai or channel change karne ke chakkar me uske hath se remote gir jata hai. Daya remote utha ke channel change karne ki kosis karta hai per remote kaam nahi karta. Niyati ye dekh ke smile karti hai.
NIYATI- Off ho itna pareshan hone ki zaroorat nahi hai.
DAYA-nahi wo main news dekh raha tha break me channel change kiya tha.
Niyati aa ke sofe pe daya ke side me baith jati hai.
NIYATI-tum to aise safai de rahe ho jaise bahut bada gunah kar diya ho. Are aisa sab ke sath hota hai. Yahi to age hai ye sab dekhne ki ab nahi dekhoge to kya budhape me dekhoge?
DAYA- (embarres look) aah wo main main... Aap coffy piyengi?
NIYATI-hu.
DAYA-aap tv dekhiye main aapke liye coffy bana ke lata hu.
Daya ke jane ke baad 'thank god daya normal hai. Warna mujhe to laga tha ki kal raat ke baad main use face kaise karungi. Per ye to..
Niyati music channel laga deti hai. Uspe song play hota hai 'ek ajnabi sa ehsaas dil ko sataye, Shayad yahi to pyaar hai' or niyati ki nazre kitchen me khade daya pe thehar jati hai. Daya kitchen me coffy bana raha hota hai or niyati use dekh rahi hoti hai. Niyati apne khyalo ki duniya me kho jati hai. Daya coffy bana ke lata hai. Wo Niyati ko khoya dekh ke uska dhyan apni taraf karne ki kosis karta hai lekin naakam rehta hai. Wo thoda jhijhkate huye Niyati ke kandhe pe hath rakh ke dheere se kehta hai Dr. Pradhan. Niyati ghabra jati hai or uska hath coffy mug se takrata hai jisase puri coffy daya ke uper gir jati hai.
Daya-aah.
Niyati- sorry. Maine jaan bujh kar kuch nahi kiya. Wo mera dhyan kahi or tha. Tum achanak se aa gaye to ..
DAYA-(in pain) koi baat nahi.
NIYATI-bahut jal gaya kya? Dikhao mujhe.
DAYA- n.. Nahi. Main thik hu.
NIYATI-thik kaise ho? Itni garam coffy thi. Bahut jal raha hoga. Dard ho raha hai?
DAYA-aadat hai mujhe.
NIYATI-janti hu ki bahut bahadur ho tum lekin bahadur se bahadur insaan ko bhi dard hota hai.
DAYA-aap pareshan mat hoiye main oilment laga lunga.
NIYATI-kaha hai oilment? Batao main le ke aati hu.
DAYA- nahi wo main kar lunga.
NIYATI-oh ho tum bhi na. Batao kaha hai oilment?
DAYA-wo room me 2nd drawal me.
NIYATI oilment le ke aati hai.
NIYATI-dikhao kaha jala hai. Main oilment laga deti hu.
DAYA-nahi. Main khud kar lunga.
NIYATI-dekho main doctor hu na. Mujhe dikhao to kaha jala hai or kitna jala hai.
DAYA-main kar lunga na.
NIYATI-kyu baccho ki tarah zid kar rahe ho. Dikhao to.
DAYA-dekhiye aap..
NIYATI-dikhaoge tab to dekhungi na.
Daya apne pet ki taraf ishara karte huye 'yaha'
niyati ek pal ko shock reh jati hai.
NIYATI-(little uncomfortable) aa... apni t shirt thoda uper karo.
DAYA-kya?
NIYATI-t shirt uper nahi karoge to dawa kaise lagaungi.
DAYA-main main kar lunga.
NIYATI-daya pls zid mat karo. Main kar deti hu.
Daya sharmate huye apni t shirt halka sa uper karta hai. Niyati or daya dono uncomfortable feel karte hai. Per Niyati dekhti hai Daya ko kuch jyada hi jal gaya hai. Wo oilment le ke daya ke zakhmo pe lagati hai. Niyati aisa karte time apna face dusri taraf rakhti hai. Niyati ke soft touch se daya ki puri body me shivring hoti hai.
NIYATI-bandage bhi karni hogi. Zakhm ko khula chhoda to thik nahi hoga.
DAYA-rehne dijiye main khud kar lunga.
Daya waha se uth ke apne room me chala jata hai.
