Bapi:
Mujhe nahi pata ki aap kaha se padhe ho lekin sach yahi hai ki Mahavishnu aur Mahadev ek hi hai.
Aur donno mein se ek ko takatwar maanaa nahi jaa sakta hai.
Agar aap Vishnu Puran padhenge toh Vishnu hi Sabse uper hai
Agar aap Shiva Puran padhenge toh Shiv hi sarvasresht hai.
Agar aap devi puraan padhenge toh Maa ke uper koi bhi nahi hai.
Aur aap ko bataadu ki sirf Purvi ke liye kya Bhagwan Vishnu Bhagwan Shiv se ladhenge?
aur aap galat matlab nikaal rahi hai.
Bhagwan Shiv ke liye toh Bhagwan Vishnu araadhy hai toh dhamki kyun denge?
Kya Bhagwan Shiv aur Bhagwan Vishnu hum jaise insan hai jo ek dusre ko dhamki dete rahenge?
humhe yaha insan ki tarah sochna nahi uske uper sochna hoga.
Bhagwan Shiv bas itna kaha hai ki agar Bhagwan Vishnu Abhijeet ki madad karenge toh unhe Bhagwan Shiva ka saamna karna hoga.
Aap ko bataadu ki agar Shiv aur Vishnu mein yudh huva toh duniya ka kya hoga?
sab kuch khatam ho jayega.
Isiliye Bhagwan Shiv ne kaha ki Abhijeet ki madad na kare nahi toh unse yudh karna padhega.
Hum insan ek dusre ko dhamki dete hai, Bhagwan nahi.. isliye mai aisa soch nahi sakta.
Iss yudh mein aage kya hoga uske liye intezaar karna padega aap ko.
Kal ki update mein Bhagwan Shiva ko Krodh aaya aur agli update mein Bhagwan Vishnu ko.. aur tab kya baat cheet hogi Bhagwan ke beech, uske baad phir se milenge
