abhi's mother was massaging his head abhi was relaxing suddenly his cell rang he picked
Abhi - hello
Purvi - busy toh nahi ho
Abhi - yarr tumhare liye toh humesha free hu
Abhi and his mom pass naughty smile
Purvi - vese abhi ajj mere ghar party ha toh tum ajao please
Abhi - yarr tum esse pyar se bulao gi mein toh pighal jaunga
Purvi laughed small
Purvi - (romantic tone ) acha
Abhi - yarr yeh galat ha tum esse bulati ho toh dil karta ha bhag kar ajau
Vrinda - abhi gas par kukkar ha seeti baj gayi ha band kar aoo
Abhi - kardeta hu maa
Purvi - vese abhi baby mere pass kitni der mein aa jao ge
Abhi - baby 5 minute mein ..
Vrinda - abhi beta cooker ki ek or seeti baj gayi ha gass band kar ao daal zayada gal jae gi ..
Abhi - maa bus do minute (to purvi )acha purvi vese tum bolo toh mein abhi ajau kya ..
Vrinda looked at her son
Purvi - abhi tumhare ghar se mera ghar 20 minute door ha tum 5 minute mein kese cover karlo ge ..
Abhi - baby mein abhijeet hu tumhara 20 minute wala rasta mein 2 minute mein cover karlu ..
Suddenly he recevid a flying chappal on his back
Abhi - aiii mummy !! (to vrinda ) kya ha
Vrinda - (angrilh) 2 second uth kar janne ko toh tumhe 15 minute lag rahe ha 20 minute ka rasta 2 minute mein cover karo ge na tum
Abhi - (irritate) jaa raha hu na chapal kyu utha te ho app bhi 2 kadam agge akar kaan kheech sakti thi na ..
Vrinda took second chapal
Vrinda - tu jae ga ki dusri bhi ae..
Abhi ran outside..he herd laugh on phone abhi turnoff the stove
Abhi - haso haso
Purvi - abhi very bad mujhe jooth nahi pasand
Abhi - jooth kya bola mene
Purvi - yehi ki 20 minute wala rastaa 2 minute mein cross karlo ge very bad mujhe jooth acha nahi lagta..
Abhi smile sadly
Abhi - or agar mene fir jooth bola toh ..
Purvi - (naughtly) toh mein shahid ko apna boyfriend bana lu gi
Abhi smile sadly ..
Purvi - vese bhi ajkal social media par bada hello hi bhej raha ha meri story par roz comment ata ha yaha tak ki steaks bhi bhej ta ha tumhe bhi bheji ha lekin pata nahi konse kaam mein busy ho steak toh open karlo steak chodho story dekhlo meri story bhi chodho reel bhej ti ho vo hi dekhlo ..
Abhi laugh sadly ..
Abhi - purvi seriously batao agar mein future mein tumhe jooth bolu or vo jooth tum pakad lo toh kya karo gi
Purvi - kesa jooth ho sakta ha vo
Abhi - koi bhi manlo mein shaadi shuda nikal au divorced hu yah mere parents parents na ho mere yah mera breakup hua ho.
Purvi - vo sach jo mera decision badal sakta ha
agar tumne chipaya ha toh bura ho skata ha
Abhi - kitna bura
Purvi - breakup
Abhi - acha or shaadi ke baad bataya toh
Purvi - divorce ..
Abhi - shaadi se pehle divorce ki batte
Purvi - dhoke ki baat kisne shuru ki ?
Abhi laugh small
Suddenly purvi herd voice
Purvi - abhi tum ajana bhaiya ke office friend bhi aa rahi ha
and she cut the call abhi got lost in thoughts he came out of the toughts when he recived pull from ears
Abhi - areh gas band kardiya mene tha
Vrinda - shaadi se pehle yeh haal ha shaadi ke baad toh tim bhao hi nahi do ge..
Abhi - maa
Vrinda - abhi agar daal ki complaint ki na papa ne toh mein bata du gi tumhari harkat ..
Abhi - don't worry maa ajj ka khana ghar par mahi ha
Vrinda - matlab
Abhi - purvi ka call tha toh unke ghar party ha puri cid team (he realized ) oh shit ..
Vrinda - kya hua ?
Abhi - mein beuro jaa raha hu
he ran instantly
Vrinda - areh jo daal bani ha uska kya ..
Abhi - (shouted) kauuo ko khila de ge
Vrinda - yeh ladka kab bada hoga ..
In beuro
Abhi came on running everyone was working ..including daya
Voice - guys
all looked at door abhi came inside acp also came out
Abhi - ajj raat ko daya ke ghar kon kon party mein jaa raha ha
Tasha - ha sir lekin app
Abhi - mein bhi jaa raha hu isi liye
Kajal - yeh toh achi baat ha sir
Abhi - achi nahi musibat ki batt
Sachin - kya baat ha sir app panic kyu ho rahe ha
Abhi - kyuki daya ki behen meri girlfriend ha ..
All shocked daya made irritate face
Tasha - tabhi daya sir apse ladhte ha
Daya - hogaya tumhara..
Abhi - tum chup raho ge ..
Pankaj - sir vese panick hone wali kya baat ha ? matlab acha haina app cid officer ha unhe proud feel hoga upar se daya sir ke senior
Abhi - nafrat karti ha vo cid se ..
Daya - wrong cid se nahi tumse meri behen ko galat maat batao..
Rajat - nafrat toh vo apki girlfriend kese banni ?
Abhi took a deep breath
Abhi - listen mein ek cid officer hu upar se mein acp sir ka beta hu..
Pakaj - toh kya hua sir
Abhi - daya ki harkato ke karan mujhe nafrat ka shikar hona padh raha ha
Daya - daya ki harkato se kya matlab ..
Daya - toh maat karte pyar mene kaha tha ki ao meri behen se pyar karo..
Abhi - toh kya teri shakal dekh kar mein pyar karta
Daya - door reh meri behen se mein bol raha hu
Abhi - karlo jo karna ha purvi se mein shaadi karke rahu ga ..
Daya - bhool jao tumhe rishta du ga..
Abhi - dekha jae ga
Voice - chup raho ge dono ..
both saw acp who came in fight
Acp - apne jhagde apni harkate yeh ashqi or rishte baahar chodh kar aya karo samjhe !!
Both down there head beuro became silent.
Acp - juniors par kya asar padhe ga or daya abhijeet toh ha hi essa tum zuban par lagam kyu nahi lagate (abhi shock he was going to speak when acp pointed) jab mein bol raha hu tab khabardar jo beech mein bole..
Abhi shut his open mouth ..
Acp - daya tumse mein samjhdar or mature behave expect karta hu (to abhi ) or tum jante nahi ho ki esse ek suspendes officer ko anne ki ijazat nahi
Abhi - sir (pov) papa kuch zayada hi over react kar rahe ha ajj
Acp - khade khade mera mooh dekh rahe ho nikalo yaha se
And he left
At evening
Tansha - pankaj tumhari driving seriously bahut ghatiya
Tasha - sachme itni late
Pankaj - mein late !! tumhi makeup mein busy the..kya zaruat thi iski
Tasha - meri hone wali bhabhi se milna ha first time toh kyu na karu
Sachin - ab behens mein deri maat karo chalo andar..
Rajat - dhyan se yeh ghar sirf daya sir ka nahi ha abhijeet sir ka sasural bhi ha ..izzat se peshana khaskar purvi se dhuyan rakho vo humare senior ki girlfriend ha humare liye mam ha koi bhi kuch nahi bole ga
all was going to step but stop as rajat turned
Sachin - tumhara dar dekh kar hume dar lag raha ha ..
Raajat rang the door bell..soon the door bell rang they found a cute girl having pony tail all bohys goy aww on his cuteness..girls saw thag..
Girl - ji kahiye..
Girls saw there husband
Tasha - kya yeh daya sir ka ghar ha
Girl - ji
Pankaj - app pakka unki saali hogi haina..
Girl - kin ki ?
Rajat - apka naam kya ha ?
Sachin - apki family apke bache..
Rajat - app yehi rehti ha..vese daya sir kafi ache ha unki family bhi itni achi hogi pata nahi tha..
Girl - oh app cid se ha
Tasha - ji..app
Girl - mein purvi daya bhaiya ki ikloti behen
Trio got shock girls hide there laugh..
Rajat remember
dhyan se yeh ghar sirf daya sir ka nahi ha abhijeet sir ka sasural bhi ha ..izzat se peshana khaskar purvi se dhuyan rakho vo humare senior ki girlfriend ha humare liye mam ha koi bhi kuch nahi bole ga
Sachin and vivek looked at tasha and kajal girls glared at them
Purvi - applog aiye na andar bhaiya bhabhi kabse wait kar rahe ha
Everyone entered Shreya and daya came and greeted them..purvi took out the phone kajal indicated tasha both looked and hide smile as they understood they herd
Purvi - kaha ho tum kabse wait kar rahe hu ... aa raha hu adhe ghante se yehi bol rahe ho...kamal ha tum samjhte kyu nahi sab naye ha yaha kitna ajeeb feel ho raha ha jaldi ao please..warna mein nervous hojaungi..
Both looked at eachother and shared a naughty glance
Tasha - purvi chalo na ao dinner karte ha
Pankaj - ha sir party shuru karte ha badi bhook lagi ha
Daya - ha ha kyu nahi
Purvi - bhaiya
Daya looked purvi make a pleading face daya sight
Daya - thodi der ruko..
suddenly the door knock
Purvi ran open the door and found abhi and vrinda..purvi vent near vrinda and hug
Vrinda - khush raho..
Purvi - aiye na..
Vrinda went inside
Abhi - mera kya..
Purvi saw abhi made a puppy facs..purvi hold his arm ..and drag
Purvi - mooh banna chodho or chalo abhi
Abhi entred inside and saw everyone..shreya was standing beside vrinda
Abhi - hello bhabhi ..hello sir
Shreya - hi abhijeet
Daya - hi
Purvi - abhi yeh bhaiya ki team ha (to all ) yeh abhijeet ha mera khass dost..abhijeet
Tasha - (teasing) purvi humara naam pata ha nahi toh intro kese karwao gi..
Purvi became red..abhi looked
Purvi - (to abhi ) yeh sab bhaiya ke dost ha..
Abhi - you mean cid wale ..
Purvi - (instantly) nahi nahi everyone looked at him
Purvi - college friends ha sab..
Abhi- oh
Purvi - tum hath dho lo (to vrinda) maa bhi..
vrindaa and abhi went ti washroom direction
Purvi - (to team) please app friendly rahe ga abhi dar na jae itne cid officer ha or vo bichara massom
Pankaj - tumhe hume keh rahi ho humari khud ki phatti rehti ha unhe dekh kar..
Team slapped them self..
Purvi - matlab
Tasha - matlab (to vivek ) matlab
Vivek - matlab vo..
Sachin - image purvi uke or unke father ki reputation ha ki hum bhi izzat karte ha
Purvi - (looking at daya) vo toh ha..
