Daya bahar chala jata hai. Fir waha se andar aata hai. Or jaan boojh kar zor zor se bolta hai.
Daya- Ye news paper wale bhi na zara sa muausam kharab hua nahi ki paper nahi dete.

Daya ki aawaz sunkar Niyati Bed pe aakar baith jati hai. Daya Room me aata hai. Niyati ko aise baithe dekh ke uske chehre pe smile aati hai pe wo control kar leta hai.

Daya- aapka dard ab kaisa hai?
Niyati- ab thoda thik hai. per halka dard hai abhi bhi.
Daya- ( haa tabhi to kuch der pehle pure room me ghoom rahi thi.)
Niyati- tumhe kya hua? kaha kho gaye?
Daya- Kahi nahi. soch raha hoo kya karu?
Niyati- matlab?
Daya- aaj to beuro nahi ja sakta. or koi kaam bhi nahi hai to kya karu time pass karne ke liye.
Niyati- ab pata chala ki jab karne ko kuch nahi ho to insaan kitna boar hota hai.
Daya- haa ye to aap bilkul thik kehti thi. asal me aaj se pehle main kabhi aisa khali nahi baitha na to mujhe kuch idea nahi boar kaise hote hai.
Niyati- hello boar hone ke liye koi classes nahi hoti. kya bina sir pair ki baatein kar rahe ho tum.
Daya- jab mere pass karne ko kuch nahi hota hai na to main aise hi bina sir pair ki baatein karta hoo. kya karu.
Niyati- wo to mujhe pata tha ki tum ho hi thode ajeeb.
Daya- wo sab chodiye ye bataiye ki ab kare kya. kuch to karna hoga na jisase time paas ho.
Niyati- Hooo. Movie dekhe?
Daya- Movie. thik hai. per kis type ki movie dekhna pasand karengi aap.
Niyati- Main to Romantic movies dekhna pasand karti hoo. lekin mujhe horror movies bhi bahut pasand hai or tum.
Daya- Main. main pasand hoo aapko?
Niyati- (little irritating tone) Maine pucha tumhe kis type ki movies pasand hai?
Daya- Main to her type ki movie dekh sakta hoo. romantic, horror, thriller or english movies bhi.
Niyati-mujhe to romantic movies hi pasand hai.
daya- thik hai chaliye koi romantic movie hi dekh lete hai.
Niyati- Haa chalo.
Daya- are aapko to pair me chot lagi hai. aap kaise chalengi, dard hoga na. main aapko le chalta hoo.
Niyati- ye Ise kya hua hai? khud hi mujhe le chalne ko taiyar hai. isase pehle to ghabra raha tha.
Daya- kya hua kaha kho gayi? aapna haath dijiye mujhe.

Niyati shocked reh jati hai. Per Daya ko apna hath de deti hai. Daya apne ek hath me Niyati ka haath pakadta hai or dusra haath uski kamar me daal deta hai. Niyati shocked reh jati hai.

NIYATI- Ye ise ho kya gaya hai? Kuch badla badla sa lag raha hai. Pehle to mere touch karte hi aise hadbada jata tha jaise current lag gaya ho or aaj meri kamar me hath...
DAYA- lagta hai madam ko shock laga hai. dekhti jaiye Dr. Pradhan abhi to aapko or bhi jhatke lagne hai. Mera test lene chali thi na. Mujhe budhu Ram kaha tha na. Ab main dekhta hu ki aap is badle badle daya ko kab tak bardasht kar sakti hai. At the end I Love u to aapko hi bolna padega wo bhi usi time limit me jisme aap mujhse izhar-e- mohabbat karwane wali thi.

Daya Niyati ko hall me sofe tak pahucha deta hai. Phir ek romantic movie laga deta hai. Dono movie dekhne lagte hai. Per beech beech me Daya Niyati ko dekh ke smile karta hai. Niyati ko ajeeb lagta hai. Kuch time baad Niyati irritate ho jati hai.
NIYATI- kya hai?
DAYA- kuch nahi.
NIYATI- to baar baar yaha kyu dekh rahe ho? Movie dekho na.
DAYA- movie hi to dekh raha hu per.
NIYATI- per kya haa? Or problem kya hai tumhari ye baar baar ghoor kyu rahe ho? Or ye smile kyu kar rahe ho?
DAYA- are main kaha kar raha tha ye?
NIYATI- jhooth mat bolo. Maine khud dekha hai tum mujhe baar baar dekh ke smile kar rahe ho.
DAYA- accha. To aap movie nahi mujhe dekhe ja rahi thi. Per kyu? Kyu aap mujhe dekhe ja rahi thi? Kuch laga hai kya mere chehre pe ya aapko mujhe dekhna accha lagta hai?
NIYATI- main.. Main kyu dekhungi tumhe? Dekh to tum rahe the mujhe. Ab pakade gaye to mujhpe hi ilzam laga rahe ho.
DAYA- accha thik hai main aapko or aap mujhe dekh rahi thi. To hum ek dusre ko aise chori chori kyu dekhe? Direct dekhte hai na. Kya kehti hai?

Daya Niyati ki taraf mud kar uski aankho me dekhne lagta hai. Niyati ki heart beat badh jati hai. Wo nazre chura leti hai. Daya ye dekh ke smile karta hai.

Niyati- Mujhe... Mujhe room me jana hai.

Daya- Are lekin Movie?

Niyati- Mujhe nahi dekhani. Mujhe andar jana hai.

Daya- chaliye main aapko andar pahucha du.

Niyati- Nahi. Main khud chali jaungi.

Daya- Are main pahucha deta hoo na. Aapko dard hoga.

Niyati- nahi. Main khud chali jaungi. Khud kosis nahi karungi to fir jaldi thik nahi ho paungi.

Daya- are wah. Mujhe nahi pata tha ki aap meri baat ko itni jaldi maan lengi.

Niyati- Isme tumhari baat maanane wali baat kaha se aa gayi?

Daya- accha thik hai gussa mat kijiye, main maan gaya maine kuch nahi kaha tha.

Niyati khud se room ke andar chali jati hai.

Daya- Madam ko gusse me yaad hi nahi raha ki unke pair me moch lagi hai. Sidhe sidhe chal ke room me chali gayi. Per main bhi itni aasani se picha nahi chodane wala. Ab moch ka bahana kiya hai to uski saza bhi milani chahiye na.

Room me Niyati pareshan hai.

Niyati- kahi Daya ko pata to nahi chal gaya ki main use pasand karti hoo. Isliye wo mujhe aise dekh dekh ke smile kar raha tha. Ya phir ye ho sakta hai ki Abhijeet ne use kaha ho ki wo mujhse apne dil ki baat keh de. Kal raat bhi to wo use yahi samjhane ki kosis kar raha tha na. Haa yahi hai. Wo mujhse apne pyaar ka izhaar karna chahta hai isliye subah se aisa ajeeb bartaw kar raha hai. Lekin ye kaun sa tarika hai kisi ko ye ehsas dilane ka ki wo usase pyaar karta hai. Is Body builder ka dimag bus apne case suljhane me hi chalta hai. Pyaar ke mamle me to bilkul anari hai. Kuch bhi ho tu taiyar reh Niyati, Daya bahut jaldi tujhse pyaar ka izhar karne wala hai.

In afternoon Daya enter in Niyati room

Daya dekhta hai ki Niyati book padhne me buzy hai.

Daya- Badi sukun se book padh rahi hai. Thoda pareshan karna to banta hai. Bahut pareshan kiya hai inhone mujhe.

Niyati ki nazar Daya pe padti hai or book side me rakh deti hai.

Niyati- Kuch kaam tha?

Daya- Haa wo bahar halki dhoop nikal gayi hai to main soch raha tha thoda paas me hi ghoom aau. Socha aapse puch lu aapko kuch chahiye to nahi.

Niyati- nahi. Per tum kab tak wapus aaoge?

Daya- 2 ghante me laut aunga. Khana aaj maine nahi banaya bahar se hi pack karwa ke le aaunga. Aap aaram kijiye or agar kisi cheej ki zaroorat hogi to mujhe phone kar lijiyega.

Niyati- thik hai.

Daya- thik hai to main niklata hoo. Aap darwaza band to kar lengi na ya main bahar se lock kar ke jaau?

Niyati- Nahi main lock kar lungi.

Daya jaane lagta hai. Niyati uth kar gate band karne uske piche piche jati hai. Niyati ko thik se chalte dekh Daya smile karta hai.

Daya- Lagta hai aapka dard bilkul gayab ho gaya. Lekin ye kaisi chot thi jo itni jaldi gayab ho gaya. Aapko chot lagi bhi thi ya nahi?

Niyati ye sun ke ghabra si jati hai.

Niyati- ye kya kar rahi hai Niyati. Kaise bhool gayi ki tune pair me chot lagne ka natak kiya hai. Aise to tu aaram se kaise chal sakti hai. Or ye ek CID officer hai. Ye jhat se pakad lega ki tu natak kar rahi hai. Agar ise pata chal gaya ki tu natak kar rahi thi to phir ek CID officer ke sawalo ka kya jawab degi tu? Kya kahegi ki kyu rukana chahti thi tu yaha?

Daya- ye aap baar baar kaha kho jati hai?

Niyati- kuch nahi. Dard to ab kum hai isliye to yaha tak chal kar aai hoo.

Daya- haa per aapko dekh ke lagta nahi ki aapko kabhi moch aai bhi thi.

Niyati- are kaha na ki dard hai to hai. Ab kya her time bed pe baithi rahu tabhi maanoge tum. Ab chalo tumhe jana hai na.

Daya- haa. Chalta hoo.

Daya aage badta hai or Niyati use dikhane ke liye dheere dheere chalti hai lekin ghabrahat me such me girne lagti hai. Daya use apni baaho me tham leta hai.

Daya- aap bhi na thik se chal nahi sakti kya? Kya zaroorat thi itna jaldi jaldi chalne ki? Ab gir gayi na. Chot lagi hai dard hai to aaram se chalna chahiye na.

Niyati- abhi to tum keh rahe the ki mujhe chot lagi hai is baat pe tumhe yakeen nahi.

Daya- thoda doubt hua tha. Per aap gir gayi na to mujhe yakeen ho gaya ki aapko chot lagi hai.

Niyati- Matlab agar main nahi girti to main jhoothi hoti.

Daya- maine aisa to nahi kaha. Chaliye aapko room tak pahucha du.

Daya Niyati ko room tak pahuch deta hai.

Daya- dard ho raha hai?

Niyati- haa.

Daya- laiye main malish kar du.

Niyati (shocked) nahi. Main... main thik hu.

Daya- are laiye main malish kar deta hu aapko aaram milega.

Niyati- nahi. Tumhe jana hai na to tum jaao main thik hoo.

Daya- are chala jaunga. Pehle aapko marham laga ke malish kar deta hoo.

Niyati- (ye ise phir se kya ho gaya. Khud hi merepairo me malish karna chahta hai mujhe kuch thik nahi lag raha.)

Daya- laiye apna pair aage kijiye.

Niyati- maine kaha na main thik hoo. Tum jaao.

Daya- are subah hi to aapne kaha tha ki malish karne se aapko aaram milta hai phir abhi kyu mana kar rahi hai? Maine subah kuch aisa kar diya tha kya jo aapko bura laga?

Niyati- nahi aisa to kuch nahi hai.

Daya- to dijiye apna pair main malish kar du.

Daya Niyati ke pairo me malish shuru karta hai.

Daya- aapk pair kitne khubsurat hai. Itne khubsurat pair maine kisi ke nahi dekhe.

Niyati- haaaa!

Daya- main to bus ye puch raha tha ki aap kya lagati hai apne pairo me jo aapke pair itne kubsurat hai. Dil karta hai bus inhe aise hi thame rahu. Wo ek dialog hai na "Aapke pair itne haseen hai inhe zameen pe mat rakhiyega maile ho jayege"

Niyati Daya ki baate sun ke ghabr jati hai.

Daya ki baato se ghabrai niyati daya se kehti hai.
NIYATI- ho gaya. Dard kum ho gaya. Rehne do.
DAYA- Itni jaldi. Are abhi to malish shuru ki thi. Kuch der or malish kar deta hu.
NIYATI- nahi. Ho gaya. Tumhe jana tha na to tum jaao.
DAYA- are lekin.
NIYATI- tum jaao na. Main thik hu. Jaldi nahi jaoge to jaldi wapus kaise aaoge.
DAYA- aap itna keh rahi hai to thik hai. Main chala jata hu. Per aap apna khyal rakhiyega. Or agar koi bhi zaroorat ho to pls mujhe call kijiyega.
NIYATI- haa. Ab tum jaao.
DAYA- Main bahar se lock kar ke jaunga. Aap yahi aaram kijiye.
NIYATI- Thik hai.

Daya chala jata hai. Niyati Daya ke badle behave se bahut pareshan hai.
NIYATI- ye to kuch jyada hi ho gaya. Daya kaisi harkate kar raha hai. Itna kaise badal sakta hai wo. Pehle to mere chune se bhi use aitraz tha or aaj khud. Niyati kuch to gadbad hai. Kuch to chal raha hai iske dimag me. Lekin kya? Kuch bhi ho Niyati tujhe sambhal ke rehna hoga.

After 3 h Daya wapus aata hai. Wo dekhta hai ki Niyati Kamre me so rahi hai. Wo uske side me jakar baith jata hai or uske hath se book lekar alag rakhta hai. Wo kuch der tak Niyati ko dekhta rehta hai.
DAYA- aaj pehli baar ise itne karib se dekha hai. Bahut khubsurat hai ye. Or utni hi masoom bhi hai. Bina makeup ke inka ye khila khila sa roop kaun nahi hoga jo inka diwana ho jaye. Maine kab socha tha ki ek din main inke baare me aisa feel karne lagunga. Main to humesha se inse ladne me hi laga raha or pata hi nahi chala ki kab main inhe pasand karne laga. Or kab mujhe inse pyaar ho gaya. Abhi sahi kehta hai mujhe inse pyaar shayad pehle se tha. Ladai jhagde ke piche kahi na kahi pyaar chupa tha jiska ehsas mujhe in kuch dino me hua hai.

Tabhi niyati karwat badlati hai. Or daya thoda piche hatata hai.
DAYA- ye kya kar raha hu main? Kyu kar raha hu? Kyu pareshan kar raha hu main inhe? Pyaar me pehle tum pehle tum ki shart to nahi hoti na. Agar main unse apne dil ki baat nahi keh sakta to zaroori to nahi ki main unse pehle izhar karwau. Hum dono apne dil ki baat ek dusare se nahi keh pa rahe hai to ho sakta hai abhi waqt nahi aaya hoga. Jaise hume pyaar ho gaya izahaar bhi ho hi jayega. Accha hai na hume or waqt mil jayega apne pyaar ki gehrayi ko samjhne ka.

Niyati ek or karwat leti hai or daya ke hath pe apna haath rakh deti hai. Daya shocked reh jata hai per niyati ko abhi bhi sukun se sote dekh wo smile karta hai. Daya dheere se apna haath Niyati ke hath se nikal ke waha se uth ke jane lagta hai. Jaane se pehle ek baar palat kar Niyati ko dekhta hai. Phir bahar chala jata hai. Daya ke jane ke baad niyati apni aankhe kholati hai. Niyati ke hotho pe sukun bhari smile hai. Wo uth ke baith jati hai. Niyati apne bag me se apni diary nikal ke usme likhti hai.

Niyati- Aaj life me pehli baar mujhe aisa laga jaise duniya me mujhe koi aisa insan mil gaya hai jispe main aankhe band kar ke bharosa kar sakti hu. Koi aisa jiske sath chalte huye kabhi bhi mujhe khone ka daar nahi hoga. Agar main kabhi girne lagu to wo mujhe tham lega. Agar kabhi meri aankhe bhar aaye to mujhe husa dega. Koi aisa jiske sath zindagi ka her raasta aasani se kut jayega. Aisa bhi nahi lagta ki agar wo nahi mila to zindagi ji nahi paungi lekin aisa lagta hai agar wo na ho to zindagi zindagi ke jaisi nahi rahegi. Wo shaksh jisne mujhme aise naye ehsas jagaye hai uska naam hai Daya. Haa Daya. Kabhi kabhi hasi aati hai ye soch kar ki kis tarah se main usase lada karti thi. Kaise use pareshan karne ka ek bhi mauka nahi chhodati thi. Or aaj aisa lagta hai agar uske chehre pe koi pareshani nazar aa jaye to meri jaan si nikal jayegi. Ye waqt jo humne sath me gujara hai wo meri zindagi ke sabse yaadgar lamhe hai. Pata nahi main tumse ye kab keh paungi ki I luv u Daya.

Daya kamre me aa jata hai or Niyati use dekh kar diary chupa leti hai. Per daya diary dekh leta hai.
Daya- uth gayi aap. Main aapko uthane hi aaya tha.
Niyati- kuch kaam tha?
Daya- haa. Wo main bahar se khana pack kara ke laya tha. Kha lijiye warna thanda ho jayega.
Niyati- tum chalo main aati hu.

Daya ke jane ke baad Niyati hall me aati hai. Daya table pe khana serve kar chuka hota hai.
Niyati- chinies wow. My favorit.
Daya- shuru kijiye.
Niyati- per Abhijeet ne to kaha tha ki tumhe aisa khana kuch khas pasand nahi phir tum ye le ke aaye ho.
Daya- wo main itne dino se daal chawal kha ke boar ho gaya tha to socha aaj taste kuch change kiya jaye.

Daya ka jawab sun ke niyati smile karti hai. Dono khana shuru karte hai.
Niyati- thanks.
Daya- ye kyu?
Niyati- tum mere liye ye sab le kar aaye jabki tumhe ye khas pasand nahi.
Daya- aapse kisne kaha ki main ye aapke liye le ke aaya.
Niyati- Kuch baatein bina kahe bhi samjhi ja sakti hai.
Daya- thanks.
Niyati- ab ye kyu?
Daya- Meri ankahi baato ko samjhne ke liye.

Dono halki smile karte hai. Daya waha se chala jata hai.
Niyati- ye aise hi accha lagta hai. Cute caring sensetive person. Pata nahi change kyu ho gaya tha? Ye mujhse ladta hua hi accha lagta hai.

Daya wapus aata hai. Uske haath me ek packet hai.
Niyati- ye kya hai?
Daya- ye main aapke liye laya tha.
Niyati- per kyu?
Daya- wo maine shop me ye dekha to mujhe aapka khayal aa gaya. Or maine aapke liye ye le liya. Waise bhi mehman ko ghar se khali hath nahi bhejte na. Or aap to kal ja rahi hai hai to maine socha ki aapko koi gift de du. To gift samjh ke hi agar aap ise rakh lengi to mujhe accha lagega.
Niyati- thanks.
Daya- mujhe kuch idea nahi hai is baare me to mujhe jo sahi laga maine le liya. Pata nahi aapko pasand aayega ya nahi.
Niyati- tumne itne dil se kharida hai to accha hi hoga.

Niyati packet le ke room me le ja ke use open karti hai. Usame bahut khubsurat red color ka suit hota hai. Niyati ko wo suit bahut pasand aata hai.