In Night Niyati hall me Tv start karne ki kosis kar rahi hai. Lekin wo start nahi hota. Tabhi daya bahar se aata hai.
Niyati- aa gaye tum. Kaha the itni der tak?
Daya- haa wo bus pados me gaya tha. Kuch kaam tha aapko?
Niyati- dekho na is TV ko main kab se start karne ki kosis kar rahi hoo ho hi nahi raha.
Daya- ek min main dekhta hoo.
Daya Tv check karta hai per usase bhi on nahi hota.
Daya- Lagta hai koi wire loos ho gayi hai. Main abhi thik kar deta hoo.
Daya TV ka ek wire thik karne jata hai or achanak flactuation hota hai. Daya ko halka jhtka lagata hai.
Daya- aaouch.
Niyati- Daya kya hua? Current lag gaya kya?
Daya- haa halka sa. But I m ok.
Niyati- sambhal ke.
Daya fir se wire thik karne jata hai or fir se flactuation hota hai. Iss baar light chali jati hai or ghar me adhera ho jata hai.
Daya- ye light ko kya ho gaya. Aap jaha hai wahi baithi rahiye main abhi aata hoo.
Daya bahar jata hai. Kuch der me wapus aata hai.
Daya- pure mohalle kilight chali gayi hai. Lagta hai kahi short circit ho gaya hai. Ab to kal subah hi kuch hoga.
Niyati- tab tak kya hum andere me rahenge?
Daya- nahi candle hai na. Main dhoondhta hoo.
Daya candle dhoondhne ki kosis karta hai per andhere ki wazah se wo table se takra jata hai.
Daya- maine bhi candle pata nahi kaha rakh di hai. Ek to andhere me kuch dikh bhi nahi raha.
Niyati uthati hai or hall ki khidki open kar deti hai. Daya palat ke Niyati ki taraf dekhta hai or dekhta reh jata hai. Chaand ki halki roshni me Niyati use bahoot khoobsurat lgti hai.
Niyati- kya hua?
Daya- kuch...kuch nahi.
Niyati- candle mili.
Daya- n...nahi dhoondhta hoo.
Kafi dhoondhne ke baad Daya ko candle mil jati hai.
Daya- Candle to mil gayi. Lekin ise jalau kisase? Machin kaha rakh di hai?
Niyati- tumhare paas lighter nahi hai?
Daya- main cigrate nahi pita.
Niyati- maloom hai. Per her wo insan jiske paas lighter ho zaroori nahi ki wo cigrate pita ho. Kuch log aisi emergency ke liye bhi apne paas lighter rakhte hai.
Daya- janta hoo. Per mer paas nahi hai. Or machis kaha rakhi hai ye bhi yaad nahi.
Niyati- koi baat nahi. Mere paas lighter hai.
Daya- aap cigrate piti hai!
Niyati- abhi kaha tha na ki her wo insan jiske paas
Daya- samjh gaya. To jaiye lighter le ke aaiye.
Niyati lighter le ke aati hai. Andhere me Niyati ke room se Daya ko kuch girne ki aawaz aati hai.
Daya- kya hua? Aap thikto hai.
Niyati- haa. Main thik hoo per pata nahi kuch gir gaya.
Kuch girne ki aawaz dubara se aati hai.
Daya- ye din ke ujale me chije girati chalti hai andhere me pata nahi kamre me kya toofan le aayi hongi.
Kuch time baad Niyati lighter leke aati hai. Niyati Lighter se candle jalati hai. Per hawa ki wazah se candle bujhne lagti hai. Daya or Niyati dono candle ko bojhne se bachane ki kosis me apne apne haath se dhakne ki kosis karte hai. Is chakkar me Niyati ke haath ke uper Daya ka haath aa jata hai. Niyati Daya ki aankho me dekhti hai. Daya bhi Niyati ki or dekhta hai. Dono kuch der keliye pause ho jati dheere se apna haath Daya ke haatho se Nikal leti hai per daya use hi dekhta rehta hai. Candle Daya ke haath pe pighal ke gir jata hai. Daya ka hath jal jata hai. dekh ke Niyati uska haath apne haath me le ke usase puchti hai.
Niyati- kaha dhyan tha tumhara? Jal gaya na haath.
Daya kuch nahi kehta. Niyati Daya ki jali hui ungli pe apne hoto se blow karti hai. Tabhi Bg me song play hota hai "Bheenge Hoth tere"
Niyati Daya ki or hairani se dekhti hai. Daya bhi hairan sa use dekhta reh jata hai.
Niyati- ye ganaa.
Daya- maine nahi chalaya shayad paros me chal raha hai.
Niyati- Itni tez.
Daya- wo... wo... light nahi hai na to shayad paros me sab radio sun rahe hai. Main abhi band karwa ke ata hoo.
Niyati- rehne do.
"Jaam ke barsa de mujhper ghataye"
Niyati Daya ka haath chhod deti hai. Dono kafi akward sa feel karte hai.
"Kabhi mere sath koi raat gujar, tujhe subah tak main karu pyaar"
Niyati- main ... main oilment le ke aati hoo.
Daya- na...nahi main thik hoo. Jalan bhi nahi ab.
Niyati uth ke jaane lagti hai per andhere me ladkhadati hai or Daya ke uper gir jati hai. Dono ek dusre ke kafi close hote hai.
"Saanse aanch teri, taan aag tera,
Cheene neend meri loote chain mera"
Daya Niyati dono ki heartbeat or breat speed incease ho jati hai.
"Kala jaadoo kare lambe baal tere.
Aankhe jheel teri dore laal tere"
Niyati ke baal daya ke chehre ke uper fail jate hai. Daya unhe dheere se apne chehre se hatata hai. Daya ki nazre niyati ki nazro se milti hai.
"Kabhi mere sath koi raat gujar, tujhe subah tak main karu pyaar"
Niyati shy feel karti hai or apni nazre chura leti hai. Wo uth ke daya se alag hoti hai.
Niyati- main kamre me ja ke dekhti hoo kya gira hai.
Daya- main bhi chalta hoo. Warna andhere me or bhi cheeje gir jayengi.
Dono kamre me jate hai. Niyati zameen pe giri cheeje uthati hai. Daya bhi uski help karta hai.
Aankhe keh rahi, jo na hum kahe.
Use sun le tu, jo na lab kahe.
Ek saman uthate waqt Daya ka haath Niyati ke haath ke uper pad jata hai or wo use dekhe jata hai. Dono eye lock me kho jate hai.
Tu na soye aaj, Main na sou aaj.
Tujhe dekhu aa, tujhme khou aaj.
Niyati apna haath Daya ke hatho ke niche se hatane ki kosis karti hai. Daya bhi uska haath chod deta hai.
Kabhi mere saath koi raat gujar. Tuhe subah tak main karu pyaar.
Dono uthne ki kosis karte hai per ek dusre se takra jaate hai.
Dono ek dusare ko dekhte reh jate hai. Gana end hone pe dono ko hosh aata hai or dono ek dusre se alag hote hai.
Daya- aap so jaiye bahut raat ho gayi hai.
Daya itna keh ke jaane lagta hai per niyati uska hath pakad leti hai.
NIYATI- daya.
DAYA- ji.
NIYATI- daya wo.. Wo aaj tum yahi ruk jaao na.
DAYA- main yaha. Per kyu?
NIYATI- wo mujhe andhere me akele rehne se daar lagta hai.
DAYA- lekin main yaha is room me kaise reh sakta hu. Main is room me candle jala ke rakh deta hu andhera nahi hoga to aapko daar bhi nahi lagega. Or main bagal ke kamre me hi to hu.
NIYATI- daya pls.
DAYA- main or aap ek kamre me. Main koi risk nahi lene wala. Pata chala Kal subah aap uth kar kahengi ki maine situation ka advantage uthaya.
NIYATI- main aisa kuch nahi karane wali. Or main kaun sa tumhe apna bed share karne ko keh rahi hu. Main sirf tumhe room share karne ko keh rahi hu.
DAYA- accha, to main kaha sounga?
NIYATI- Tum is chair pe so jana. Waise bhi tum cid walo ko to aisi situation me rehne ki aadat hai.
DAYA- are wah. Bahut khub.
Niyati bed pe baith jati hai or daya chair pe baith jata hai.
DAYA- waise jab tak aap yaha aayi nahi thi tab tak mujhe lagta tha ki aap bahut strong hai or aap bhi to baar baar kehti thi ki aap kisi se nahi darti. Lekin aap to badi kamzor nikali. Aap itni si goliyo se darti hai or andhere se bhi.
N- andhere se to bahut sare log darte hai agar main daar gayi to kaun sa gunah kar diya. Or dawaiya wo to itni kadwi hoti hai ki use khane ka maan kiska karega.
DAYA- thik hai. Ab aap so jaiye main yahi baitha hu.
Niyati bed pe let jati hai. Daya bhi chair pe aankhe band kar ke baith jata hai. Niyati kuch time baad aankhe khol kar daya ko dekhne lagti hai.
Niyati- aaj ka pura din nikal gaya. Ab to raat bhi gujar rahi hai. Per daya ne apne dil ki baat nahi kahi. Kal mujhe jana hai or pata nahi uske baad is afsane ka kya anjam hoga. Kahi daya ke dil me mere liye jo jajbe paida huye hai wo kho na jaye. Nahi main ye risk nahi le sakti. Is pehle tum pehle tum ke chakkar me kahi mere pyaar ki kahani adhuri na reh jaye. Nahi niyati tu apna pehla pyaar aise nahi kho sakti. Agar daya apne pyaar ka izhar nahi kar sakta to tu hi kar de. Wo Ikrar na kare per Inkar bhi nahi karega. Jyada se jyada waqt mangega jawab dene ke liye. Haa niyati kar de izhar apne pyaar ka. Jo hoga dekha jayega. Keh de, keh de daya se apne dil ki baat.
DAYA- (with closed eyes) kya soch rahi hai?
NIYATI- (shocked voice) main.. Nahi to main kaha kuch soch rahi hu?
DAYA- jab koi insan bed pe letane ke baad bhi na so paye to iska matlab ye hai ki uske dimag me kuch chal raha hai.
NIYATI- sahi keh rahe ho. Daya wo .. Wo mujhe tumse kuch kehna hai.
DAYA- kahiye.
NIYATI- wo.. Wo mujhe na.. Koi chot nahi lagi thi. Maine natak kiya tha.
DAYA- (in calm tone) janta hu.
Niyati daya ki baat sun ke shocked reh jati hai. Or uth ke baith jati hai.
NIYATI- tumhe pata tha. Per kaise?
DAYA- aap bhool rahi hai ki main ek CID officer hu or ek cid officer se kaha gaya jhooth jyada der tak chupta nahi. Aapki harkato se mujhe pata chal gaya tha ki aapko koi chot nahi lagi thi.
NIYATI- tumhe pata chal gaya tha phir bhi tumne kuch nahi kaha. Per kyu?
DAYA- ajeeb hai aap. Ek to aapne jhooth bola uspe sorry bolne ke badle aap mujhse sawal jawab kar rahi hai.
NIYATI- (in innocent voice) sorry. Ab to batao ki tumne such janane ke baad bhi mujhe kuch kaha kyu nahi.
DAYA- kyunki main aapke jhooth ke piche ki wazah janana chahta tha. Janana chahta tha ki aapne ye natak kiya kyu.
NIYATI- kyunki main yaha se jana nahi chahti thi.
DAYA- per kyu? Aisa kya pasand aa gaya aapko is ghar me?
NIYATI- tum.
A small smile appears on daya lips which he hide smartly.
DAYA- kya?
NIYATI- haa tum. Tum pasand aa gaye mujhe.
DAYA- Main kya koi saaman hu jo aapko pasand aa gaya.
NIYATI- are bewkoof itna kuch keh diya phir bhi nahi samjhe. Tum mujhe pasand aa gaye matlab I love You U idiot.
