Next morning

Niyati uth ke hall me aati hai to Daya use nahi dikhta. Wo idhar udhar use dhoondhati hai per wo use nahi milta. Thode time baad daya aata hai.

Daya- are uth gayi aap. Main ande lene gaya tha. Socha aaj aapko aakhiri baar apne haath ka breakfast khila du.

Niyati- mera dil jala hua hai or ise ande ki padi hai. Dil to kar raha hai ki saare ande isake sir pe hi phod du.

Daya- aap fresh ho jaiye main aapke liye nasta banat hoo.

Niyati- nahi mujhe nahi chahiye. Main ghar ja ke nashta karungi.

Daya- are aise kaise. Main itna bura mejban bhi nahi jo mehman ko apne ghar se bhookhe pet bheju. Aap nasta kar lijiye fir main khud aapko chod ke aaunga.

Niyati- thik hai.

Daya- suniye aap mere liye chai bana dengi main tab tak akhbar padh lu.

Niyati- abhi to keh raha tha ki main utna bura mejban nahi or abhi dekho mehman se coffy banwayega.

Daya- kya hua? Jaldi jaiye mujhe akhbar padhte huye subah ki chai pine ki aadat hai.

Niyati- ji bilkul.

Niyati kitchen me ja ke apne or daya ke liye chai bana ke lati hai. Chai pine ke baad.

Niyati- main ja ke fresh ho jati hoo fir nikalna bhi hai.

Daya- ji tab tak main naasta bana deta hoo.

Niyati- tum ready nahi hoge?

Daya- main.. main to 20 min me ready ho jata hoo. Aapko time lagega na. To aap jaiye. Or haa aap wo suit pehan lijiyega jo main aapke liye laya tha. Agar aap mere diye dress me mere ghar se jaye to mujhe accha lagega.

Niyati- haa pehan lungi.

Niyati fresh ho ke daya ka diya suit pehan ke bahar aati hai. Daya kitchen me roti banane ke liye aata ready kar raha hota hai. Uski nazar Niyati pe padti hai to wo use dekhta reh jata hai. Lekin Niyati ek rumal se apni aakhe saaf karne me lagi hai.

Niyati- aah meri aankh.

Daya- (uske paas aakar) kya hua?

Niyati- pata nahi aankho me kuch chala gaya hai.

Daya- laiye main dekhta hoo.

Daya apne haath se Niyati ka chehra pakad kar uski aankho me blow karta hai. Kuch time me Niyati ki aankh thik ho jati hai.

Niyati- ho gaya. Thank... Daya tumhare hath.

Daya- kya hua?

Daya ki nazar apne haath pe padati hai jispe aata laga hai. Fir wo Niyati ke face ki taraf dekhta hai jispe uske hatho ka laga aata lag gaya hota hai. Daya ke face ke badle expression dekh ke Niyati samjh jati hai ki aata uske face pe bhi lag gaya hai.

Niyati- (gusse me)- Daya kya kiya tumne?

Daya- Main to aapki madad karne aaya tha.

Niyati- madad ki ya fir mere pure face pe aata laga diya. Abhi abhi naha ke aayi thi main.

Daya- to kya hua face saaf kar lijiyega. Waise aata laga ke aap or bhi khubsurat lag rahi hai.

Niyati- accha.

Niyati gusse se kitchen me jati hai. Daya bhi uske piche piche pahuch jata hai.

Niyati- to tum bhi laga lo aata or ban jaao khubsurat.

Niyati daya ko aata lagane lagti hai. Daya use rokta hai pr Niyati nahi manti. Daya uska haath pakad ke piche kar deta hai or use wall ki taraf push karta hai. Ab dono bilkul close hote hai.

Niyati- chhodo mujhe.

Daya- taki aap mujhe aata laga sake.

Niyati- tumne bhi to lagaya tha.

Daya- jaan boojh kar to nahi lagaya na. Aap to mere sath aate wali holi khelane ko ready hai.

Niyati khud ko chhudane ki kosis karti hai per Daya ki strong pakad se wo khudko nahi chhuda pati. Is chakkar me wo Daya ke or close aa jati hai. Niyati fir se kosis karti hai or is baar dono itne close ho jate hai ki unke face ek dusare se bus 5 inches ki doori pe hote hai. Dono ke beech eyelock hota hai. Niyati ki heartbeat badh jati hai. Daya Niyati ki aankho me kho sa jata hai.

Niyati- chhodo mujhe pls.

Daya- or na chhodu to?

Daya Niyati ke or kareeb badhta hai. Niyati aapni aankhe close kar leti hai. Daya ek haath se Niyati ke dono hath pakadta hai or dusre haath se paas rakha rumal utha ke usase Niyati ke chehre se halke halke aata saaf karta hai. Niyati is pal me kho si jati hai. Kuch time baad Daya Niyati ko chhod deta hai.

Daya- ho gaya.

Niyati Daya ki aawaz sun kar aankhe kholati hai.

Daya- aapke chehre se aata saaf kar diya maine.

Niyati bahut embarres sa feel karti hai. Wo thanks keh ke waha se jaane lagti hai.

Daya- Dr. Paradhan.

Niyati- hu.

Daya- mujhe aapse kuch kehna hai.

Niyati-(kahi ye apne dil ki baat to nahi kehne wala. Ho sakta hai raat bhar socha ho or iska jawab haa me bdal gaya.

Daya- wo main..

Niyati- haa bolo.

Daya- wo main... o main aapse kehna chahta tha ki.. I m sorry.

Niyati jiska face Daya ke dil ki baat sunane ke naam se glow kar raha tha wo bujh jata hai.

Niyati- tumhe mujhse ye kehna tha?

Daya- haa.

Niyati- per kyu?

Daya- wo kal maine aapko bahut pareshan kiya na. Wo movie dekhte waqt or uske baad bhi. Aapke saath bahut badtamizi ki maine. Yakin maniye main aisa hoo nahi wo sab to maine sirf aapko pareshan karne ke liye kiya tha. I hope aap mujhe maaf kar dengi.

Niyati- haa. Tumne galat kiya. Bahut pareshan kiya mujhe. Koi or hota to main use kabhi maaf nahi karti. Per tum... mera matlab tumne mujhe apne ghar me rakha. Meri itni help ki isliye maine tumhe maaf kiya.

Daya- thank u.

Niyati- tumhe or kuch nahi kehna.

Daya- nahi bus yahi kehna tha.

Niyati-(gusse me) to mujhe ghar chhod do. Beuro jaane me late ho jayegi.

Daya- per nashta.

Niyati- main ghar p kar lungi. Waise bhi aata to pura gir gaya. Ab kitchen saaf kar ke fir se nashta banane me tumhe bahut time lagega. Or ab main tumhara or koi ehsan nahi lena chahti.

Daya- accha. Main change to kar lu. Waise aap aaj such me bahut khubsurat lag rahi hai.

Niyati- mere saath flirt karne ki kosis mat karo. Main abhi bhi wahi Dr. Paradhan hoo.

Daya- flirt nahi kar raha. Sacchi. Aap is suit me bahut khubsurat lag rahi hai.

Niyati- thanks. Ab jaldi change kar ke aao warna main khud chali jaungi.

Daya- nahi. Main 10 min me aata hoo.

After some time Dya Niyati ko uske ghar tak pahucha deta hai.

Niyati- tumhari her help ke liye thanks or bye.

Daya- are darwaze se hi bye bolengi. Andar nahi bulayengi. Isi bahane aapka ghar bhi dekh lunga.

Niyati- ab tumne khud hi khud ko invite kar hi liya hai to aa jaao.

Niyati apne ghar ka darwaz kholati hai or wo dekhti hai ki uski raaho me phool biche hai. Pura ghar decorated hai. Wo us phoolo ki raah pe chalte huye uper pahuchti hai. Uska room uske favorite flowers se decorated hai. Uske bed ke thik saamne ek board laga hai jispe likha tha "Will U be My Valentine? Daya"

Niyati ye sab dekh ke shocked reh jati hai. Uski aankho me aansu aa jate hai. Wo bhagti hui niche aati hai. Hall me Daya haath me rose liye khada hai. Uske chehre pe ek naughty si smile hai.

Daya- ab aap chahe to mujhe iske jawab ke liye kal tak ka wait karwa sakti hai.

Niyati- mera jawab to tumhe kal rat hi mil gaya tha. Wo to tum the jo bhaw kha rahe the.

Daya- main bhaw nahi kha raha tha. Taiyari kar raha tha. Ab aap specail hai to aapko specail tarike se paropose karna tha na. Waise kaisa laga?

Niyati- bahut accha. Lekin tumne ye sab kiya kab?

Daya- kal.

Niyati- tumne itna sab akele kaise kiya?

Daya- Mere paas ek jiin hai. Jo mera her kaam kar deta hai bus ek phone ghumane pe.

Niyati- abhijeet.

Daya- haa. Wo nahi hota t mujhe kabhi pata hi nahi chalta ki main aapke liye kya feel karta hoo.

Niyati- to fir tumne mujhe ab tak kaha kyu nahi?

Daya- kya?

Niyati- yahi ki I love u.

Daya- kitni baar I love u bolengi aap mujhe. Kal se kitni baar sun chuka hu.

Niyati- tum bahut bure ho kab se sirf mujhse I love u bulwaye ja rahe ho. Apne dil ki baat mujhse nahi khte.

Daya- mere dil ki baat aapko meri aakho me kabhi dikhayi nahi di.

Niyati- Nahi. Mujhe tumhari juban se sunana hai. Waise bhi tum mere saamne aate hi nazre chura lete the.

Daya- I love u. Main aapse bahut pyaar karne laga hoo. Meri zindagi me bahar ki tarah utar kar aane ke liye aapka bahut bahut shukriya. Mujhe aapse jyada kuch nahi chahiye main sirf ye chata hoo ki aap meri tanhaiya door kar de. Main ye nahi chahta ki aap mere gumo ko baat le per ye zaroor chata hoo ki aap meri khushiyo ki wazah bane. Main aapse kabhi ye nhi kahunga ki aap kya kare kya na kare balki aapka jo maan ho aap wo kijiye or agar koi problem hui to main hoo na aap tak kisi musibat ko nahi pahuchane dunga.

Daya ki baatein sun ke Niyati ki aankho me aansu aa jate hai.

Daya- kya hua?

Niyati- kuch nahi. Thank u. Mujhe itna specail feel karaneke liye. Phir bhi mujhe tumse ek complain hai.

Daya- ab kya kiya maine?

Niyati- ye kya aap aap laga rakha hai. Aisa lag raha hai koi student apni teacher se baat kar raha ho.

Daya- to thik hi to hai love ke mamale me aap meri teacher hi to hai.

Niyati- nahi tum mujhe Niyati or tum keh ke bulao. Apna apna sa lagta hai.

Daya- thik hai. Ab se main tumhe Niyati keh ke bulaunga. Per sirf akele me. Kaam ke waqt Dr. Pradhan. Main nahi chahta ki bakiyo ko humare baare me pata chale. Sab bahut tease karenge mujhe.

Niyati- chalega. Waise tum...

Daya- ek min...

Niyati- kya?

Daya- ye aise kaise tum tum keh ke baat kar rahi ho. Izzat se baat karo. Saheb hone wale pati hai tumhare. Aap keh ke bulao.

Niyati- accha. Ji huzoor. Aaj se kaniz aapko aise hi bulayegi.

Daya Niyati dono hasne lagte hai.

Niyati- ab aage kya?

Daya- aage matlab?

Niyati- matlab propose kar diya ab kya karoge?

Daya- ab. Ab beuro jaunga.

Niyati- oh ho. Isi liye to main tumhe Buddhu ram kehti hoo. Tumne band baja barat movie dekhi hai na. Usme I love u bolane ke baad kya karte hai.

Daya- oh... to wo karna hai. Aap to badi tez hai. Mujhe to laga tha ki shadi tak intzaar karna hoga. Koi baat nahi. Abhi main in mamlo me thoda kaccha hu aapke sath reh reh ke pak jaunga. Abhi to aapki farmaish puri kar deta hoo.

Daya Niyati ko kiss karne ke liye uske kareeb jata hai per Niyati use dhakka de deti hai.

Niyati- ye sab karne ko nahi kaha tha. Main to hug karne ki baat keh rahi thi.

Daya- ohh tab mera kya fayda.

Niyati- badmaash.

Niyati Daya ko ek punch marti hai or use hug karti hai. Dono ek dusre ko hug karte hai.

After some time they break their hug.

Daya- ab main chalta hoo. Aap bhi beuro aa jaiye. Waise bhi Abhijeet bechaini se mera intzaar kar raha hoga ye janane ko ki kya hua.

Niyati- to tum use sab bataoge?

Daya- haa sab kuch. Usi ka to idea tha ye sab.

Niyati- to use meri taraf se bhi thank u bol dena.

Daya Niyati ko bye bolke jane lagta hai. Per Niyati use aawaz deti hai. Daya ke rukane ke baad Niyati uske paas pahuch ke uske gaal pe ek soft kiss deti hai. Ek cute smile appears on Daya face.

Niyati- ye is baat ka saboot hai ki mere dil me tumhare liye jo bhi hai wo saccha hai. Jo tumhari jagah hai wo humesha tumhari hi rahgi. Wada karo mujhse ki tum is dil ko kabhi nahi todoge. Kabhi mujhe akela nahi chhodoge.

Daya- placed his hand on Niyati hands "Wada"

~~The End~~

Thanks everyone for ur support ur reply and ur love. Thank u so much.