Mujhe Tumhe Khona Toh Na Tha
Mujhe tumhe khona toh na tha,
Pana tha..
par sayad,
haad se jayada chahat na kiya tha.
-
Khushiya du ya na,
Gaam toh na dena tha..
Dard ko tera hamnawa toh na banana tha.
-
Khud ke khushi ke badle
tere daman mei kuch toh dena tha..
Kya pata tha,
gaam ke elaba kuch tere nasib mein na tha.
-
Ab maafi bhi kya mangu?
Bahane bhi kya du?
Sath toh kabhi diya nahi
Sahara bhi ab kya banu!
-
Dua mei bhi kya yaad karu
Kismat ko bhi kya dosh du
Khud ne hi jo mukammal na kiya
wo ishq ko ab kya kamil karu.
