Dard Ka Naam Ishq
Chapter 26
Flashback Series Part 18
Pyaar ka izhaar
"Kyaa?" Teenon ke mun se aik saath cheekh waale andaaz mein nikla tha
"Tum kahin mazaaq wazaaq to nahi kar rahe?" Chand palon ke liye to teenon ke hi mun band ho gaye the. Unhe kuch samajh hi nahi aya ke yeh Abhijeet ne kaha kya hai. Dheere dheere jab dimaag ne is baat ko samajhne ki koshish to tab bhi dil o dimaag mein sirf beyaqeeni hi thi. Isi liye Rohan pheeki hansi hanste hue Abhijeet se poochta hai.
"Kahin tumhara dimaag to nahi satak gaya?" Raj ne bhi jo mun mein aaya bak diya.
"Tum log itne hairaan kyun ho? Kya mujhe pyaar nahi ho sakta? Kya mein aik insaan nahi?" Abhijeet hans ke poochta hai.
"Are nahi, bilkul ho sakta hai pyaar magar yeh humaare is sone munde ko pyaar kis se hua hai? Ye to batao" Vishal ne apni hansi ko dabaate hue jawaab diya aur sawaal bhi poocha.
"Tum log abhi bhi mazaaq samajh rahe ho kya? Tum log jaante ho ke mein aisi baaton ko le kar kabhi mazaaq nahi karta" Abhijeet ne thoda sa sanjeeda andaaz apnaate hue apni baat beyaan ki magar us ke chehre pe aik pyaari si muskaan zaroor barabar chamak rahi thi.
"Are nahi. Koi mazaq nahi. Please continue" Vishal ne sanjeeda hone ki koshish ki.
"To doston mein keh raha tha ke mujhe pyaar ho gaya hai, aik bohat hi pyaari larki se, us ki shakhsiyat mein koi jaadu sa hai. Woh apni si lagti hai mujhe. Pehle laga ke sirf dosti hai magar ab ahsaas hota hai ke dosti se kayi barh ke hai. Mere dil mein us ke liye jo jazbaat hain, woh kuch aur hi hain" Abhijeet ke chehre pe yeh sab beyaan karte hue aik pyaari si muskaan thi. Us ke baare mein baatein karte woh do pal ko us ke khayalon mein doob gaya.
"Are qissa to waqaie serious lagta hai. To janaab kya ap ne apni mohabbat ka izhaar kiya?" Vishal ne aik aur sawaal poocha.
"Nahi, itna asaan nahi hota izhaar karna magar mein karna chahta hun izhaar, bohat jald magar kuch aisa karna chahta hun jis se woh meri mohabbat ko inkaar na kar sake. Woh nahi kare gi na inkaar? Pata nahi, woh mujhe dost se zyaada kuch samajhti bhi hai ya nahi" Abhijeet ke zehan mein is waqt bohat kuch chal raha tha. Aik taraf pehle pehle pyaar ki madhoshi thi to doosri taraf dil tootne ka dar. Woh nahi jaanta tha ke woh us ka inkaar bardaasht kar paaye ga ya nahi.
"Are tum kaisi baatein kar rahe ho Abhijeet? Koi larki bhala tumhe inkaar kar sakti hai kya? University ki saari larkiyaan tum pe marti hain, tumhari aik haan ki muntazir hain aur tum baat kar rahe ho ke inkaar kar de gi. Aisa na ho hi nahi sakta" Raj ne Abhijeet ki baat sun kar hairat ka izhaar kiya aur saath hi Abhijeet ko aisa kuch bhi sochne se toka.
"Yahi to baat hai mere dost. Woh in university ki larkiyon jaisi nahi hai. Woh alag hai, bohat alag aur bohat khaas. In larkiyon mein us jaisi koi aik bhi baat nahi hai. Tum logon ke lafzon mein kahun to yeh larkiyaan pheeki hain us ke saamne" Abhijeet use beyaan karte hue baar baar us ki sochon mein kho raha tha, Us ki meethi awaaz mein doob raha tha.
"Yaqeen nahi ata ke tum jaise larke ko bhi itna shadeed wala pyaar ho sakta hai" Vishal is baar dil se bola tha tha. Abhijeet ki aankhon mein woh us ki kahi hui baaton ki poori poori sachayi dekh sakte the. Us larki ka ziqar karte hue Abhijeet ki aankhein chamak rahi theen.
"Socha to meine bhi nahi tha ke mujhe yun achanak pyaar ho jaaye ga magar yahi to qismat hai, jo hum ne nahi socha hota woh bhi ho jata hai aur mein bohat khush qismat hun ke mujhe us jaisi larki se pyaar hua. Ab bas woh mujhe apna kar meri khush qismati barqaar kar de" Abhijeet ke dil is waqt bas aik hi dar tha. Woh dar tha ke kahin us ki mohabbat adhoori reh gayi to..to kya woh jee paaye ga. Magar phir Abhijeet ne socha ke woh aisa kyun soch raha hai, Us ki mohabbat zaroor mukammal hogi.
"Phir kya socha hai kaise izhaar karo ge?" Us ke doston ne bajammat ho kar poocha.
"Soch raha hun. Jald soch lun ga aur kar dun ga us pe apne dil ka haal beyaan" Abhijeet yeh keh kar wahan se uth gaya. Us ki class ka waqt ho gaya tha. Imtehaanon mein bhi kuch hi din reh gaye the.
Abhijeet university se ghar aya to seedhe apne kamre mein chala gaya. Yeh us ke liye aik mushkil marhala tha. Use Purvi aka Geet se apni mohabbat ka izhaar karna tha. Woh is waqt isi soch mein ghira hua tha ke kaise apne dil ki baat us pe ayaan kare.
"Shayad mujhe use kahin bhi bulaane se pehle phone par apni mohabbat ka izhaar karna chahiye. Agar use meri mohabbat ko apnana hoga to woh zaroor mujh se milne wahan aye gi. Shayad yahi tareeqa theek hai" Abhijeet ne yeh soch kar apni jaib mein se apna phone nikaal liya. Us ki dharkanein yakdam taiz ho gayi theen. Dil zor zor se dharak raha tha. Phir aakhir us ne woh number mila hi daale. Doosri taraf call ja rahi thi. Kuch dair baad phone utha liya gaya tha.
"Hello Abhijeet, kese ho?" Purvi doosri taraf se boli.
"Mein theek hun. Tum kaisi ho?"
"Mein achi hun" Abhijeet ki awaaz sun kar Purvi acha mehsoos karne lagti thi. Koi bhi thakaan hoti, koi bhi mayoosi hoti woh us ki awaaz ke peeche dab jaati.
"Tum se aik baat karna chah raha tha kaafi dino se. Socha ke aj kar hi dun" Abhijeet ne baat ki shuruwaat karna chahi. Lehje mein ghabrahat aur bechaini saaf mehsoos ki ja sakti thi.
"Kya hua? Tum kuch pareshaan se lag rahe ho?" Purvi ne us ke lejhe ki ghabrahat ko mehsoos karte hue achnabhe se poocha.
"Nahi nahi, mein pareshaan hargiz nahi hun. Bas aik choti si baat hai. Socha ke kar hi leta hun" Abhijeet taizi se yun bola jaise kisi ghode pe sawaar ho.
"Waqaie mein choti si baat hai kya?" Purvi use chedte hue boli.
"Um waise itni bhi choti nahi hai baat. Lekin itni badi bhi nahi hai" Abhijeet ko kuch samajh nahi a raha tha ke woh kya kahe. Us ke mun mein jo bhi a raha tha, woh bolta chala ja raha tha.
"Abhijeet baat kya hai?" Purvi ne sanjeeda andaaz mein poocha. Abhijeet aj kuch ajeeb tareeqe ka rawaiya apna raha tha. Use samajh na aaya ke aakhir Abhijeet kehna kya chahta hai.
"Mein tum se kal milna chahta hun magar us se pehle mein tum se kuch kehna chahta hun" Abhijeet ne jagah aur waqt bata kar milne ki farmaish ki jo ke Purvi ke liye itne achnabhe waali baat nahi thi magar woh kya baat karna chahta hai, is baat ne Purvi ko kuch pal ko uljha zaroor diya tha.
"Mein milun gi tum se. Magar tum kya baat karna chah rahe ho. Ab mujhe ghabrahat ho rahi hai please keh do" Purvj ke zehan mein tarhan tarhan ke khadshe umadne lage the. Kahin Abhijeet ko sach to nahi pata chal gaya. Phir us ne socha ke nahi aisa nahi ho sakta, zaroor koi aur baat hogi.
"Mein tum se yeh bohat dinon se kehna chahta tha magar himmat hi nahi pad rahi thi. Badi mushkil se himmat paida ki hai tum se yeh baat kehne ki. Tum se baat kar ke kuch alag hi sukoon milta hai, apni saari fikrein, saari pareshaaniyaan kuch pal ko bhool jata hun jab tum se baat karta hun. Aise lagta hai ke koi meri fikar karne wala a gaya hai, koi meri pareshaniyan baatne wala a gaya. Mein tum se kehna chahta hun ke yeh dosti se kayi zyaada hai. Mein bohat aage barh chuka hun. Peeche ka raasta hi nahi dikhta. Agar koi dikhta hai to woh tum ho aur agar kisi ki awaaz mere kaanon mein goonjti hai to woh hai tumhaari awaaz. Kisi ki baatein agar mera dil behlati hain to woh tumhari baatein hain, tum se baat karne ka ahsaas hai. Haan Geet, Mein tum se be panah mohabbat karne laga hun. Mujhe tumhara saath chahiye. Zindagi bhar ka saath. Agar tumhe mera saath manzoor ho to kal a jana. Mein tumhara intezaar karun ga. Agar tum na ayi to mein tumhara jawaab samajh jaun ga" Abhijeet ne aik hi saans mein apne dil ki har baat phone ke paar us pe ayaan kar di. Woh nahi jaanta tha ke Geet ka kya rad e amal hoga, woh filhaal janna bhi nahi chahta tha. Use us ka jawaab kal hi mile ga. Isi liye us ne apni baat ka ikhtetaam kar ke foran se pehle call kaat di.
To Be Continued
Plz review if u liked it
